• Hello Friends You can Register on the Forum and by posting you can earn money too.

Fantasy ABHI - THE WARRIOR 2 (Completed)

Update - 69

Deepu k 8 dost gayab the ...aur uske mann mein kuch bura hone ki aashanka bal pakad rahi thi ...

ab aagee....

Deepu apne dosto ko dhundne ...gaon se bahar ..nadi k kinare kinare ....chalte hue .....purane Dragon wale mandir k nikat ...hi pahadi ..se girte ..hue zharne tak pahuncha .....unchayi se girte hue jharne k kaaran ...waha ek chota talab sa bada hua tha ....

Deepu uss talab k kinare kinare chalte hue apne doston ko dhundne laga ....ek jagah usse apne doston k ...kuch kapde aur unke mobile rakhe hue mile ....Deepu ne charo taraf khoja ...lekin uske doston ka kahi kuch pata nahi chala ....talab tak jaate hue unke pairo k nishan bane hue the ....lekin unke lautne ka koi nishan nahi tha ....

Aakhir jo socha wahi hua ...Uske mann mein kissi anhooni ghatit hone ki aashanka aur balwati ho gayi .....Deepu talab mein utar gaya ....aur poore talab mein jal k bhiter apne dostoh ko khojne laga ..lekin unke koi bhi pata nahi tha ...talab se jal ek choti nahar k roop mein jungle k bich se hokar gujarti thi ....Deepu ..tairte hue ab ussi nahar ...k jal mein aage badhne laga ....

abhi thodi hi dur badha tha ...k ek bada sa magarmach uski or badha ....woh apna bada se jabda kholkar Deepu par humla karne hi wala tha ...k Deepu usse chakma dekar ...tezi se uske niche se nikalkar aage badha ....lekin aage do aur bade semagar mach muh faade ....uske saamne the .....
ab unn magarmacho ko maarkar aage badhne k siwa uske paas aur koi rasta nahi tha .....tab tak picche wala bhi paas mein aaraha tha .....ek ne tab tak uss par humla kar diya ...Deepu ne majbooti se uske jabde ko pakadkar usse chir diya ...tab tak ek ne ...apne jabde mein uska ek pair pakda hi tha ...k . Deepu ne dusre pair se ek jordar kick uske jabde par maari ..aur hawa mein uchalkar ..apni talwar ...ka waar ek magarmach k sar k aar paar kar diya ...teesra jaise hi uspar humla karne aage badha ...Deepu ne apni talwar se uska bhi kaam tamam kar diya...

teeno magarmach maare jaa chuke the ....Deepu k ek pair bhi magarmach k daant lagne se thoda jakhmi ho gaya tha ..issiliye Deepu nahar se bahar aaya ....nahar k kinare baithkar apni sansoo ko niyantrit karne laga ..woh lagbhag ..ek ghante se tair raha tha ..pair k zakhmo se khun bhi bah raha tha . aur pida bhi bahut ho rahi thi....Deepu ne apne chakro ki urja ko sakriya karke panch tatva ki urja se apne ghav ko heal kiya ...

Nahar mein tairta hua woh bich jungle tak aagaya tha ....ek bàar toh uske mann mein aaya k kahi uske dost bhi magarmacho ka shikar toh nahi ho gaye ....lekin uske mann kah raha tha k nahi jo dikh raha hai woh sach nahi hai ....kuch na kuch toh aisa chal raha jo woh samaz nahi raha hai ....

Deepu phir nahar k kinare kinare chal kar dekhne laga k kahi yoh kuch aisa mil jaaye ....jisase kuch pata chale .....thodi dur chalne k baad usse ...nahar k kinare kuch kadmo k nishan mile ...jo nahar se jungle ki or jaarahe the ....Deepu unhi kadmo k nishan par chalte hue aage badha ...aagee ...ghaas aur pedo se gire patto k kaaran ab nishan bhi khatam ho gaye the ...

.ab aage kaise badhe issi baat ko woh soch raha tha ...k usse aise laga jaise uske picche koi hai ...Deepu satark hokar apni talwar sambhal li aur vaar karne piche muda ..toh ..waha uske teeno bbhai the ...

Shivom - arre arre bhai ..ruk jaa ...kya kar raha hai ...hume maarne ka irada hai kya ...

Deepu - ohh toh tum teeno ho ..lekin yaha kya kar rahe ho ....

Krish - Bhai pahele tum batao k yaha bich jungle mein tum kya kar rahe ho ...pata bhi hai ..waha Mahal mein sab tumhe hi dhud rahe ..hai ..aur tum yaha jungle mein ghum rahe ho ....

Shivom - kuch toh baat hai bhai ..nahi toh tum aise yaha nahi hote ...

tab Deepu ne unhe sabkuch bata diya .....

Krish - yeh toh bahut bura hua bhai ....kahin woh sab un magamachho ka shikar toh nahi ho gaye ....

Deepu - nahi muzhe aisa nahi lagta ....nahar se lekar yaha tak phir yeh pairo k nishan kiske hai ...

Shivom - jaisi paisthiti dikh rahi gai ..woh khud gaye nahi unhe le jaaya gaya hai ..lekin kyu aur kaha ....itne bade jungle mein kaha dhundenge ...

Virat - tum sab ruko mein dekhta hu ....(itna kahkar Virat ne apni aankhien band kar li ...apne gyan aur indriyo ki shakti ka prayog karke ...jungle ki har aawaj ..ko dekhne ka prayatna karne laga .)

Virat - jaldi chalo yaha se paschimi disha mein kuch gunde type k log msine dekhe ..hai shayad wahi kuch pata chalega ...

Jungle k ek kone mein lagbhag ...10 ...gunde aadhunik haiyaro se lace ....ek gufa ..k bahar khade the ....woh kissi nakab posh se kuch baat kar rahe the ....

