• Hello Friends You can Register on the Forum and by posting you can earn money too.

Horror Nirjala { ek varshon se tadpati hui aatma }

[color=rgb(255,]UPDATE ____________ { 20}[/color]

[color=rgb(51,]Nitis jakar niranjana ke bagal main baithane laga magar nitis ko niranjana ne dhakka de diya jo nitis puja ke upar gir gaya our phir puja ne bhi nitis ko dhakka de diya jo nitis gadi main khada pamp se takra kar gir pada

aaahhh maar dala re

nitis tu thik hai na kya hua tu gir kaise gaya dekh kar nahi chal sakta hai kya kavita nitis ko uthate hua boli

aaaahhh lagata hai ab ladkiyan se dur hi rahana padega mujhe aaaaahhhh didi in dono ne to mujhe mar dala aaaaaaa nitis apna sar pakad kar bola

phir kavita ne niranjana our puja ko ek nazar dekh kar nitis ko apne sath le gayi niranjana ne to kavita ki tarf nahi dekhi q ki niranjana bas jeams ko hi dekh rahi thi magar puja ne apna sar niche kar liya kavita ko dekh kar niranjana jeams ko aankhon se ishara kar diya apne bagal main baithane ka our apni nazere chura liya jo jeams bhi jakar niranjana ke bagal main baith gaya

jeams jab niranjana ke bagal main baitha to niranjana bahut khush ho gayi magar wahi puja kuch gusse se niranjana ko dekhne lagi

dekho kaise khush ho rahi hai abhi mujhe bol rahi thi baig niche gandi ho jayegi magar jeams ke aate hi baig ko niche rakh diya jeams siraf mera hai tujhe bich main nahi aane dungi main puja man main sochi

ab gadi bhi chal chuki thi gadi start hote hi sabhi student ek sath chilla uthe khushi main jisme niranjana sabse pahle hi uth kar chilla uthi q ke ye trip par niranjana aaj pahli baar akele jaa rahi thi jisse niranjana bahut khush thi niranjana jab baithane lagi to uski lambi baal jeams ke sar par aa gaye jab niranjana ne dekhi to apne baal ko apni tarf kar diya our phir se baith gayi

bahut molaim hai aap ke baal khushbu bhi achhi hai jeams niranjana ke baal ko chhute hua bola

kya ise phir se tumhare sar par rakh du niranjana ne kaha our muskura padi jeams niranjana ko haste hua dekhne laga
______________________________
didi kya hua aap itani jaldi aap ghar aa gayi mamta ji ko aate hua mahima dekhi to boli q ki abhi 3 pm ko hi mamta ji ghar aa gayi thi our thodi pareshan bhi lag rahi thi

chhoti zara mera liye coffee bana de main kapde chenj kar ke aati huin mamta ji boli our apni room main chali gayi

didi aap itani pareshan q lag rahi hai mahima ji mamta ji ko coffee dete hua boli our wahi sath main baith gayi

chhoti mujhe bahut ajib filing ho rahi hai andar se jaise meri kuch kimati chijen kho gai hai pata nahi kaisi hogi meri pari mamta ji udasi se boli

oh didi gudiya thik hogi aap jayada mat sochiye rukiye main abhi gudiya ko phone laga deti huin mamta ji se bol kar phir mahima ji ne phone laga diya niranjana ko magar phone nahi laga niranjana ka jo phir mahima ji ne kavita par phone lagaya to kavita ka bhi phone nahi laga

are ye natwark bhi na lagata hai natwark nahi hai jo phone kisi ka nahi lag raha hai mahima ji boli

chhoti kya bol rahi hai phone nahi lag raha hai kya mamta ji our pareshan ho gayi

didi lagata hai natwark nahi hai abhi ring hokar kat ho jaa raha hai mahima ji boli

chhoti mujhe gudiya se baat karne ka bahut dil kar raha hai mamta ji udasi se boli

didi aap pareshan mat hoiye main phone laga rahi huin jab phone lag jayega to main bol dungi aap se baat karne ke liye gudiya ko mahima ji boli

mamta ji phir uth kar apne room main chali gayi unka sach main man nahi lag raha tha niranjana ke bagair wah apne room main jakar phone lagane lagi niranjana ko tabhi phone aa jata hai mamta ji ke phone par

hello hello pari tumhara phone q nahi lag raha hai mamta ji jaldi se boli

badi maa natwark thik se nahi aa raha tha phone main badi maa aap niranjana boli

haa main thik huin bas phone kar ke tumse bat karna chahati thi mamta ji boli

thik hai badi maa aap ne dawa khaya ki nahi abhi jhut mat boliyega samjhi niranjana ne kaha

haaa meri maa dawa kha liya hai maine tu chinta mat kar abhi tum log kaha ho mamta ji boli

pata nahi badi maa ye kaun si jagah hai ham koi hotal dekh rahi hai khana khane ke liye jo abhi mil nahi raha hai hotal milne par ham wahi khana khayenge niranjana ne kaha

thik hai kya jeams bhi tumhare sath hai mamta ji boli

idhar niranjana ne jeams ko ek nazar dekh kar muskura padi

haa badi maa main abhi rakhti huin hotal pahunch kar baat karti huin uuuummma i love you badi maa

lagata hai pari bitiya sharma gayi hai mamta ji boli our muskura padi
______________________________
jab ek hotal dikhai diya to kavita ne gadi rukne ko boli driver se

sabhi students gadi se utar kar kavita ke pichhe chalne laga phir kavita ne sabhi ko tebal par baithane ko bol kar ordar dene chali gayi

niranjana jeams ke sath hi gadi se utar kar khana khane chale gaye jaha puja pahle se baithi hui thi niranjana our jeams bhi puja ke sath hi baith gaye puja niranjana ko gusse main dekh rahi thi magar niranjana uski tarf jab dekh rahi thi to puja apne chehare par thodi muskura de rahi thi

kavita bhi order dekar niranjana ke bagal main akar baith gayi

niranjana kya apni badi maa se baat ki tumne kai bar mujhpe phone kar chuki hai tumhari badi maa kavita niranjana se boli

haaa maine badi maa se baat kar liya hai niranjana ne kaha

jab sabhi ne khana kha liya to kavita ne sabhi ko gadi main baithane ko boli jo sabhi students ek ek kar gadi main baithane lage

gadi phir se chal padi raat bhi ho gai thi jo niranjana ko nind aane rahi thi wah bar bar apna sar jeams ke upar rakh rahi thi nind main phir hata bhi le rahi thi jo jeams ne niranjana ke sar ko apne kandhe par daba kar ishara kiya ke so jaao niranjana phir jeams ke kandhe par sar rakh kar so gayi our jeams bas niranjana ke khuli balon par hanth ferta raha

jeams bhi niranjana ke sar par hanth ferte hua hi so gaya
_______________________________
shera ke kahne par raka our uske sathiyon ne mohan ke lass ko wahi par dafna diya mohan ke maut se uske sathi bhi darne lage the q ke mohan ke jisam par bahut sari nakhun ke nishan the jo kisi janwar ke nakhun jaisa lag raha tha magar waha aas pass main koi jangal bhi nahi dikh raha tha jo un sab ko thoda hairani bhi ho rahi thi akhir mohan ko kisne mara our mohan ki chikhe q nahi sunai diya raam main

yeha to dur dur tak jangal nahi dikh raha hai phir mohan ke jisam par nakhun kaise aa gaya mujhe kuch thik nahi lag raha hai boss hameh us budhiya ki baat maan leni chahiye thi raka raste main chalte hua bola

ye to thoda mujhe bhi ajib lag raha hai waha koi janwar ke pairon ka bhi nisan nahi tha raat main kya hua mohan ke sath ham main se kisi ko nahi pata to jayada mat socho tum Shera ne kaha

Shera ne ayese kaha jaise Shera ko kuch fark nahi pada mohan ke marne se our Shera ko janna bhi nahi hai mohan ko kisne mara

kuch dur chalne ke baad Shera ko ek gaon dikhai deta hai our ek mahal bhi jo har taraf se tuta hua lag raha tha

raka lagata hai ham manzil ke karib aadha gaye hai Shera ne kaha

tab tak raka our uske sathiyon ko bhi wah gaon dikhne laga wah log jaise jaise aage badh rahe tha rasta main ajib ajib se aawaze sunai deti jaa rahi thi kabhi kutte ke bhokhne ki to kabhi billi ki aawaze sunai de rahi thi abhi din ke sayad 12 se 1 baj raha tha wah sab mahal ke karib pahunch gaye jo waha par bilkul shanti chhai hui thi

dhup bhi itani tezz lag rahi thi ki sabhi thak gaye to mahal ke bahar hi baith gaye

wahi raka mahal se thodi aage chalne laga gaon ki tarf jaha sirf ghar ke naam par giri hui mati ka ghar dikh raha tha har tarf santta chhaya hua tha raka kuch dur chala phir ruk gaya use our aage jane ka man nahi kar raha tha raka kuch der wahi par khada hokar gaon ki tarf dekhta raha tabhi raka ko laga koi ek ghar ke aage khada hai raka aage badh kar dekha to phir waha koi nahi tha raka apni aankhen malne laga our phir se dekhne laga magar waha koi bhi nahi tha

ye kya abhi maine dekha waha koi khada tha phir kaha chala gaya raka man main kaha

boss kya ham yehi rukne wale hai raka jakar Shera se bola

haa raka ham yehi par rukenge magar usse pahle meri baat tum sab dhayan se suno jo jo saman maine tumeh bola tha wah sab lekar aaye ho na Shera ne kaha

to raka ne ek jhola Shera ko diya

ham yehi par rukenge magar koi bhi is mahal ke andar jane ki koshish nahi karega warna uske liye achha nahi hoga Shera ne kaha

our Shera apne kapde nikal kar nanga ho gaya jab raka our uske sathiyon ne dekha to Shera ke jisam par har jagah ajib ajib nishan the jaise Shera ke jisam par badi berahmi se mara gaya hai Shera ke jisam par rudraksh ke mala bhi tha jo gale our hanth main pahna hua tha phir Shera apne mathe par kuch lagaya jhole se nikal kar our kuch hi der main Shera ek aghori ki tarah lagne laga

Shera ne jhole se saman nikal kar pahle zameen par gol ghera banane laga wah dekhne main safed namak jaisa lag raha tha Shera ne waha par gol bana diya charon taraf ghera bana kar jitne main sabhi us ghera ke andar aaram se rah sake phir apna jhola se ek kitab nikal kar use charon tarf ghum ghum kar padhne laga

jo raka samjh gaya Shera koi mantar padh raha hai magar abhi Shera ke is rup ko dekh kar raka ke sath uske sathi bhi hairan ho gaye the

ye jagah ab surakshit hai magar tum sab isi ghere main rahoge warna tum sab apne maut ke zimmedar khud hoge our haa tum sab ko raat main kuch sun kar darne ki koi jarurat nahi hai kuch nahi hoga tum sab ko Shera ne kaha

shera ka ye rup dekh kar wah sab to khud hairan the magar jab raat main sun kar na darne ki baat par sab our hairan ho gaye uneh ab sach main dar lagne laga abhi din hi main

boss kya matlab hai raat main maa darne kisse na darne ko bol rahe hai main kuch samjha nahi raka ne kaha

raat hone de sab kuch samjh jayega Shera haveli ko ghurte hua bola
[/color]
 
[color=rgb(255,]UPDATE ____________ { 21}[/color]

[color=rgb(51,]Shera ke baat ko kisi ne bhi nahi samjha akhir Shera kahna kya chahata hai magar Shera bol kar wahi ek jagah baith gaya our uske sathi bhi tambu lagane lage jaise jaise din dhal raha tha mahal se chikhane chillane ki aawaze aane suru ho gaye the haveli se aati aawazon ko sun kar un sabhi ko dar lagne laga magar Shera ko koi fark nahi pad raha tha wah bas aankhen band kar ke baitha tha

ye kya ho raha hai yaar haveli se aawaze q aa rahi hai lagata hai haveli main koi hai chalo dekhte hai kaun hai ek sathi ne kaha

baith jaa suna nahi boss ne kya kaha tha is ghere se abhi bahar nahi nikalna ka raka ne kaha jab

raat hui to haveli ke get par dekhne se lag raha tha koi hai jo sabhi dekh rahe the wah koi ladki thi our uske ball aage ki taraf gira hua tha wah bahut tezz chilla chilla kar ro rahi thi

haveli bahar ladki ko dekh kar wah sabhi darne lage our ek dusre ko dekhne lage un sab ki aankhon main dar saf dikhane laga phir kutte ki bhokhne ki aawaze aane lagi aayese lagne laga unke pass main hi wah ladki aa gayi hai wah log itana darne lage ki dar ki wajah se apni aankhen band kar ke ek dusre se chipkne lage tabhi uneh ghera ke bahar se huin

huin huin huin huin huin huin ki aawaze aane lagi jaise koi bahut gusse main hai

kisi ko nahi chhodungi chale jaao mere gaon se ek aawaz gunj padi aawaz itani darawani thi ke ek to paint main mutne laga uske jisam ekdam thanda pad kar wahi hall sabhi ka tha un sab ko apni maut samne nazer aane lagi ghera ke bahar bahut darawani aawaze aane lagi thi our ayesa lag raha tha ke jayesa koi bahar ghum raha hai chikhate chillate hua

main tujhe is duniyan se muft kar dunga Shera aankhen kholte hua bola

tum sab bahar ki taraf dhyan mat do our ye ruyi sabhi apne kano main laga lo taki uski aawaze tum logo ko sunai na de Shera rui raka ko dete hua bola

raka ne rui lekar sabhi ko diya to sabhi ne rui apne kano main laga liya aawaze to phir bhi sunai de rahi thi magar kisi tarah sabhi sone ki koshish karne lage wahi Shera phir se apni aankhen band kar liya
___________________________
wahi sahar ke ek bade hotal main mitting chal raha tha our koi 6 se 7 log the

are Shera ke gaye hua itane din ho gaya abhi tak uska koi pata nahi chala mujhe to nahi lagata wah hamhara kaam kar payega un sabhi main ek ne kaha

haaa hameh bhi yehi lag raha hai Shera ke bas ki baat nahi hai hameh our koi upaye karna hoga kisi bhi tarah us gaon ko apne kabze main lena hi hoga ek our bola our uske sath our sab bhi bolne lage

chup ho jaon tum log mujhe pura yekin hai Shera hamhara kaam zarur karega maine baat kar liya hai wah gaon hamahara kabze main hai bas us bhutni se Shera hameh chutkara dilwa de phir ham sabhi mala mal ho jayenge samne baitha hua Aadmi ne kaha

wah bhutni bahut khatarnak hai ab tak kitne log ko maar chuki hai hamahara ab to koi jane ke liye bhi taiyar nahi hota us gaon main ab bas Shera par hi bharosa hai unme se ek ne kaha

mat bhul ke Shera ab pahle wala Shera nahi raha maine khud dekha hai Shera ke pass kitni sakti hai mujhe pura yekin hai Shera hamhara kaam zarur karega magar tum sab ko yaad rahe Shera ko pata nahi chalna chahiye hamhara maksad kya hai Shera ko yehi lagna chahiye hameh bas us murti ke sath wah haveli ko hasil karna hai mujhe yekin hai jo maine Shera ko bataya hai Shera ne mere baton par yekin kar liya hai tum log bas Shera ka aane ka intezar karo samjh gaye tum log warna mujhse bura koi nahi hoga agar kuch bhi Shera ko pata chala to samne baitha Aadmi ne sabhi ko chetawanu dete hua bola jo sabhi ne haa main sar hila diya
__________________________
Niranjana ki achanak nind khul gayi jab gadi ruki to wahi saare students bhi uth gaye

kya hua kavita mem gadi q ruk gayi kya ham pahuncha gaye unme se ek student ne puchha

abhi ham log nahi pahunche hai lagata hai gadi ka tair panchar ho gaya hai kavita boli jab dekhi ke saare students utarne lage to tab tak kuch student gadi se utar gaye

niranjana ki nazar jab bahar gai to niranjana ko wah jagah bahut achhi lagi niranjana bhi gadi se niche utar gai ab jeams bhi niranjana ke pichhe utar gaya charon tarf santta chhaya hua tha

didi lagata hai waha par koi basti hai jeams basti ki tarf dekhte hua kavita se bola

kavita mem lagata hai waha par ek mahal hai chaliye na waha ghum kar aate hai ek student ne kavita se kaha

kavita pahle driver ke pass gai our puchha kitana waqt lagega to driver ne 1 ghante bola to kavita ne socha ghum hi lete hai to wah students ko chalne ke liye boli jo sabhi student khush hokar haveli ki tarf bhagane lage

niranjana bahut dhire dhire chal rahi thi our kuch yaad karne ki koshish kar rahi thi jaise niranjana is jagah par pahle bhi aa chuki hai

niranjana charon tarf badi hairani se dekh kar chal rahi thi jeams ne kai bar niranjana se bola bhi magar niranjana koi jawab nahi de rahi thi jeams ke baat ka jaise niranjana ko kuch sunai hi nahi de raha hai

kya soch rahi ho kahi tumeh apni badi maa yaad to nahi aa rahi hai niranjana kavita ne niranjana ko pakad kar boli tab niranjana hadbada kar kavita ko dekh kar thodi der wahi khadi ho gayi

jeams kab se dekh raha tha ke niranjana kisi yaad main khoi hai jeams ne kavita se puchhne ko kaha jab jeams ke baat par niranjana ne koi jawab nahi diya to

kavita mem ayesa lag raha hai main yeha pahle bhi aa chuki huin kab our kiske sath aai huin yaad nahi aa raha hai niranjana yaad karte hua boli magar yaad nahi aa raha tha

niranjana tum kya bol rahi ho tum bhala yeha kaise aa sakti ho tum akeli kahi jati bhi nahi ho agar tum kabhi apni badi maa ke sath aai hogi to wah bata sakti hai kavita boli

yehi yaad nahi aa rahi hai mem niranjana chalte hua boli phir niranjana chalne lagi magar niranjana jaise jaise haveli ki tarf badh rahi thi use rasta bhi jana pahchana lag raha tha ek jagah jakar niranjana ruk gayi

ye ye to mere sapne main aane wala mahal hai niranjana haveli ke get par jakar khadi hokar badi hi hairani se boli our apni sar paked liya
[/color]
 
[color=rgb(255,]UPDETE ____________ { 22}[/color]