Deepu ..Shivom ...Krish ..aur Virat ...charo unse kuch dur zhadiyo mein teleport hokar pahunch gaye ....unhone ...saamne ka drishya dekha jaha ..woh Nakab posh unn gundo ko kuch bata raha tha ....Charo ne ek dusre ki aankho mein dekhkar ishara kiya aur ....zhadiyo se nikalkar ...aage badhe ....

woh charo aage badh hi rahe the k uss Nakab Posh ki nazar unpar padi .....

NP - apne gundo se - bewakufo lagta hai ab tumahara man nahi hai kaam mein yeh charo kaise chut gaye .....

Un gundo ne palatkar dekha .....unmein se ek....
G - lekin boss waha toh sirf woh 8 hi the ....yeh pata nahi kaha se aagaye ....

NP - Kaun ho tum log aur yaha kya kar rahe ho ..

Deepu - Uncle hum toh apne doston ko dhundte hue yaha pahunche ....kya aapne unhe kahi dekha hai .....

NP - apne gndo se ......Bewakufo ..aise kya dekh rahe ho suna nahi yeh apne doston ko milne aaye hai ....inhe inke doston se mila do ...dhyan rahe muzhe sab jinda chahiye ....

Krish - aap aisa jyu kah rahe ho jinda chahiye ....aap .humara kya karoge ..uncle ..hume chod do ..hum yaha se chale jaayenge ....

NP - ha..ha ha ...kaha jaaoge bachkar ...( apne gundo se ) pakdo inhe ... ...un 10 mein se ek apni ..Gun lekar aage badha ...

Gunda - apne haath upar uthao ..nahi toh tum sabko yahi bhun dunga ....

uss gunde ki baat sunkar Deepu ko chodkar teeno muskurane lage ....kyu k uss gunde ne Deepu par hi gun taan di thi aur ab kya hone wala tha yeh unhe maalum tha ....

Deepu ne apne haath upar uthaye ....aur pal bhar mein uss gunde ki gardan jamin par padi thi ....khun ka fawara ..chodte hue uska dhad ...bhi jamin par girkar chatpatane laga ....

achanak yeh kya hua woh NP aur gunde samaz nahi paaye ....unhone aisa kuch socha nahi tha ....NP khatre ko bhanp chuka tha .....

NP - dekh kya rahe ho bhun do sabko ....

uske itna kahte hi ...sabhi guns garaj uthi ..lekin usase pahele hi Krish ne ..ek abhed shield saamne khadi kar di ..jisase woh saari goliya takrakar girne lagi ...

NP ne jab Shield ko dekha toh samaz gaya k yeh koi sadharan ladke nahi hai inke paas bhi powers hai ....Toh usne ...apni urja ka prahar...uss shield par kiya ...jisase ...woh shield tut gayi lekin tab tak ..Virat apni telekinesis ki power se unke guns ko jaam kar chuka tha ....jisase goliya chalni band ho gayi .....gun band hote dekhkar un gundo ne guns wahi jamin par patki aur ...unn charo ki taraf ....daude ...abhi Deepu kuch karta ..k Shivom ne usse rok liya ...

Shivom - bhai hume bhi thodi sewa ka mauka do ...

woh 9 gunde un tak pahuche hi the ...k Shivom ..hawa mein uchalkar ..ek k seene par jordar kick maari ...jisase uske seene k haddi tut gayi aur woh dharashayi ho gaya ....ek ..gunda ne tab tak uski gardan piche se apni bajuo mein jakad ..li ..aur ek uske pet mein mukke barsane laga ....Shivom ne ek haath piche le jaakar ...uski gardan pakad li aur ek zhatke se uski gardan ki haddi tod di aur saamne wale k dono taango k beech ek jordar prahar kiya ...jisase wohcheekhta hua niche gir pada ...uske gurte hi usne ..sar ko apne pairo tale khuchal diya ..jusase uski khopi fut gayi ...aur uska bheja bahar aagaya ....

yaha teen gunde Krish par ek saath zhapte the ....Krish ...hawa mein uchalkar ...waha sevhat gaya aur teeno ek dusre se takra gaye ....jab takwoh sambhalte ..tab tak ...woh ek gunde k piche jaakar uski garden marod chuka tha ....Baaki bache do mein se ek ne Krish ek muuka uske jabde par marna chaha ..lekin uske pahele hi Krish ne uska haath ukhad diya ..jisase woh chillate hue behosh ho gaya ...Tab tak teesre ne picche se ek jordar kick Krish k pith par maari ...jisase woh girte girte bacha ...usne turat sambhalkar ...uss gunde par chalang laga di ...aur usse dharti par gira diya ...uske chatti par sawar hokar ..Krish ne uski gardan hi dhad se ukhad di ....

teen gunde jinhone Virat par humla kiya ....woh teeno ek saath uski aur bade ....lekin Virat ne apni mind controlling power ka istemal ...karje unn teeno ko vash mein kiya ...woh teeno ab ek dusre k khoon k pyase ho gaye aur aapas mein hi bhid gaye .....

yeh saara khel khuch hi palo ka tha ....jab teeno unn gundo se bhide ...toh NP ne bhi apni urja ka prahar unpar kiya ..jisse ...Deepu ne dekh liya ...aur apni urja k prayog se ...uss vaar se apne teeno bhaiyo ko bacha liya ....

Deepu - kayar ...aise dhoke se unpar kya vaar karta hai ...dum hai toh mera saamna kar ....

NP - tum sabko toh ab tak mein baccha samaz kar khel raha tha ....par ab aur nahi lo sambhalo ....itna kahkar ...lagatar apni urja se ...Deepu par prahar karne laga ....Deepu bhi apni Divya talwar se unn pragaro ko bakhubi rok raha tha .....woh prahar itne tezi se aarahe the ...k ..woh bas unko rok hi raha tha ....NP ..Deepu ko ..apne upar prahar karne ka koi mauka nahi de eaha tha ....