[color=rgb(0,]Niranjana kab se us jagah ko dekh kar yaad karne ki koshish kar rahi thi our mahal ke samne jab gai to niranjana ke aankhon ke samne spna yaad aane laga niranjana jab apni sar pakad kar baithi to jeams bhag kar niranjana ko pakad liya phir niranjana ke sath kavita out jeams wahi par niche zameen par baith gaye

niranjana tum kya bol rahi ho ye tumhare sapne main kaise aa sakta hai kahi tumeh koi galatfahmi to nahi ho rahi hai tumhare sapne main koi our haveli aaya ho our tumeh yehi haveli lag raha hoga jeams ne kaha

nahi ye wahi haveli hai main pure lekin se kahti huin chalo main tumeh dekhati huin is mahal ke andar ek bahut badi murti huin jo kisi ladki ki hai niranjana uthte hua boli our haveli ki tarf bhagi

niranjana ke piche kavita our jeams bhi bhage haveli to pahle se puri tarah gir chuka tha magar haveli ke andar abhi bhi kuch chijen ayesi thi jo thodi bahut thik thi jo niranjana haveli ke andar jakar muskurane lagi

dekho wah rahi murti main jhut nahi bol rahi ye wahi haveli hai jo meri sapne main aayi thi niranjana khush our hairani se boli

niranjana is liye khush hui ke ye wahi haveli hai our hairan thi ke ye kaise ho sakta hai ye mere sapne main kaise aaya

wahi haal kavita our jeams bhi ek dusre ko hairani se dekh rahe the our kavita ne to apne munh par hi hanth rakh liya ye soch kar ke niranjana ne jo boli wah sach hai

niranjana tumeh pura lekin hai ye wahi haveli hai q ke mujhe abhi bhi lekin nahi ho raha hai kahi tumne kisi taswir main to nahi dekhi is haveli ko kavita ne hairani se niranjana se boli

mem maine koi taswir nahi dekhi main sach kahti huin ye wahi haveli hai aap ko lekin nahi to main aap ko ek bat our batati huin jo aap dono ko lekin ho jayegi yeha se thodi dur par ek bahut badi mandir hai niranjana ne kaha

haa niranjana wah mandir to ham sabhi ne dekha raste main to tumne bhi dekhi hogi kavita ne kaha q ke waha mandir sach main sabhi ne dekha tha

haa wah mandir sabhi ne dekha magar kisi ko nahi pata waha kya hai magar mujhe pata hai us mandir se thodi duri par ek gufa bhi hai jo kabhi bada hai niranjana bilkul lekin ke sath boli

niranjana ye nahi ho sakta hai maine us mandir ki tarf dekhi thi mandir ke aas pass bilkul barabar zameen hai jo waha par kisi gufa ka hona namumkin hai kavita ne kaha

nahi kavita mem waha gufa hai main sach bol rahi huin aap ko lekin nahi to chaliye mere sath niranjana bol kar haveli ke bahar nikal padi

bhai tum niranjana ke sath chalo main sabhi students ko bol deti huin ab hameh chalna chahiye kavita jeams se boli to jeams niranjana ke sath chal pada

niranjana charon tarf dekhti huin bhag rahi thi niranjana jab mandir ke pass jakar thodi piche se hi dusri tarf ghum gai our kuch dur jakar gufa ko dekhne lagi magar waha par koi bhi gufa nahi tha charon tarf sirf ped hi ped the kuch duri tak

jeams main sach kahti huin mera lekin karo yeha gufa tha jo abhi dikh nahi raha hai yehi kahi gufa hoga niranjana thodi mayusi se boli

niranjana thik hai agar yeha pe gufa hai our tumeh yekin hai to ham dono mil kar dekhte hai agar gufa nahi mila to tum is jagah ko bhul jaogi pahle mujhse wada karo jeams ne kaha

jeams jab niranjana ke chehre ko dekha to niranjana bahut hi jayada pareshan lag rahi thi our niranjana ke aankhon main aansu bhi aane lage the is liya bas niranjana ke liye jeams gufa ko sath main milkar dekhne ko bola our phir is jagah ko bhulne ka bhi kaha taki phir is jagah ko yaad kar ke niranjana dukhi na ho

phir jeams our niranjana ne milkar waha har jagah dekha magar uneh kahi bhi gufa hone ka nishan nahi mila last main thak haar kar dono ek jagah par baith gaye

niranjana ab rone bhi lagi thi jeams maine yehi par gufa ko dekhi thi magar abhi gufa nahi dikh rahi hai magar yeha gufa tha mere sath ek aurat bhi thi jo mujhe beti bol rahi thi maa aap kaha ho aap hi to mujhe lekar aai thi please mujhe gufa kaha hai bata dijiye niranjana badi hi dukhi hokar rote hua boli our jeams ke gale lag gai

wahi jeams niranjana ko chup hone ke liye bol raha hai jeams ko bilkul bhi niranjana ka rona achha nahi lag raha tha jeams niranjana ki aankhoon se bar bar aansu pochh raha tha

bhai kya hua niranjana ko chot to nahi lagi na kavita pass akar boli

nahi didi yeha koi gufa nahi hai is liye ye ro rahi hai jeams ne kaha

niranjana dekho rone ka nahi wah sapna tha our sayad hi koi sapna sach hota hai our tumne to yeha har jagah dekh bhi liya yeha koi gufa nahi hai chalo ab hameh chalna chahiye warna kabhi let ho jayega kavita boli

wahi shor chillane ki aawaz sun kar shera ke sabhi sathi bhi gali dete hua uth gaye ki kaun yeha par chilla raha hai subah subah q ke raat bhar to thik se soye nahi the magar subah jab nind lagi to chillane ki aawaz sun kar uth baith our apne tambu se bahar nikale to dekha haveli main bahut saare ladkiyan our ladke ghum rahe hai raka our uske sathi samjh gaye ki ye log students hai

boss tum to bol rahe the yeha koi bhi nahi aata to phir ye sab students yeha kya kar rahe hai upar se is haveli kr andar se aa rahe hai kya us bhutani ne uneh kuch nahi karegi raka shera se bola

wahi shera pahle se un sabhi students ko dekh raha tha kai students to shera ko namste bhi kar chuke the jo shera ne un logo ko yeha se jane ke liye bol chuka tha magar saare students haveli ke andar chale gaye ghumne ke liye magar shera ki nazer abhi dur jaa rahi niranjana pad thi

raka tum us ladki ke pichhe jao jaldi our use pakad kar mere pass lekar aao shera ne kaha

boss us ladki se hameh kya matlab hai hameh to murti dhundhna hai achha hai ye log yeha se chale jayenge to raka ne kaha

meri baat suna nahi kya tumne wah ladki ko mere pass lekar aao warna ham sab ke liye achha nahi hoga shera chilla kar kaha

raka to nahi gaye magar apne sathiyon ko bhej diya niranjana ko lekar aane ke liye

shera phir apne aankhen band kar ke baith gaya

jab raka ko laga ke shera ne aankhen band kar liya hai to raka ne dhire se shera ke baig se wah chita wala nakxa nikal liya our apne tambu main chala gaya

boss main ab pata kar ke hi rahunga akhir kya hai is nakxe main

idhar jeams our kavita niranjana ko lekar aa rahe the tabhi 10 se 12 aadmi samne khade ho jate hai unke hantho main gun bhi hota hai jisse kavita our niranjana dar kar pichhe hat jate hai

kaun ho aap log hamara rasta q rok rahe ho jeams ne kaha

tum us ladki ko mere hawale karo our tum dono yeha se jaao ek bandey ne kaha niranjana ke tarf ungli karte hua

tum log ho kaun our main ise tumhare hawale q karun ye mere sath hai our mere hi sath jayegi samjhe hato mere raste se jeams ne kaha

tabhi sabhi ne apni gun taan diya jeams par

akhir bar bol rahe hai is ladki ko hamare hawale karo our jaao yeha se ek phir se bola aaaaaaaaaaaaaaaaaa our aaa kar ke gir gaya

tab tak jeams ne gun chin kar use ek zabardast fight maar diya jeams ne jo chikh kar gir pada wah tabhi sabhi ne gun ek sath jeams par taan diya

lagata hai tu ayese nahi manega pahle ise maar do phir ladki ko apne sath le chalo wah uthte hua bola

nahi ruko main tumhare sath chalti huin abhi gun chalta ke niranjana bol padi phir bhi jeams niranjana ko jane nahi de raha tha our fight karne laga magar sabhi ne ek sath hamla kar ke jeams ko buri tarah marne lage jisse niranjana ke sath kavita bhi rone lagi

please mat maro main tum log ke sath chalti huin niranjana rote hua jeams ke upar gir gai

tabhi saare students bhi waha aa gaye magar sabhi ke hanth main gun dekh kar pichhe hat gaye our wah niranjana ko lekar chale gaye

bhai tu thik hai kavita jeams ko uthate hua boli

didi hameh niranjana ko bachana hoga pata nahi wah kaun log hai wah kya karne wale hai niranjana ke sath jeams uthte hua bola

kuch nahi hoga niranjana ko tu chinta mat kar niranjana ki badi maa jald hi yeha pahunchne wali hai wah baat karengi un logo se agar un logo ne niranjana ko kuch kiya to unke liye achha nahi hoga kavita boli

Wahi ek gadi bahut tezi se aage ki tarf badh rahi thi chhoti mujhe bilkul bhi achha nahi lag raha hai mahima tum zara our tezz gadi chalao na ek aurat ne kaha

mamta didi ab kitna tezz gadi chalayengi mahima didi itani tezz to chala rahi hai aap phikar mat kijiye ham jaldi hi niranjana ke pass pahunch jayenge maine kavita se baat kiya tha wah log abhi kisi haveli par ghum rahi hai madhu boli

ye tino mamta mahima our madhu hai jo mamta ki wajah se niranjana ke pass jaa rahi hai q ki niranjana ke jane ke baad se mamta ji pareshan thi tab mahima our madhu ne mamta ji ko niranjana ke pass lekar jana hi behtar samjha jo abhi jaa rahi thi
[/color]

[color=rgb(0,]wahi ek gadi pichhe bhi thi jisame niranjana ke papa our bade papa the jo mahima our mamta ko jate hua dekh liye the our phone bhi miya magar kisi ne uthaya nahi to wah log bhi unke pichhe aa rahe tha

idhar niranjana ko lekar shera ke pass aa gaye the ab niranjana shera ke samne baithi thi our shera niranjana ke gale main padi haar ko badi hi gaur se ghur raha tha phir apne jhule main kuch dhundhne laga jo nahi mila

shera badi bechain ho gaya jab jhole main jo dhundh raha tha wah nahi mila to raka raka shera chillaya to raka bhagte hua tambu se bahar aaya[/color]


[color=rgb(0,]niranjana our niranjana ke gale main haar ko dekh kar shauk ho gaya our phir chitr main dekhne laga

ye ye ye to bilkul chitar wali ladki lag rahi hai shera harani ke sath bola

tabhi charon tarf andhera hone laga badal bhi garjne lage charon tarf tufan chalne laga

sabhi idhar udhar bhagne lage[/color]
 
[color=rgb(255,]UPDETE ____________ { 23}[/color]

[color=rgb(0,]aachank hi waha charon taraf andhera sa hone laga our badi hi tezz hawa bhi chalne laga jo ab lagne laga tha barish bhi jald hone wali hai [/color]

[color=rgb(0,]shera mujhe baat karna hai raka niranjana ko dekhte hua bola

q ke raka ko samjh nahi aaya ke shera ne ladki ko akhir pakda q hai our us ladki ke gale main wahi haar hai jo abhi usne shera ke chitar main dekha hai to baat karna hi sahi samjha raka ke bolne par shera uske sath tambu main chala gaya

haa bol kya baat karni hai tujhe shera tambu main jane ke baad bola

ye sab kya our tumne ladki ko q pakdne ke liye bola hai wah ek college main padhne wali ladki hai agar use kuch hua to hamare sath bahut bura hoga q ke us ladki ke sath pura college ke students hai ye haar jo abhi maine chitar main dekha hai yehi haar us ladki ke gale main bhi hai ye kaise ho sakta hai mujhe kuch samjh main nahi aa raha hai raka chitar ko shera ke tarf badhate hua bola

shera kuch der chup raha phir bolna suru kiya

raka main us ladki ke sath kuch nahi karne wala mujhe bas us aatama ko mukt karna hai jo ye ladki hi kar sakti hai jo maine apne guru se wada kiya hai shera ne kaha

kya main kuch samjh nahi kya matlab hai tumhara our tumeh kaise pata ye ladki hi kar sakti hai us bhutani ko mukt raka haurani se kaha

Tumeh yaad hai jab mere pichhe pulice lagi thi our main bhag raha tha tab mujhe 2 se 3 goli bhi lagi thi phir bhi main bhag raha tha main bhagte bhagte ek din jangal ke ek gufa main chhip gaya mera halat bahut kharab tha main bas marne hi wala tha main us gufa main jakar gir gaya mujhe jab hosh aaya to mujhe apne sarir par thoda bahut dard mahsus hua magar main thik tha main uthne ki koshish kiya tabhi mujhe kisi ke bolne ki aawaz sunai diya jo main thodi der ke liye dar gaya tabhi gufa ke bahar se ek aadmi andar aaya jo bahut darawna lag raha tha jab samne aaya to maine dekha wah aadmi nahi ek aghori tha jo kabhi buddha ho gaya tha

aap kaun ho kya kiya hai mere sath tumne maine us aghori se kaha

beta wahi kiya jo mujhe sahi laga our tum abhi jivit ho aghori ne kaha

our mujhe ek shisa diya dekhne ko jab maine apni sarir par thik se dekha to mere pith par har jagah kata hua tha jaise lakir khincha ho

ye kya kiya hai mere sarir ke ye kitna darwana lag raha hai main buddhe se kaha

beta lag bhag tum mar hi gaye the lekin mere shaktiyo ke karn tum bach gaye magar maine tumeh ek maksad ke liye bachaya hai agar tumne mere kaam kar diya to ye sare lakir apne aap mit jayenge aghori ne kaha us aghori ke baat sun kar main samjh gaya zarur koi badi baat hogi tabhi aghori ne mujhe bachaya hai aghori ke baat se main mar gaya tha lekin usne mujhe bachaya maine bahut se pap kiya tha to socha agar aghori ke kaam karne se mera kuch pap kam ho jaye to achha hai is liye maine aghori ko haa bol diya

tab us aghori ne mujhe is gaon ke bare main bataya ke kaise ek rani ko kitne berahmi se un charon ne jaan se maar diya our sath main us rani ke bachche ko bhi phir shera ne puri kahani raka ko suna diya

ye to bahut bura hua hai rani ke sath magar abhi bhi bahut sawal hai wah aghori ko kaise pata rani ke bare main our phir rani ne kya sambhu ko mara ki nahi ye nahi bataya tumne our ye mujhe bilkul bhi samjh nahi aaya aatama our is ladki ka kya rista hai raka ne kaha

Maine aghori se pucha to usne bataya barso pahle kisi aghori ne ye chitar banaya tha jo in aghoriyon main se ek tha usne sari baat likhi hai isme our ye bhi ke wah aatama ko tabhi mukti milegi jab aatama ki vansaj main koi ladki paida hogi our us murti ko mandir main rakhegi jo ek din wah aatama khud us ladki ko apne pass lekar aa jayegi our mujhe pura yekin hai ye ladki us aatama ki vansaj hai jiske liye us aatma ne barso se intzar kiya hai

to tumeh us ladki ko pakdne ki kya zarurat thi wah khud hi us ladki se murti rakhwa sakti hai raka ne kaha

haa mujhe pata hai magar ye mujhe abhi tak samjh main nahi aaya ki agar aatama ko ladki se matlab hai to phir wah yeha aane wale logon ko maar q rahi hai yehi mujhe janna hai jo is ladki ke wajah se ho sakta hai shera ne kaha our phir tambu ke bahar aa gaya jo ab bahar sabhi students ko sath lekar kavita our jeams bhi khade the wahi niranjana zameen par padi ro rahi thi

kavita kya kare kuch samjh main nahi aaya to kavita ne mamta ji ko phone kar diya

hello kavita tum log kaha par ho idhar mamta ji phone utha kar bol padi

aunty yeha par kuch gundon ne niranjana ko pakad liya hai please aap police ko lekar yeha hathama gaon main aap aa jaiye mujhe bahut dar lag raha hai kavita darti hui boli

wahi mamta ji gadi main chikh padi our phone bhi mamta ji ki hanth se gir gaya

aaaaaa meri gudiya meri gudiya ko kkk kuch kiya to nahi hai na un gundon ne kya chahiye uneh bolo unse meri bachhi ke sath kuch na kare wah jo bolenge main uneh de dungi main bas kuch der main waha pahunchne wali huin mamta ji jaldi se phone utha kar boli aunty

wahi mahima gadi slow kar ke chalane lagi mamta ji ko pareshan dekh kar madhu to rone hi lagi thi q ke madhu ne puri baat sun liya tha

didi kaun log hai meri gudiya ko q pakda hai kahi gudiya ke sath kuch karenge to nahi didi aap gadi zara tezz chalaiye na madhu roti hui boli

mahima ji gadi our tezi main chalane lagi madhu ko rote hua sun kar
_____________________________
tum apne sare aadmiyon ko sath chalne ko bolo main bhi nikal raha huin our kisi ko bhi pata nahi chalna chahiye phone par ek aadmi ne kaha

boss hameh sab ko bata dena chahiye warna wah sab hamare sath kabhi nahi denge dusre ne phone par kaha

wah log kuch nahi karenge bas aaj shera us aatama ko khatam karde phir ham waha jald hi apna kaam suru kar denge our phir ham mala mal ho jayenge waha se tell nikal kar aadmi ne kaha

ok boss aap ko jo thik lage main apne aadmiyon ke sath sara saman lekar nikal raha huin ham jald hi waha khudai chalu kar denge aadmi ne kaha our phone rakh diya

Main kab se is din ka intzar kar raha tha Ab jakar pura hua Ab main sabse aamir aadmi ban jaunga waha bahut sara tell hai hhhhhhhhhhhhhh haste hua aadmi ne kaha
[/color]
 
[color=rgb(255,]UPDETE ____________ { 24}[/color]