Deepu ne talwar chalate hue ek yogi ki tarah apna dyan ekagrah kiya ....aur ..badi tezi se apna sthan badalkar ....Uss NP par apni panch tatvo ki urja ka samilit vaar kiya ...Jiske lagte hi ..woh NP ...ghayal hokar picche ki taraf gir gaya ...usse gir hua dekhkar Deepu uski or bahdha ...hi tha ..k usne turant sambhalkar ...Deepu par apni urja ka vaar kar diya ....jo sidha Deepu k seene par laga ....

Deepu ko uss vaar k prabhav se bahut pida ka anubhav ho raha tha ..uske seene ka kuch bhag uss vaar se jhulas gaya tha ....Woh abhi apni pida se sambhal hi raha tha k NP ne ...ab apni ..urja ka bada sa gola banaya aur ...Deepu par vaar ...kiya ....woh vaar Deepu ko lagta ....iske pahele ...ek shwet urja aakar uss vaar se takrayi aur woh vaar bekar ho gaya ...

NP ne jab dekha toh Waha Abhi khada tha .....Abhi kuch karta iske pahele Abhi ko dekhte hi woh waha se ...teleport hokar bhag gaya ....

saare gunde bhi maare jaa chuke the ...Abhi ne Deepu ko sambhala ...aur uske seene par haath rakhkar uske ghav ko heel kiya ....Toh usse kuch hosh aaya ....

Abhi - ab kaise lag raha hai beta ..tum thik ho ...

Deepu - muzhe kshama kar do pitashri ...mein aapki aashao par khara nahi utar saka ...

Abhi - nahi mere bacche muzhe garv hai tum sab par ....tumne bakhubi se ..uska saamna kiya ....uski urja k vaar se itna toh pata lag gaya hai k woh koi sadharan shatru nahi hai ...yeh koi alag hi shaki hai ..

parantu yeh tha kaun aur unka uddesya kya hai ...aur tum sab yaha kaise .....

Tab Deepu ne apne doston k khone se lekar ab tak ki saari baat batayi .....

Abhi - hmm lagta hai mamla kuch gadbad hai ....kuch dino se aise hi kissi na kissi hadse mein baccho k khone ki ghana bad rahi hai ....Aakhir yeh log kaun hai aur iss tarah baccho ko agwa kyu kar rahe hai ....yeh jo koi bhi hai bahut shaktishali hai ..jo sangharak ...ki urja ka saamna itne sahjta se kar raha tha ....

khair dekhte hai aage kya karna hai ...waha mahal mein sabhi pareshan ho rahe hai ...humme jsldi se chalna hoga ...phit sabhi uss gufa mein faye ...waha ...Deepu k diston k saath saath ...gaon k kuch bacche aur the jo uss zharne nein nahane aaye the woh bhi murchit pade the ...

Abhi ...Deepu ...Shivom Krish ..Virat ...aur unn sabhi murchit baccho ko lekar teleport hokar mahal pahunch gaya ....

Abhi k liye itna hi ....

Agla update jald hi . ...
 
Update - 70

Abhi ...Deepu ...Shivom Krish ..Virat ...aur unn sabhi murchit baccho ko lekar teleport hokar mahal pahunch gaye

ab aagee.. ....

Abhi ne Mahal k guest house mein ...unn sabhi murchit baccho ..ko ...laakar ..rakha...Woh log abhi bhi murchit the .... ...apne saathiyo ki aisi haalat Deepu k baaki k dost bhi ghabra rahe the ....unhone Deepu se unki aisi haalat ka kaaran pucha ..lekin unhe sab kuch batakar aur pareshan nahi karna chahta tha .....

Deepu - ghabrane ki jarurat nahi hai .....paani k rez bahav mein bahne k kaaran yeh behosh ho gaye hai kuch hi der mein inhe hosh aajayega ....

Abhi ne Deepu .ko ishara kiya unn sabhi ko waha se hatane ka ....ishara kiya ...Deepu bhi samazkar apne doston ko waha se lekar mahal aagaya ....waha sabhi Subah se Deepu k aur uske doston k laapata hone se pareshan ho rahe the ..khaskar uski charo mataye ...usne sabko wahi baat batayi jo usne baaki doston ...ko batayi ....

bakki sabko toh Deepu ki baat par bharosa ho gaya lekin uski charo maao ko lag raha tha k kuch toh hai jo Deepu chupa raha hai ....
Breafast ka toh samay kab ka nikal gaya tha Abhi dopahar k 1 baj rahe the ..issiliye sab Lunch karne baith gaye ....

yaha Abhi ne unhe heal karke ...hosh mein laane ka prayatna kar raha tha ....lekin woh hosh mein nahi aarahe the ....healing karte vakt usse iss baat ka aabhas ho gaya ...k inhe koi heavy drug diya gaya hai ...jo inke poore sharir mein phail gaya hai ...ab inhe Kewal prakriti ki urja hi thik kar sakti thi jo Rimpy k paas thi ....Abhi ne Rimpy ko telepathy k jariye sandesh diya ...

Thodi hi der mein Rimpy bhi waha koi bahana banakar aagayi aur apni urji se un sabko heal kiya jisase unke sharir mein daudta hua drug khatam ho gaya ....

Abhi - kya hua Rimpy tum kuch pareshan lag rahi ho ...yeh sab thik toh hai na ...

Rimpy - pareshani ki baat hi hai ...kyuki inhe jo drug diya gaya hai ...woh kuch alag hai ...ausa drug maine aaj tak nahi dekha ....yeh drug kaha se aaya ....aur kaun uska istemal inn masum baccho par kar raha hai ...unka kya udesshya hai ..
inke sharir se drug toh khatam ho gaya hai ...lekin asli sthiti kya hai woh toh inke hosh mein aane par hi pata chalega .....

Lunch hone k baab Deepu apne doston k saath wapas guest house aagaya ......uske dost abhi bhi behosh the

Deepu - ab kaise hai yeh sab dad ...inhe kab tak hosh aajaayega ....

Abhi - chinta mat karo ab yeh thik hai aur bahut jaldi hosh mein aajaayenge ...ab mein chalta hu muzhe kuch jaruri kaam hai ...

itna kahkar Abhi waha se chala jaata hai ....

yaha . dur ..Kissi underground chamber mein .....Black Eagle gang k 8 asur jinhone KS k maare jaane k baad yeh syndicate chalu ki thi aur aur chote mote crime se apna guzar basar kar rahe the ....woh aatho k aatho ..sir zhukaye ...kissi k saamne khade the dar k maare sabhi thar thar kaanp rahe the

unmein se ek ki haalat toh kuch jyada hi kharab thi ..woh haath jodkar ..ek badi si table k picche Chair par baithe hue vyakti se ...maafi mang raha tha...table k paas hi ek aadmi behosh pada

yaha Eagle gang k members ko E1..E2...aise likhunga ...

E1 - muzhse bahut badi galti ho gayi boss maaf kar do .....dubara kabhi aisa nahi karunga ....

Boss - Dubara karne k liye tu jinda raha tab na ....murkh ...tumahari murkhta k kaaran woh hum tak pahunch sakta hai .....usne tumhe dekh liya hai ...ab woh kabhi bhi tum tak pahunch sakta hai phir tumahare jariye muzh tak ....

E1 - lekin boss mein toh nakab mein tha....

boss - murkh asur usne tumhare ..maalik KS ka samul nashkar diya ...phir bhi tum usse ab tak samaz nahi paaye ....usne tumahari aankhien dekh li hai ...ab tumhe yeh sharir chodna hoga ....

E1 - rahem karo boss mein hi aapko laaya tha muzhe mat maaro ...

Boss - murkh ..mein tumhe maarne ki nahi ..sharir chodne ki baat kar raha hu ...( waha behosh pade aadmi ki or ishara karte hue ) ab tumhe uss sharir mein rahna hoga ....tabhi kursi par baithe hue Boss k gaatho se ek neeli roshni ki kiran nikli aur E1 ko lagi ...roshni lagte hi ..E1 jamin par girkar thodi der tadapta raha ...phir ...shant ho gaya ...aur uske sharir se uski aatma nikalkar Uss behosh pade aadmi mein sama gayi ...uss asur ki aatma usmein samate hi uss aadmi ki aatma uske sharir se mukt ho gayi .....

ab E1 kisi dusre sharir mein aa chuka tha .....

Boss - ab tum iske mastisk ka prayog karke iske baare mein saari jaankari hasil kar lo ...aur iske pariwar mein ghul mil jaao ..

E1 - jo aagya boss ..itna kahkar E1 waha se chala gaya ....

Boss ab hume yeh sthan badalna hoga ...kyu k yaha woh kabhi bhi pahunch sakta hai ....ab jaao yaha se ....

Woh sabhi apne man mein uss din ko koste hue bahar aagaye ..jis din unhone yeh Boss wali musibat gale band gayi...achhe kgase ek syndicate k maalik bankar ..raj kar rahe the ..kaha ab ..gulami ku janjiro mein bandhe hai ....woh sab ab yske khlaf bhi nahi jaa sakte the ...kyu ki woh uski shaktiya jaante the ....Pahele KS ki gulami abhi iss boss ki yahi unki niyati thi ....

kissi bhi jagah jo bhi ghatna ghatati hai uss ghatna ...se utpanna ..urja tarange waha k vatavaran mein phail jaati hai .....Divya drishti wale unhi tarago ka upayog karke ..waha ghatit ghatnao ko dekhte hai ....

Asuro k waha se jaane k baad Boss ne waha ki saari urja tarange mita di aur waha se adrishya ho gaya ....

Yaha Guest house mein Rimpy k jaane k baad ....Abhi ne divya drishti ka prayog karke uss nakab posh k baare mein janane ka prayatna kiya ...lekin uska kuvh bhi pata nahi chal saka ....uske mann mein ..kai vichar chal rahe the ...aakhir woh nakabposh kaun tha ....aur inn baccho k apaharan k picche unka kya uddesya tha ...KS k maare jaane k baad ab tak toh koi aisa shaktishali ..shatru dekha nahi jo sangharak ki shaktiyo ka saamna kar sake ...

lagta hai phir koi bada tufan aanewala hai . ..woh apne vicharo mein aise hi gun tha k Deepu ...apne doston k saath waha aagaya ....Abhi ko in sab baaton ka pata lagana tha ..issiliye woh unhe wahi chodkar bahar aagaya ...abki baar phir uss Nakabposh ..ki dekhne ka prayatna kiya toh usse kuch dikha ....

Abhi turant teleport ho gaya ...aur us under ground chamber mein pahunch gaya ....waha ...usne dekha k jamin par koi pada hua tha ...Abhi ne usse check kiya toh woh mar chuka tha ...uske kapdo se woh pehchan gaya ..k yeh wahi Nakabposh hai jisse usne waha jungle mein dekha tha ..lekin isse kisne maara ...

Abhi ne apni divya drishti k dwara waha ghatit ghatnao ko dekhne ka prayatna kiya lekin usse kuch dikhayi nahi diya .....

Yaha Guest house mein Deepu uske bhai ..aur Sammer aadi uske dost apne 8 doston k hosh mein aane ka intezar kar rahe the . ....Kirti bhi wahi par thi ...unn 8 mein uski best frnd Kiran aur Rashmi bhi thi jinhe unke parents se permission lekar woh khud aone saath laayi thi ....unki aisi haalt dekhkar usse bahut dukh ho raha tha aur saath mein dar bhi k agar unko kuch ho gaya toh woh unke parents ko kya jawab degi ....