[color=rgb(44,]abhi raat ke 11 PM ho raha tha our shera ke lagaye hua tambu main jo students ladke the wah sabhi ek tambu main the our ladkiyon sari ek tambu main thi our ek tambu main shera ke aadmi the mgar abhi shera raka jeams our niranjana ki koi pariwar ka aadmi our aurat nahi thi tambu main

wahi haveli ke charon taraf andhere tha our shanti chhai hui thi sare students apne apne tambu main baithe hua the un sabko dar bhi lag raha tha magar wah ek dusre ko bata nahi rahe the wahi shera ke sabhi sathi to dar kar kanap rahe the our tambu se bahar dekhne ki kosish kar rahe the kahi aaj bhi wah aatama ghum to nahi rahi magar abhi bilkul shanti chhai thi to wah sab sone ki koshish kar rahe the

wahi haveli ke andar shera us haveli main ghum raha tha wahi haveli ke bich holl main mamta ji niranjana ko lekar baithi hui thi wahi madhu our mahima ji bhi thi sath main niranjana ke papa our bade papa bhi the

wahi raka our jeams holl main ek jagah gaddha khod kar use havan jaise bana rahe the jab gaddha ho gaya to gaddhe main lakdi dal kar aag laga diya raka ne waha charon tarf puja karne ki chijen bhi thi

raka sab ho gaya kya shera jab haveli ghum kar aaya to raka se puchha

haa boss aap ne jaisa kaha tha wah sab maine kar diya hai raka ne kaha

aap sab ko yekin nahi ho raha hai na mere baton par magar kuch hi waqt main yekin ho jayega ab is ladki ko chhode kar aap sab mere pichhe aa jaiye shera ne kaha

nahi mujhe koi yekin nahi karna hai agar wah buri sakti hui our meri beti ko kuch kar diya to mujhe nahi janna wah kaun hai jo tumne bataya wah bas ek kahani hai jo yeha sabhi ko pata hai mamta ji boli

aap meri baat samjh q nahi rahi hai ye kahani nahi ye bita hua kal hai jo kab se tadap rahi hai mukti pane ke liye our jab tak wah murti nahi milegi uneh shanti nahi milegi our wah murti kaha hai bas uneh hi pata hai meri baat aap samjh q nahi rahi hai maine aap ko wah chitar bhi dekhaya hai jisse pata chalta hai wah kahani nahi hai ye haar bhi wahi hai aap phir se dekh sakti hai main aap se wada karta huin aap ki beti ko kuch nahi hone dunga chahe meri jaan hi q na chali jaye main aap sab ke aage hanth jodta huin maan jaiye shera ne kaha

main taiyar huin badi maa aap jaiye mujhe kuch nahi hoga ye sach hai to mujhe janna hai aage kya hua tha niranjana bol padi

magar mamta ji niranjana ko chhode hi nahi rahi thi wahi niranjana bar bar mamta ji ko jane ke liye bolne tab mamta ji mahima our madhu ke sath shera ke pichhe akar baith gayi

shera ne waha ek gol lakir khinch diya tha jo sabhi usi main jakar baith gaya

shera phir waha baith kar apni aankhe band kar ke padhne laga kuch der tak to kuch nahi hua magar shera bas padhte hi jaa raha tha our aag main chandan aam nim ki lakdi ka chilke the jo dalte jaa raha tha jo

tabhi haveli main chikhe sunai dene lagi sabhi apne kaan band kar liye our jis taraf se chikhe aa rahi thi udhar dekhne lage haveli main charon taraf hawa chalne lagi light bhi on off hone laga havan ki aag bhi ek waqt ke liye laga bhuj gaya magar shera ne padhte hua havan main lakdi dala to phir se havan main aag jalne laga

wahi niranjana bhi chikhe sun dar kar apni aankhe band kar liya niranjana ki jisam ke roye bhi khade ho gaye niranjana dar kar kapne lagi tabhi ek tezz hawa niranjana se akar takrai our niranjana ka sar niche ho gaya

our phir waha huin huin huin aawaze aane lagi jo niranjana ki munh se nikal raha tha our phir niranjana ki ball bhi puri tarh khul kar niranjana ke aage gir gaya our kuch hi waqt main niranjana ka sar jhumne laga

kaun ho tum our tum logon ko maar q rahi ho ab tak tum kitne logon ko maar chuki ho q maar rahi ho sabhi ko shera ne kaha

nirjala huin main nirjala

ye gaon meri hai our haveli bhi meri hai maine koi begunah ko nahi mara hai jitno ko maine mara hai wah sabhi papi the jo mujhse meri murti lene aaye tha jo bhi murti ko lene yeha aayega main use zinda nahi chhodungi tu bhi murti lene aaya hai na tujhe bhi maar dungi

hhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhh

niranjana ek saitani hasi hasne lagi bol kar

kuch der to wah jhumati rahi phir achanak hi bol padi

wah jaise hi apna naam nirjala boli niranjana ke sabhi pariwar wale ki munh khul gaya hairani se our ek dusre ko dekhne lage

main murti lene nahi tujhe mukti dilane ke liye yeha aaya huin tujhe vikaral singh yaad to honge hi shera ne kaha

Vikaral singh ki baat sun kar nirjala kuch santh ho gayi tu unko kaise janta hai nirjala boli kuch der ke baad

ye chitar unhi ki banai hui hai hai our unhone ne likha hai jab tak wah murti tere vansaj ki ladki us mandir main rakh nahi deti tab tak tujhe mukti nahi milegi is liye main yeha aaya huin kaha hai wah murti dekh tere vansaj main ladki bhi janm le liye jo tujhe mukti dila sakti hai our tera badla to pura ho hi gaya hai ab is ladki ke hanth se murti rakhwa kar mukt hoja nahi to pata nahi is ladki ke sath kuch ho gaya to phir se tu tadapti rahegi shera ne kaha

Ye meri beti hai ise bhagwan ke siva koi mujhse nahi chin sakta hai ise koi chhune ki bhi koshish karega to main uski jaan le lungi jo ab tak kitno ko maar chuki huin apni is beti ke liye koi bhi meri beti ko kuch nahi kar sakta hai

mamta tujhe us waqt hairani hui hogi na jab us lift thik ho gaya tha use maine hi waha se bhagti thi wah niranjana ko drama chahati thi magar maine uski wah halat ki ke wah khud waha sa bhag gayi hhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhh

nirajal hasne lagi

wahi mamta to hairan hi ho gayi ke nirjala mamta ko janti hai

to tum sabhi ko janti ho iska matlab tum in sab ke sath hi rahti ho shera ne kaha

haa main hamesha se in sabhi ke sath thi vikaral singh ke wajah se unhone ne mujhe apne pariwar ke sath rahne ke liye ek havan kiya tha main jab chahu apne pariwar se mil kar pata kar saku ki ladki hui ki nahi nirajala ne kaha

thik hai ab murti kaha hai mujhe batao main tumeh ab varso baad mukt hone ka waqt aa gaya hai

nahi mera badla abhi pura nahi hua hai abhi mujhe use marna hai main use phir se marungi zinda nahi chhodungi use jaan se maar dungi nahi chhodungi

hhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhh

nirjala phir se bol kar hasne lagi

jo shera ke sath waha sabhi ko hairani hui ye kya bol rahi hai koi itne varso tak kaise jivit rah sakta hai

ab kise maregi tu sabhi to mar chuke hai kahi tu natak to nahi kar rahi hai na our logon ko marne shera ne kaha

nahi main jhut nahi bol rahi mujhe abhi sambhu ko marna hai jab tak main use apne hantho se nahi marungi main ye gaon chhode kar kahi nahi jane wali huin

sambhu abhi zinda hai sun kar sabhi hairan ho gaye q ke kai varsh bit chuka tha ab tak koi bhala kaise zinda rah sakta hai ye sabhi ko hairan kar raha tha jo sach bhi tha

tu jhut hi bol rahi hai agar use tune nahi bhi mara hoga phir bhi wah apne aap hi mar gaya hoga to phir tu use kaise maregi shera ne kaha

marungi wah khud mere pass aayega phir main use marungi mujhse bachne ke liye usne khud hi apne sarir ka bali de diya taki wah mujhse bach sake

wah phir se janam lega mujhe pura yekin hai nirjala ne kaha

usne khud apni jaan ki bali de diyato phir kaise janam le sakta hai our tujhe kaise pata tu ek aatma hai bhagavan nahi hai samjhi shera ne kaha

wah janam le liya hai wah yeha jald hi aane wala hai marne ke liye mere hantho se

hhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhh
[/color][color=rgb(44,][/color]
 
[color=rgb(255,]UPDETE ____________ {25}[/color]

Magar wah murti kaha hai jo abhi tak tune bataya nahi wah murti jab tak nahi milega tujhe mukti bhi nahi milne wali ye baat tu achhe se janti hai magar mujhe ab lag raha hai tu abhi murti kaha hai nahi batane wali hai akhir tu chahti kya hai logo ko isi tarah marna main ye kabhi ab nahi hone dunga bata de murti kaha hai main tujhe mukti dila dunga shera ne kaha

nahi main jab tak use nahi marungi main nahi batane wali murti kaha hai agar kisi ne dhundhne ki kosis bhi ki to main use jaan se maar dungi nirjala badi gusse main boli

wahi shera phir se mantr padhne laga shera ke mantr padhte hi waha phir se hawaye bhi chalne lagi achanak Niranjana
wahi par gir padi to madhu bhag kar Niranjana pakad kar uthai

Ab kya hoga unhone ne murti ke bare main kuch bhi nahi bataya vikarm singh bol pade

aap log chinta mat kijiye ab murti ko bas ek hi dhundh sakti hai our wah hai aap ki beti kisi our ne us murti ko dhundhne ki kosis kiya to wah sach main use maar degi wah bahut sakti sali hai main bhi uska kuch nahi bigad sakta huin jab tak wah murti us mandir main nahi rakhi jayegi use mukti nahi milegi to kisi bhi tarah us murti ko aap ki beti ko dhundhna hoga q ki wah bas aap ki beti ko hi kuch nahi kar sakti hai shera waha se uthte hua kaha

phir sabhi haveli se bahar nikal gaye abhi niranjana bhi hosh main nahi thi jo mahima our madh niranjana ko pakad kar haveli ke bahar lekar aa gayi

didi wah kahani nahi wah hamare purkhon ka bita hua kal tha jo ham use bas ek jhuthi kahani samjh rahi thi mahima mamta se boli

haa aaj pata chala sasu maa ham dono par itana gussa q karti thi jab hameh ladki paida nahi karti thi jo uneh bhi pata tha ladka our ladki ko janam dena hamare bas main nahi tha ab mujhe sab samjh main aa raha hai jo bhi sasu maa ne mere our tere sath kiya yekinn unke sath bhi yehi hua hoga tabhi wah ladki nahi hone par dukhi hokar ham pe gussa karti thi mamta un lamhon ko yaad kar ke bol rahi thi jab pahli bar maa bani thi our amar ko janam diya tha jaha mamta bahut khush thi ladka hone se magar ghar jate hi mamta ki sas ne mamta se milne bhi nahi aai uske room main our bahar se hi kuch na kuch bolti rahati thi mamta ko magar mamta koi jawab nahi deti thi apni sas ko magar sochti zarur thi ke sabhi nati hone par khushi manati hai our apni bahu ko apni sar par baitha leti hai magar meri sas mere bachhe ko dekhne bhi nahi aai mamta soch soch kar rone bhi lagati thi wahi aaj bhi mamta ki aankho se aansu nikal raha tha magar ye aansu khushi ka tha

madhu meri bahan tu bahut kismat wali hai jo tune niranjana ko janam diya our ham sab ko ek gudiya diya agar aaj sasu maa zinda hoti to wah aaj ye din dekh kar bahut khush hoti mamta ji rote hua madhu ke samne hanth judte huwe

didi ye aap kya kar rahi hai aap mujhe sarminda mat kijiye aap meri badi bahan jaisi nahi maa jaisi bhi hai aap ne kabhi bhi mujhe us ghar main akeli mahsus nahi hone diya mujhse kabhi galti bhi ho jati thi to aap sasu maa se jhut bol deti thi ke wah saman aap ki wajah se ho gaya taki sasu maa mujhe kuch na bole our badle main aap khud mere kiye hua galti ki khud sasu maa ki gusse ko sah leti thi jo ek maa hi kar sakti aap please hanth mat judiye mujhe madhu bhi roti hui boli

tabhi niranjana kahrte hua uthne lagi to mamta mahima our madhu apni aankho se bahte hua aansu pochh liya

maa kya wah kahani sach main hamare hi purkhon ki hai kya sach main wah hamari kahani hai niranjana uthte hua boli

haa meri bachhi wah kahani hamari hi purkhon ki hai our wah ladki tum ho jisse hamari nirjala maa kab se intazar kar rahi hai madhu niranjana ko chumte hua boli

wahi niranjana ne jab suna ke wah kahani sach hai our wah ladki khud niranjana hai to wah our bhi khush ho gayi our apni maa se lipat gayi

maa kya unhone ne sambhu ko jaan se maar di thi unhonne ne bataya ki nahi nirnjana utsukta se boli

aaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaa

maa mere jisam bahut dard kar raha hai nirnjana jab uthne lagi to use dard hua apni jism main to boli

chalo pari beti tum abhi aaram karo subah main baat karte hai mamta ji nirnjana ko apni god main leti hui boli wahi madhu our mahima niranjana ki jism ko dhire dhire dabane lagi jo kuch hi der main niranjana nind ki aagosh main chali gayi
_______________________________
idhar sadak par kai gadiya chal rahi thi raat ke andhere main

bhima main tujhse bolna bhul gaya tha kya tumne us videshi ko jaan se mar diya ya abhi bhi use bandh kar rakha hi hai ab hameh uski koi zarurat nahi hai gadi main ek ne kaha jo wahi boss tha

nahi boss wah abhi zinda hai q ke aap ne kaha hi nahi bideshi ko marne ke liya main to use kab ke mar chuka hota magar aap phikar mat kijiye main abhi apne bando ko bol deta huin wah log use thikane laga denge bhima ne kaha our apne bando ko phone laga diya magar uske koi bhi aadmi phone nahi utha raha tha bhima ne kai bar phone kiya magar ek bar bhi kisi ne phone nahi uthaya

boss lagta hai sale sab pikar so gaye hai jo phone nahi utha rahe hai aap phikar mat kijiye subah main phone kar ke main bol dunga un sab ko us videshi ko thikane lagane ke liya bhima ne kaha

wahi jaha bhima phone kar raha tha wah ek godam tha jo har tarf gun barood se bhara hua tha magar abhi wah jagah aag main jal raha tha our bhima ke aadmi sabhi mare pade the phone to baj raha tha magar waha koi zinda hi nahi tha to phone kaun uthayega

bhima ka gadi tezi se chal raha tha wah subah tak kisi bhi halt main hathama gaon main jana chahte tha

[color=rgb(255,]Next morning[/color]
shera subah main uthta hai to gaon ki tarf aate hua kai gadi ko dekhta hai jo shera ko thodi hairani hoti hai magar gadi jab shera ke samne akar rukti hai to shera jaan jata hai kaun log hai ye shera wahi khada rahta hai

wahi kai gadiyon ki aawaz sun kar tambu main so rahe sabhi dhire dhire uth jate hai our apne apne tambu se bahar nikal jate hai samne dekhte hai to bahut sari gadiyan khadi hoti hai jinme 2 se 3 gadi zameen khodane wali hoti hai jo sabhi ko hairani hoti hai ke yeha zameen khodane ki masin q aayi hai

Wahi gadi se ek aadmi nikalta hai jise shera achhe se pahchan jata hai wah chal kar shera ke pass aata hai

to shera kya tumne tumne us aatama ko mukt kar diya n haa mujhe pata hai tumne kar diya hoga shera main tumeh mala mal kar dunga wah aadmi shera ke pass akar bolta hai ye

Ye gadiyan yeha kya kar rahi hai shera us aadmi se bolta hai

shera tumhara kaam ho gaya hai ab tum yeha se jaa sakte ho baki sab main dekh lunga yeha our ye lo tumhara inam wah aadmi ek baig shera ko dete hua bolta hai

rameshwar singh tum yeha kuch bhi nahi kar sakte jab tak is jagah ke malik tumeh kuch bhi karne ki izaazat nahi deta samjhe yeha sari zameen ka malik vikram singh hai shera bolta hai

kya bak raha hai tu is zameen ka malik koi nahi hai yeha kai barso se koi nahi rahta hai our kisi ko nahi pata is zameen ka malik kaun hai to ye sari zameen sarkar ke hantho main jati hai our maine pahle hi baat kar liye hai tum to jante hi ho meri kaha tak pahunch hai to tum ye paise lo our niklo yeha se samjhe rameshwar singh bolta hai

rameshwar singh pahle is zameen ka malik koi nahi tha magar ab hai mujhe khud us aatama ne batai hai wah vikram singh ka zameen hai q ki vikram singh us aatama ka vinsaj hai to ye sari zameen bhi unki hui tumhara nahi shera ne kaha

jab rameshwar singh ne shera ki baat suna to gusse main shera par gun taan diya to us aatama ne tumeh bataya hai to main vikram singh ke sabhi pariwar ko hi maar dunga our ye sari zameen meri ho jayegi

bhima jo shera ke sath apna aadmi hai usse puchh kar vikarm singh our uske pariwar ko pakad lo abhi rameshwar singh bola

tabhi waha ek banda bhima ke samne aaya jo tambu ke bahar hi khada tha our vikram singh ke pure pariwar ke tarf ungli utha diya jo bhima ke sabhi aadmi vikram ke pariwar walon par gun taan diye

rameshwar singh tu ye achha nahi kar raha hai meri baat ko maan our yeha se bhag jaa warna jab wah aa gayi to bhagne ki bhi mokka nahi degi shera ek kamina muskan ke sath bola

jo rameshwar singh shera ko dekhne laga ke shera kisi baat kar raha hai tabhi use dhayan aata hai

kya abhi tak tune use mukt nahi kiya rameshwar singh thoda darte hua kaha

wahi shera ek muskan ke sath na main sar hila deta hai phir
Shera ki ek chikh hawaon main gunj padti hai
 
[color=rgb(255,]UPDETE _____________{26}[/color]

[color=rgb(147,]Shera abhi bol kar hass hi Raha tha ke Rameshwar singh Shera par apne gun se Shida Fair kar deta hai jo goli shera ke kandhe par lagti hai our shera chikh ke gir padta hai

bhima jitna jaldi ho sake tum vikram singh ke pariwar ko dhundh kar yeha lekar aao hameh jaldi hi is jaha se abhi niklna hoga rameshwar singh bolta hai to bhima apne sathiyon ko bolta hai our wah shera ke sathi ko lekar chale jate hai vikarm our uske pariwar ko pakdne ke liye

gun ki aawaz Ko sun kar sabhi tambu ke andar dar jate hai our bhag kar tambu se bahar aate hai to dekhte hii bahar kai sari gadiyan lagi hai our bahut se gundey hai jo sabhi ke hanth main gun hai jo sabhi students dar jate hai

wahi tambu main abhi mamta ji nirnjana ke bagal main baith kar niranjana ko pyar se dekh kar muskurate hua nirnjana ki gaal par hanth fer rahi thi tabhi tambu main 3 se4 gundey ghus jate hai our gun taan dete hai kaun ho

tum log our yeha kya kar rahe ho jaao yeha se mamta ji bolti hai

magar wah gundey mahima ji our madhu ko pakad lete hai our mamta ji par gun taan dete hai

tum sabhi abhi ke abhi tambu ke bahar chalo hamare sath ek gunda bolta hai

magar mamta ji niranjana ke aage khadi ho gayi our phir se uneh bahar jane ko bolti hai

tabhi ek gunda mahima ji ko bahar ki taraf dhakka de deta hai jo mahima chilla ke bahar jakar gir padti hai