Deepu ...Kirti ko dilasa de raha tha ...Deepu ne apne baaki doston ko ...apne apne Room mein rest karne k liye bhej diya .. ....Shivom ..Krish aur Virat ..bhi Waha Deepu aur Kirti ko chodkar chale gaye the ....

Kirti Deepu k kandhe par apna sar rakhkar baithi hui thi ..Deepu uska haat pakde baiitha hua tha .

Kirti - yeh sab kya hua jaan ....mera dil ghabra raha hai ...yeh thik toh ho jaayenge na ...

Deepu - tumhe muzh par bharosa hai na ...

Kirti - haa ..duniya mein sabse jyada ....

Deepu - toh phir yu pareshan hona chod do ..main apne doston ko kuch nahi hone dunga ....

Deepu ki baaton se Kirti ko hosla milta hai woh apna chehra uthakar Deepu ki taraf dekhti hai uski aanhon mein halki si nami thi ...Kirti bahut komal hriday ki thi woh kissi ki pida nahi dekh sakti thi ...Deepu ne uski aankon ki nami ko poncha .....phir niche zhukar uske maathe par kiss karta hai ...aur usse bahon mein bharkar usse hosla dene laga ...

Tabhi kissi k karahne ki aawaj aayi ...toh Deepu ne dekha uske doston ko hosh aaraha hai .....Deepu aur Kirti un sabhi ko hosh mein aaya hua dekhkar bahut khush hue ...hosh mein aane par woh kissi but ki tarah aankhien khokar kar baith gaye ...Deepu aur Kirti baar baar unhe aawaj de rahe the ...lekin woh kuch responce hi nahi kar rahe the ...

Kirti baar baar apni saheliya Kiran aur Rashmi ko pukar rahi thi ...lekin woh uski aawaj par kuch bhi react nahi kar rahi thi ...Deepu k baaki doston ko bhi yahi sthiti thi ....

Yaha mahal mein Shivali ...Ritu ..Vibhakta ..aur Rimpy ...mehmano aur rishtedaro mein vyast the .sabhi mehman ek ek karke jaa rahe the ....Ab kewal ..Rinku ..Lima ...Addu aur uski family baaki thi .....Rimpy se unhe Deepu k doston ki haalt k baare mein pata chala ....sabhi mehmano se faarig hokar ..woh sab bhi guest house pahunch gaye .....Ussi samay Abhi bhi wapas aagaya tha ..

Deepu aur Kirti yaha apne doston ki yeh haalat dekhkar bahut pareshan ho gaye the ....Deepu ne ..apni mind power ka prayog karke unke mastishk mein bhi zhankar dekha ..lekin waha usse unki koi bhi smritiya nahi mili ...ussi samay Abhi aur baaki sab bhi waha pahunche ....apne pita ko dekhkar Deepu ka man shant ho gaya ..usse poorna vishwas tha ...k uske pita k liye koi karya asambhav nahi ...

Deepu - dekhiye na dad ...insabko kya ho gaya ..hai .....maine inke mind mein zhankar inhe thik karne ki koshish bhi ki lekin waha unki smritiyo ka koi chinh tak nahi mila ...poora mind jaise blank ho gaya ho ....

Abhi ne aage badhkar unki aankho mein dekha ....

Abhi - jiska muzhe dar tha wahi hua ....drug ne inke mastishk ki saari yaadein mita di hai ...jiss karan ...yeh sab kissi baat ka response nahi de rahe hai ....

Deepu - koi toh rasta hoga inhe thik karne ka ....

Abhi - ek raasta hai ...Hamare mastshik k saath saath humare har janam ki smritiya ..humare antahakarn mein surakshit rahti hai ....
Antaha karan k 4 bhag hote hai ...mann ...buddhi ...chit ..aur ..Ahankar ...ismein satvik ahankar aur tamsik ahankar ....do hote hai ...

humari anant janmo ki saari smritiya humare satvik ahankar mein surakshit rahti hai ..inki iss janam ki smritiya wahi se inke mastishk mein dubara pahunchani hogi aur yeh karya tumhari maa Vibhakta hi kar sakti hai ....

Vibhakta Abhi k ishare ko samaz gayi ...k usse kya karna hai ....

Vibhakta - Aap bikul sahi kah rahe hai ....parantu muzhe uske liye ekant chahiye .....kyuki muzhe iske liye gahan dhyan mein utarna hoga ...aur inke antaha karan se judna hoga ...

Vibhakta ki .baat sunkar sabhi bahar aagaye .....Aur ..Vibhakta ..dhyan mudra mein baithkar apna karya karne lagi ....apne athak ..prayas dwara usne ek ek karke ...sabke antaha karan se unki yaado ko unke mastishk tak pahunchaya ...iss karya mein usse do ghante karib lag gaye ...

Apna karya poora karne k baad woh bahar aagayi .....

Abhi k poochne par usne apne karya k safal hone ki suchna di ..

Vibhakta - Maine unki smritiyo ko wapas unke mastishk tak pahuncha diya hai ...unhe poori tarah normal hone mein 24 ghante lagenge ....abhi uhne thodi der vishram karne do ...hosh mein aate hi dheere dheere unhe sab yaad aane lagega ....

Vibhakta ki baat se sab khush hue ....aur chinta mukt bhi Sirf Abhi aur Deepu ko chodkar ....

dono k man mein kai prashna chal rahe the ...k aakir woh nakabposh kaun tha ...usse kisne maara ...aur baccho ka apharan karke unke mind ko blank karne k piche unka kya udesya tha ...aakhir yeh kaun sa naya shaktishali shatru aagaya tha ...jiski shakti ka saamna Sangharak bhi kathinayi se kar paa raha tha ...woh kaunsi aisi shakti thi jiss kaaran Abhi bhi apni divya drishti k dwara kuch dekh nahi paaraha tha ....

kya aap meinse koi andaja laga sakta hai kaun hai yeh main Villan ....