madhu didi kahte hua mahima ke pass bhagti hai our mahima ko uthati hai wahi mahima ki chillane ki aawaz ko sun kar niranjana bhi uth kar Baith jati hai our apni badi maa se lipat jati hai

badi maa ye kaun log hai darti hui niranjana bolti hai

tum bhi mere sath chalo nahi to tumeh bhi isi tarah dhakka dekar lekar jayenge ham gunda bolta hai

to mamta ji niranjana ko pakde hua tambu se bahar nikalti hai our samne dekhti hai to shera dard se chikh raha tha wahi pe mamta ji ke pati our devar bhi khade hai our un par bhi gun taan kar gundey khade hai

rameshwar singh ko shera ke sathi bata deta hai vikramsingh our uske pariwar ke bare main jo asal main wah shera ka nahi rameshwar singh ka hi aadmi tha to rameshwar singh vikram our uske pariwar walon ko ek jagah kar deta hai

tum ho kaun our hameh is tarh pakdne ka kya matlab hai main to tumeh janta bhi nahi huin vikram singh kahta hai

haa tum sahi kah rahe ho naahi tum mujhko jante ho our nahi main tumeh janta huin is liye main tumse bas ek bat bol raha huin kuch hi waqt main yeha par ek pepar aane wala hai bas tumeh uspe apna signature kar dena hai phir tum apne parivar ko lekar ja sakte ho rameshwar singh bolta hai

kaun si pepar our signature ki baat kar rahe ho tum vikram singh phir se bolta hai

nahi aap signature mat kijiyega gaa shera chikh kar bolta hai

tabhi shera ke kandhe par jaha goli lagi thi Wahi rameshwar singh apna pair rakh deta hai jo shera chikh kar rah jata hai

yehi ki tum yeha ki sari zameen mere naam kar rahe ho wah bhi apni marzi se jo yehi sahi bhi rahega tumhare liye samjhe rameshwar singh haste hua bolta hai

main kabhi bhi signature nahi karne wala ye zameen mere bujurgo ki hai jo mujhe aaj hi pata chala hai wah main nahi jane dunga tum mujhe ye meri pariwar ko kuch nahi kar sakte kuch hi der main yeha police aane wali hai samjhe vikram singh bhi gusse main bolta hai

tabhi rameshwar singh apne hanth vikram singh ke pariwar ki tarf kar deta hai our gun bhi taan deta hai

to phir tum sab ko marne ke alawa mere pass ko rasta nahi hai rameshwar singh bolte hua gun chala deta hai mamta ji ki taraf vikram Singh chikh padta hai

wahi rameshwar singh jaise hi goli chlata hai jeams bhag kar mamta ji ko lekar gir padta hai our goli rameshwar singh ke ek aadmi par lagati hai jo wahi par gir padta hai rameshwar singh phir goli chalane jata hai tabhi piche se uski gadi main ek zor se dhamaka hota hai our wah gadi ud padti hai rameshwar singh ghum kar pichhe ki tarf gir padta hai

idhar kavita apne sare students ko lekar apni gadi ki tarf bhagti hai wahi jeams niranjana our uski maa badi maa ko haveli ki taraf lekar bhagta hai hai sath main haveli main vikram singh bhi apne dono bhaiyon ko sath lekar bhagta hai haveli ke andar jakar sabhi ek sath main ho jate hai sabhi dare hua ek dusre ko dekhte hai magar vikram singh sabhi ko sant rahne ko bolta hai our uneh haveli ke bilkul ander lekar jata hai

wahi haveli ke bahar rameshvar singh jab uthta hai to dekhta hai uske ek ek gadi main aag lag rahi hai our udati jaa rahi hai

Bhima ye kya ho raha hai kaun hamare gadiyon ko uda raha hai rameshwar singh gusse se kahata hai

pata nahi boss kaun hai aap yehi rahiye main dekhta huin bhima bolta hai

kuch aadmiyon ko haveli main jane ko bolo our sabhi ko maar do koi bhi zinda nahi bachana chahiye rameshwar singh bolta hai
[/color][color=rgb(147,]

bhima apne sathiyon ko sath chalne ko bolta hai our haveli main jane lagate hai tabhi ek goli akar bhima ke ek aadmi par lagta hai our wahi par maar jata hai

haveli ke chhat se goli chalte hua dekh kar bhima apne sathiyon ko bahar hi rukne ko bolta hai

tabhi bhima ki nazer chhat par padta hai ye ye yeha kaise aa gaya bhima uper chhat par khade hua aadmi ko dekhta hai jo nishana lagaye khada hota hai to bhima ko bahuy hairani hoti hai

boss pata nahi kaise magar wah videshi yeha tak aa gaya hai our haveli ke chhat se hampe gun chala raha hai bhima kahata hai

tu yu kya bak raha hai videshi yeha kaise aa sakta hai kya tune waha kisi ko bataya tha tu kaha jaa raha hai rameshwar bhima ko ghumte hua bolta hai

Ha boss maine apne ek sathi ko bataya tha bhima bolta hai sale bahan chod tujhe batane ki kya zarurat thi ye videshi un sabhi ko maar kar yeha aa gaya hai magar mujhe samjh main nahi aa raha agar videshi bach gaya tha to apne desh bhag jata yeha q aaya hai rameshwar bol padta hai

wahi raka bhi shera ko utha kar sare students ke sath bhag gaya tha our gadi main ghus kar gadi ke draivar ke sar par gun taan kar khada tha our draivar ko gadi tezz chalne ko bol raha tha taki apne boss shera ko bachha sake
[/color]
 
[color=rgb(0,]bhima Kisi Tarh Haveli Main Jana chahta Tha Magar Chhat Se Goli Rah Rah Kar Chal Hi Rahi Thi Jo Bhina Haveli Ke Andar Jaa Nahi Paa Raha Tha Ab Din Bhi Dhalne Laga Tha

Bhima Abhi Hameh Yeha Se Nikalna Hoga Shera Ne Abhi Tak Us Aatma Ko Nahi Mara Hai Rameshwar Kahta Hai

Magar Abhi Ham Kahi Nahi Jaa Sakte Hai Boss Ab Kuch Hi Waqt Main Raat bhi Hone Wali Hai Our Hamare Pass Gadi Bhi Nahi Hai Bhima Kahta Hai Nahi Bhima

Main To Yeha Nahi Ruk Sakta Huin Wah Mujhe Maar Dalegi Tu Kisi Tarh Sabhi Ko Maar De Main Tujhe Mala Maal Kar Dunga Main Abhi Jata Huin Pass Main Hi Ek Gaaon Hai Main Tujhe Kal Wahi Milunga Agar Tu Sabhi Ko Maar Diya To Rameshwar Singh Kahata Hai

Thik Hai Boss Main Sabhi Ko Maar Kar Kal Milta Huin Aap Se Bhima Kahta Hai Our Wah Apne Sabhi Sathiyon Ko Apne Pass Bolata Hai

Tum Dono Uper Goli Chalate Raho Jab Tak Ham Haveli Ke Andar Na ChaleJaye Samjhe Bhima Apne Do Sathiyon Se Kahata Hai

jii Boss Bhima ke Sathi Kahte Hai

To Bhima Andar Jane Ke Liye Taiyar Ho Jata Hai Bhima Jaye se Hi Haveli Ke Get Se Nikalta Hai Uske Dono Sathi Goli Chalane Lagte Hai Our Bhima Apne Sathiyon Ke Sath Haveli Main Chala Jata Hai

Bhima Apne Sathiyon Ke Sath Andar Aa Jata Hai Our Har Tarf Dekhne Lagta hai Vikram Our Uske Pariwar Ko Kisi Ko Bhi Mat Chhodna Dikhte Hi Uda Dene Bhima Apne Sathiyon Se Kahta Hai Our Sabhi Alag Alag Ho Jate Hai

wahi Niranjana Ke Sath Lekar Mamta Ji Haveli Ke Andar Hi Bhag Gayi Thi Jaha Siraf Abhi Andhera Hi Andhere Tha our Ab Raat Bhi Hone Wali Thi

Badi Maa Mujhko Dar Lag Raha Hai Ye Kaun Log Hai Hameh Marna Q Chahte Hai Niranjana Dari Hua Bolti Hai

Gudiya Main Tumko Kuch Nahi Hone Dungi Tum To Meri Bahadur Beti Ho Daro Nahi Tumhare Papa Our Bade Papa Hameh Kuch Nahi Hone Denge Mamta Ji Kahati Hai

Dar To Sabhi Rahe The Magar Jahir Nahi Kar Rahi Thi Niranjana Ki Wajah Se Our Raat Hone Se Koi Ek Dusre Ka Chehra Bhi Nahi Dekh Paa Rahe The Sabhi Hi Haveli Ke Andar Ek Room Main Chhup Kar Baithi Thi He

Nirjala Maa Hamari Madad Kijiye Kaha Hai Aap Nahi To Ye Gundey Hamari Jaan Le Lenge Maa Kaha Hai Mamta Ji Man Main Kahati Hai Tabhi Goli Ki Aawaz Chalne Lagati Hai To Niranjana Dar Kar Mamta Ji Se Lipat Jati Hai