Abhi k liye itna hi ....

Agla Update jald hi....
 
Update - 71

Vibhakta k kahe ansur thodi der mein Deepu k doston ko hosh aagaya ...ab ..woh ..baaton par respond kar rahe the .....dhere dhere unki haalat mein sudhar aaraha tha ...woh din issi tarah bit gaya .....Rinku aur Lima ko kissi jaruri kaam se jana pada ...issiliye woh Kirti ko leka chale gaye ...Addu ...bhi apne family k saath chali gayi thi ....Deepu ..der raath tak apne doston k saath hi raha .....aise hi pareshaniyo aur chunauti se bhara woh din khatam ho gaya ....

Abhi bhi apni taraf se koshish kar raha tha ....inn sab ghatnakram ki jad tak pahuncne ki ..lekin koi safalta nahi thi ..yaha shatru ..anjana tha aur bahut shaktishali ...

Deepu ...ko bhi aaj k ghatnakram k kaaran neend nahi aarahi thi ....kya kare kaise pahunche iss ki jad tak ...yahi soch raha tha ....tabhi uss k man mein khayal aaya k inn ghanao ki shuruwat kabhi na kabhi toh hui hogi ....ho sakta hai koi na koi clue mil jaaye ....

Deepu ne apna laptop nikala aur aur unn ghatnao ...ko ..search karne laga ....jismein ek saath kai jawan ladke ya ladkiya gayab ho gaye ho ....Search mein usse pata chala ....k yeh ghatna kram teen mahine se shuru hua ...teen mahino mein alag alag ghanao mein jismein 5 se lekar 10 tak bacche gayab ho gaye the ...jinki total sankhya ...koi 500 k lagbhag thi ....

ab Deepu ne gayab hue baccho ki detail nikalni shuru kar di ....uske baad ...usne teen mahine pahele jab se yeh ghatnakram ki shuruwat hui thi ..uske baad ki ek ek din ki news ko acche se dekhne laga process lamba tha ...lekin woh pura patience rakhkar apne kaam mein laga hua tha ..tabhi uske teeno bhai bhi room mein aagaye ...

Krish - kya baat hai bhai ...lagta hai koi khas chatting vatting chal rahi hai ....

Virat - chup kar yaar tuzhe jab dekho masti hi suzti hai ....yaha lagta hai mamla kuch gambhir hai .

Deepu ne ek nazar unpar dali aur chup rahne ka ishara kiya aur phir apne kaam mein lag gaya ..abhi ...tak ..woh 15 din tak ki news khagal chuka tha ...tabhi ek news ne uska dhyan aakarshit kiya .....lekin ...tabhi uske laptop ki battery down ho gayi aur laptop shutdown ho gaya..

itni mehnat karne k baad kuch clue nazar aaya lekin ..battery down hone k kaaran rah gaya ...usne gusse mein apne hateli mein mukka maara ...Aur Laptop ko charging meinlaga diya ...

Shivom - kya baat hai bhai pareshan lag rahe ho koi khas baat ...aakir itni der se kya dhund rahe the .....jisne tumhe pareshan kar diya ...

Tab Deepu ne saari baat apne bhaiyo ko bata di ....

Virat - wah bhai wah maan gaye tumhare dimag ko iss tarah toh maine bhi nahi socha ...agar teen mahine mein 500 k lagbhag bacche gayab hue hai yeh toh bahut ..khatarnak hai ...aakhir itne baccho ka apahran karne ka unka uddesya kya hai ...

Krish - myzhe lagta hai yeh koi human trafficking ka mamla hai ...ya ..body organs ka koi link hai .

Shivam - nahi muzhe yeh nahi lagta ...jiss tarah se woh nakab posh Deepu ka saamna kar raha tha ..aur teleport hokar bhag gaya muzhe nahi lagta k paiso k liye unhe yeh sab karne ki jarurat hai ...

Deepu - tum thik kah rahe ho ...yeh kuch aur mamla hai jo hum samaz nahi paa rahe hai ...lekin muzhe vishwas hai ..k jaldi hi ..saara sach saamne aayega ....abhi kych clue haath lag hi raha tha ..k laptop band ho gaya ....

Shivom - bhai abhi raat k 1 baj rahe hai baaki ka kaam kal kar lena ....kaam k saath saath sharir ka dhyan rakhna bhi jaruri hai ...kyu ki sharir sudridh aur swasth rahega tabhi toh kuch kar paaoge .....muzhe lagta hai k aage kai raato ki neend haram hone wali hai ...issiliye..ab aaram karo ..waise Laptob bhi dead hogaya hai ...issiliye ..meri baat manno aur so jaao ...kal dekhenge .aage kya karna hai ...

Deepu - nahi yaar muzhe nind nahi aarahi hai tum sab so jaao ....jab tak mein apna karya poora na karlu tab takmuzhe nind nahi aayegi ...

Krish - ismein pareshan hone ki kya baat hai bhai ...Laptop switch off hogaya toh kya hua Mobile
toh hai na ...jo dhundndna hai usmein dekh lo ...

Deepu - arre haa pareshani mein mein toh bhul hi gaya ...usne mobile nikala tha ..toh koi 22 missed calls thi ....kaam k chakar mein usne mobile silent mod par rakha tha jisase usse call ka pata hi nahi chala .....unmein se kuch calls un doston k mata pita ki thi .jinpar drugs ka asar hua tha .....bakki jyadatar missed calls Kirti ki thi .....

Deepu - ( sar par haath maarte hue ....man mein )baap re yeh toh panga ho gaya ....itne sàre calls ...Phir usne Kirti ka nu dail kiye ....lekin udhar se koi jawab nahi aaya ...ek baar phir try kiya lekin phir wahi .....toh usne socha raat bahut ho gayi hai ...lagta hai so gayi hogi ...

tabhi msg tone baji toh usne msg open karke dekha toh angry emoji dekhkar chehrepar muskurahat aagayi ....phir usne bhi msg bheja - Sorry jaan ..lagta hai mera angry bird gussa ho gaya ......

yeh msg bajte hi phir issbaar uska mobile baja ....toh usne call pick ki ....

Kirti - accha ab mein angry bird ho gayi ...humesha aise hi karte ho ..jab mein call karti hu toh janab uthate hi nahi ....toh gussa nahi hou toh kya karu ...tum jaante ho na bine tumse baat kiye muzhe nind nahi aati ......

Deepu - sorry jaan woh kuch kaam mein aisa busy ho gaya ..tha ....aur mobile bhi silent mod par tha .....issiliye pata nahi chala ...

Kirti - aisa itni raat ko kya kaam aagaya tha ...jo muzhse baat karne ka bhi samay nahi tha ....tum jaante ho yaha mein kitna pareshan thi ....

Deepu - tum toh jaanti ho humare doton k saath kya hua hai bas ussi mein busy tha ....tm batao kyu pareshan ho ..kya hua .....

Kirti - woh Kiran aur Rashmi k mom dad ka ph aaya tha woh ....unse baat karna chah rahe the ...puch rahe the k unka mobile subah se switch off kyu aaraha tha ...kab aarahe ho vaigera vaigera ...maine ..kuch bahana banakar unhe tal diya ..hai ...lekin tension bhi ho rahi hai ...woh sab ab kaise hai ....

Deepu - tum tension na lo jaan ..woh sab ab bilkul thik hai ...aur kal sham tak woh sab apne ghar pahunch jaayenge ......

Kirti - sach ..iska matlab kal tum aarahe ho ...jaante ..ho ek bhi din tumse mile bina accha nahi lagta .....aaj toh inn sab pareshaniyo k kaaran hum mil bhi nahi sake ...mera toh tumhe waha chodkar aane ka bilkul bhi mann nahi tha ....Lekin dad ki wajah se aana pada ...mera abhi tumse milne ka bahut man kar raha hai ...lekin kya kare yeh duri yeh majburi ...para nahi kab tak tumse dur rahna hoga ...

Deepu - dur kaha ho jaan tum toh humesha mere dil mein ho ..aur waise bhi ...hum parso college mein toh milenge hi .....ab tum apni saari chintao ko chodo bahut raat ho gayi hai itne safar se tum thak bhi gayi hogi ...issiliye ab so jaao ...& Love you jaan ...Good night ....ummma ...

Kriti - ummma ...Love you too mere anadi balam ....

aur call cut kar di ....Deepu muskurate hue ....badbadne lagta hai Anadi balam wah naya naam ...

Yaha uske teeno bhai uski baatein sun rahe the ....

Krish - anadi balam wah kya naam diya hai bhabhi ne ...bhai ...aap sach mein pyar k mamle mein anadi hi ho ...

Deepu - kya matlab hai tumahara ..tuzhe bada pata hai pyar k baare mein ...lagta hai tune bhi koi dhund li hai ...

Krish - aisi koi baat nahi hai bhai ...mein toh bas itna kah raha tha k .. ..aap teleport hokar bhi waha jaa sakte the .....lekin nahi aap toh bas ph par hi lage pade the ...

Deepu - accha aur jab woh puchti k achanak yaha kaise pahunche toh kya batata ..

Shivom - toh abhi tak aapne bhabhi ko abhi tak apne baare mein nahi bataya ....bhai jo hume apni jaan se jyada pyar karte hai unse hume kuch nahi chupana chahiye ....aapko unko sab bata dena chahiye .....kyu ki iss samay humare saamne ek anjaan shatru hai ....aise vakt mein ..unka na sirf aapki powers janana jaruri hai ...balki kissi bhi kathin paristhiti k liye unhe trained karne ki bhi awashyakta ...hai ....

Deepu - baat toh tum thik kar rahe ho bhai ...maine bhi iss baare mein socha hai ...dekhte hai aage kya karna hai ...lekin ..abhi muzhe kuch kaam hai jab tak mein woh poora na kar lu muzhe chain nahi aayega .....bahut raat hogayi hai tum teeno ab so jaao ...

Virat - bhai neend toh hume bhi nahi aarahi hai ...hum bhi dekhna chahte hai ...aakhir yeh maajra kya hai ....

Laptop tab tak kuch charge ho gaya tha ....Deepu phir se apne kaam mein lag gaya ..aur ussi news par pahucha jusne uska dhyan aakarshit kiya tha .....

Uss news .mein tha k 15 din pahele khoye hue ...do bacche ....bhare bazar mein ....ek aadmi aur aurat par humla kar diya .....dono ki condition critical hai ...xyz hospital mein unka ilaj chal raha hai .....iiss ghatna ki padhkar uske mann mein chalne laga ..k aakhir unn baccho ne unpar humla kyu kiya....aur woh ..apaharan hone k baad 15 din tak kaha the aur baad mein kaha chale gaye ...

yadi unn baccho ka kuch pata chal jaaye ..toh unke jariye se iss baat ki tah tak pahuncha jaa sakta hai ....

iss sab mein 3 baj gaye ..the ...3 din se thik tarah se nend poori na hobe k kaaran ab Usse bahut thakan mehsus ho rahi thi ...charo bhai ..gahri neend mein so gayi .....

Suryoday k saath ek naya savera hua ....Charo bhai ...raat bhar hagne k kaaran abhi bhi soye hue the ....Deepu Ritika k saath apne sunehre sapno mein khoya hua tha ...Sapne mein ...Woh Kirti ko kiss karne hi wala tha .. ..k thande paani ka koi badal upar fata ..woh hadbadakar uthkar baith gaya ...saamne dekha toh waha neetu uski iss haalat par khikhilakar has rahi thi ....