Udhar Goliyan Bas Chalti Hi Jaa Rahi Thi bhima Ke Aadmi jidhar Bhi todha Sa Aawaz ho Raha tha Goli chala rahe the tabhi mamta ji ko gundon ke chalne ki aawaz sunai deti hai jo mamta ji mahima our madhu bhi darne lagati hai sabhi dar kar apni aankhen band kar leti hai our sochti hai ab wah log jinda nahi Bachegi tabhi mamta ji ko niranjana ki aawaz sunai deti hai jo mamta ji ke god main huin huin kar rahi hoti hai tabhi goli chalti hai our sabhi chikh padati hai apni aankhen band Kar ke

didi didi aap thik hai meri beti kaha hai mamta didi kuch hi der main madhu bolne lagati hai wahi mamta ji bas hanf rahi hoti hai unke munh se aawaze hi nahi nikalti hai

didi aap Kuch bol q nahi rahi hai niranjana Beti aap ke pass hai na Madhu phir roti hui bolti hai

Chhoti Wah Aa Gayi Hai mamta ji bolti hai chhoti nirjala Maa aa gayi hai wah hameh kuch nahi hone dengi chhoti Wah hameh kuch nahi hone dengi mamta ji khushi se bolne lagati hai tabhi us room main gundon ki chikhe gunjen lagati hai bhima Apne sathiyon ki aawaz sun kar unke tarf bhagta hai magar bhima jab apne sathiyon ke pass Jata hai to wah mar chuke hote hai bhima bhi har tarf goliyan chalane lagata hai main

tum main se kisi ko zinda nahi chhodne wala huin sab ko maar dunga bhima chikhte hua bolne lagata hai hhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhh

Tu chhu bhi nahi sakta hai unme se ek ko bhi main teri khun pi jaungi

hhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhh

niranjana bolti hui akar bhima ke samne khadi ho jati hai bhima dar kar pichhe hi hat jata hai nirnjana ki pura kapda khun se bhinga hua hota hai

our jab bhima niranjana ki chehre par light karta hai to uske hanth se light pichhe gir jata hai magar bhima jald hi niranjana par gun chalane lagata hai bhima jab tak goli chalta hai jab tak gli khatam nahi ho jata hai

hhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhh

mujhe teri khun pina hai bol kar Hasne lagati hai

bhima dar kar kapne lagata hai our haveli ke bahar bhagta hai magar wah apne aap hi pichhe aa jata hai our diwar par takrane lagata hai bhima ki chikhe pure room main gunjne lagata hai

bhima ki chikhe sun kar sabhi niranjana ke pariwar us room main aate hai our dekhte bhima niche zameen par tadap raha hota hai wahi niranjana khade hokar hass rahi hoti hai

ab teri baari hai sambhu nirnjana itana bol kar hawa ki raftar se kab waha se chali Jati hai pata bhi nahi chalta hai unme se kisi ko

idhar rameshwar singh bhagte hua jaa raha hota hai rameshwar bhagte hua hanf raha hota hai magar rukta nahi hai

wah mujhe zinda nahi chhodegi Nahi jab tak ye taabiz mere pass hai wah mujhe chhu rameshwar bhagte hua ruk jata hai wah jaise hi gale main hanth rakhta hai ke gale main uske taabiz nahi hoti hai aaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaa

Tabhi rameshwar singh niche zameen par gir jata hai our piche ki tarf use koi khichne lagata hai our rameshwar ki chikhe sunai deti hai siraf

our Ek Jagah rameshwar udte hua girta hai

nirajala mujhe chhod do main marna nahi chahta huin mujhe chhode do rameshwar raham ki bhikh mangte hua bolta hai Wahi rameshwar ki chikhe sun kar niranjana ke pariwar Bhi waha aa jate hai

hhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhh

Chhod Doo

hhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhh

Kya tune mujhe chhoda tha main kitni minnat kar rahi thi tum Se Main Apne pati ke Sath our bachhe ke sath achhi zindagi jina chahati thi magar Tumne Ek Hi pal main meri dunia ko ujad diya main apne bachhe ke liye raham ki bhikh manti rahi magar tumne mere sath mere lal ko bhi maar diya niranjana roti hua bolti hai

our rameshwar ko ek laat marti hai jo rameshwar dur jakar girta hai Niranjana pichhe ki taraf hanth karti hai to ek khanjar uske hanth main aa jata hai our phir niranjana khanjar Shidhe rameshwar ki pair par marti hai rameshwar chikhne lagta hai wahi rameshwar ki chikh sun kar niranjana our zor zor se hasne lagati hai our haste hua hi niranjana rone bhi lagati hai wahi par baith kar rameshwar mokka dekh kar tadapte hua pichhe ki tarf hone lagata hai tabhi pichhe kisi se takra kar ruk jata hai kahi

nahi bhag sakta hai tu niranjana bolti hai our rameshwar par khanjar se waar karne lagati hai

wahi sabhi ke roye khade ho jata hai Niranjana rameshwar ko marte hua wahi rone lagati hai mamta ji bhag kar niranjana ke pass chali Jati hai our pass main baith kar hanth jud deti hai

maa aap ka badla ab pura ho gaya hai aap hameh bata dijiye wah murti kaha hai ham aap ko our bhatakte hua nahi dekh sakte hai mamta ji bolti hai hanth jud hua hi wahi niranjana ki pura pariwar hi niranjana ke samne hanth jud deta hai

murti us ped ke niche hai niranjana bol kar gir jati hai

sabhi niranjana ko lekar haveli ki tarf jane lagate hai to uneh Samne kisi ko dekh kar ruk jate hai to vikram singh us aadmi par gun taan deta hai ruko ruko main dusman nahi huin maine hi tum sab ko bachaya hai aadmi bolta hai

tum ho kaun vikram singh bolta hai

Mera naam devid hai aadmi bolta hai

devid naam sun kar jeams ke aankhon main chamak aa jata hai magar kuch kahta nahi hai phir sabhi Haveli main pahunch jate hai
[color=rgb(255,]Next Morning [/color][/color]

[color=rgb(0,]Maa Maine Abhi Aap ke phone par ek photo bheja hai kya aap uneh janti hai jeams subah hi devid ke photo lekar apni maa ko bhej deta hai our phone kar ke puchhta hai Jeams beta ye tumhare dad hai kaha hai wah mujhe Abhi milna hai jasmeen bolti hai

Maa aap sunita didi ko lekar yeha Aa jaiye uneh pata hai ham kaha hai jeams bolta hai vikarm singh our uske bhai subah hi uth kar murti waha se nikal lete hai

wahi wah tuta hua mandi ko mamta subah main hi saaf karne lagati hai ham bahut jald hi is mandir ko bahut achhe se banwa denge niranjana jab mandir murti rakhti hai to vikram singh bolta hai Wahi jab Niranjana murti rakhti hai to use lagata hai uske sath koi khada hai

Wahi devid ne apni puri bita hua kal jasmeen our jeams ko bataya ke kaise devid ko yeha pata chala ki kirasan teel ka bhandar hai our wah yeha se kisi tarah bach kar bhag gaya our phir uska rameshwar singh se dosti hui our devid usko yeha ke bare main bataya magar rameshwar singh ne uske sath dhokha kar ke qaid kar diya our apne kuch aadmiyon ko yeha bheja our khud bhi yeha aa magar phir is gaon main aane se pahle hi sahar bhag gaya phir devid ke batane par jeams ne sari baat vikram singh ko bataya tab vikram singh ko tab vikram Singh tell nikalne se mana kar diya ki jab waqt aayega to iske bare main sochenge

kuch din ke baad mandir jab ban gaya to mamta ji ne ek bahut badi puja rakhi our usi puja main niranjana our jeams ki shadi kar diya
[color=rgb(255,]10 Sall Baad [/color][/color]

[color=rgb(0,]Badi maa nirjala aap ke pass aai hai kya main use khana khila rahi thi to bhag kar idhar hi aai hai badi maa wah bahut badmash ho gayi hai niranjana bolti hai nahi gudiya wah mere pass nahi aai hai dekh kahi madhu ke pass gayi hogi mamta ji bolti hai

to niranjana apni maa ki room ki tarf chali Jati hai

chalo ab bahar aa jaao tumhari maa chali gayi hai mamta ji bolti hai

Nani maa chaliye na bahar chalte hai warna maa phir se akar mujhe khana khilane lagegi nirjala bolti hai to mamta ji ha bolti hai meri pyari nani aap mujhe bahut pyar karti hai nani maa main ruk jaiye main Ek Saman lekar Aati Huin bol kar nirjala mamta ji ke bed ke andar ghus jati hai

ye lathi q la rahi hai mamta ji dekhti hai ki nirajala do lathi lekar niklti hai bed ke niche se

Nani maa Aap ko ye bhi nahi samjh main Aa raha ham dono mil kar lathi se khelenge ab chaliye bhi mamta ji nirajala ke sath garden main khelne chali Jati hai our nirjala ke sath khelne lagati hai nirjala Khelte hua achank mamta ji par tezz tezz marne lagati hai our mamta ji gir jati hai chilla kar mamta ji ki aawaz sun kar sabhi bhag kar garden main aa jate hai our mamta ji ko dekh kar unke pass aa jati hai wahi nirjala mamta ji ke pass khadi rah kar rone lagati hai

sorrt sorry nani maa mujhe pata nahi kya ho gaya tha main lathi nahi chala rahi thi nirjala roti hui bolti hai

tum bahut badmash ho gayi hai chalo aaj main tumeh bahut marungi tumne meri badi maa ko gira diya hai niranjana bolti hai wahi nirjala rone lagati hai

koi baat nahi meri jaan nani tum pe gussa nahi hai our tum bhi meri beti ko chhuna bhi mat samjhi

dekha mammy ye ab meri nani maa hai nirajala rote hua apni aansu Pochhte hua niranjana ko ungli dekhate hua bolti hai jo sabhi muskurane lagati hai

[color=rgb(255,]THA END[/color][/color]
 
Back
Top