Deepu - Neetu tu shaitan ki bacchi tu ruk abhi tuzhe batata hu ...

Neetu - aaa bhai aapne papa ko shatan bola ...ruko mein abhi batati hu ...aur woh papa kahte hue darwaje ki or bhagi ....tab tak ...baaki bhai bhi uthgaye the ....aur woh neetu ki sharat ka aanand le rahe the .....

Deepu ne bhi bed se chalang laga di aur daudka Neetu ko pakad liya ...aur goad mein utha liya ...

Deepu - ab kaha bhagegi tu ...aajkal badi shaitan ho gayi hai ...

Neetu - sorry bhai ...kahkar Deepu k gaal par kiss kar diya ....Deepu usse daantkar thoda pareshan karna chah raha tha ...lekin Neetu ne iss bholepan se soory bola aur usse kiss kiya ...toh usse uspar aur pyar aaya aur usne usse gale laga liya ....

Neetu - aap toh gaon aane k baad muzhe bhul hi gaye ...myzhse acche se mile bhi nahi aur baat bhi nahi ki ...aur jab mein aapko milne k liye aayi toh aap soye hue the ...issiliye muzhe gussa aagaya ....

Deepu - arre mere bacche ko gussa aagaya ...sorry ..gudiya ...woh yaha asne k baad busy ho gaya tha na issiliye ....aur uske gaal par kiss kar deta hai ...

Krish - gudiya saara pyar sirf ...bade bhai k liye ...humare liye kuch nahi ....

Deepu ne Neetu ko goad se utar diya ...kyu k aaj usse uthne mein bahut der ho gayi thi ...issiliye ...woh apne nityakarm niptane bathroom chala gaya ...yaha ..bakki bhai aur bahen ki masti chal rahi thi ....

Fresh hone k baad ....Mahal k park k ek kone mein thodi der dhyan kiya ....fir apne doston se mila ....ab unki sthiti mein kaafi sudhar tha .....ab ...kewal kuch hi smirituya baaki thi jo ..apne samay par aa hi jaayengi ....

Sabhi frnds milkar phir Gaon ki khubsurati ka aanand lene kuch der wdhyanaha ki wadiyo mein ghume uske baad Lunch karne k baad ....sabhi wapas shahar ki or ravana ho gaye .....
Abhi ko ...Janalok ka karya bhar sambhalne jaana tha ...issilye woh A1 ko waha chodkar wapas ...apni teeno patniyo k saath Janalok chale gaye Jaane se pahele Abhi aur uski teeno patniyo ne Vardan swarup ...apne bacco ko ..Suraksha kawach ....bhent kiya .....

Shahar pahunchte pahunchte Sham hone ko aa rahi thi ....Deepu kcsabhi frnds ab theek the .....Deepu khud ...Kiran aur Rashmi ko apni gadi mein ynke ghar chod aaya .....

waha se woh xyz hospital pahuncha ..aur waha unnka pata kiya jinpar unn bacvho ne humla kiya tha .....waha usse pata chala k ..mahila ko woh bacha nahi paaye ...Lekin uske pati ko bacha liya gaya ....waha se usne kissi tarah uska address nikala ...aur uss pate par pahunch gaya ....

Deepu jab uss pate par pahuncha ...toh waha ka nazara hi kuch alag tha ....uss makan ki choti boundry wall k bahar kuch ..bacche ..khade the ....aur bhiter ...ek adhed vyakti ...unhe gaaliya de raha tha aur bich buch mein patther bhi maar raha tha ...

Deepu k pata karne par usse pata chala ....k cricet khelte hue unki ball unke compound mein gayi ....wahi par teh uncle ...paudo ko paani de rahe the ...ball mangne par gaali dene lage aur patther bhi marne lage ....

Deepu samaz gaya ki jo ghatna unke saath ghati uska unpar bahut asar pada hai ...Deepu compound k andar gaya ....Deepu ko dekhte hi woh aadmi ...usse bhi gaaliya nikalne laga ...lekin Deepu ne apni power ka istemal karke uski aankhon mein dekhkar usse shant kiya ..

Uss aadmi se usse pata chala k woh do bacche unhi k the ...15 din baad .unke khoye hue bacche unhe jab mile toh unki khusi ka koi thikana nahi raha ...lekin unn baccho ne unhe pahchanane se inkar kar diya ...aur jab woh unhe rokne ka prayatna karne lage ...toh unke apne hi baccho ne unpar humla kar diya ....jab hospital mein hosh aaya ..tab tak woh apni patni ko kho chuka tha ....

Baad mein usse pata chala k chashmdid fawaho ki gawahi k kaaran yeh case police tak pahuncha . waha ki cctv footage se unhone unn baccho ko khojne ki koshish ki ...lekin 4 din baad unki laash mili .....

Abhi k liye itna hi .....
Agla Update jald hi ....
 
Update - 72

Jiss udeshya se Deepu waha aaya tha woh toh poora hua nahi ..ulte ....ek haste khelte paiwar k barbad hone ka dukh liye ....bhari man se waha se nikla ....yeh toh ek pariwar ka haal dekha ...aise hi na jaane kitne pariwar barbadi k kagar par the ...yaa barbad ho chuke the ....

iss sab se uska mann udwigna ho gaya ...unsne nischay kar liya k ab jald se jald iss sabko rokna hoga ....warna na jaane aur kitne pariwar aise hi barbad ho jaayenge .....uska mann bahut dukhi tha ...abhi ghar bhi jaane ka mann nahi rha...

Apni socho mein gum woh aise hi chala jaa raha tha ....aage koi raasta dikhayi nahi de raha tha ki kya kare .....tabhi mobile k ring ne uska dhyan apni taraf khincha ...usne dekha toh Kirti k ph tha .....

na jaane kaisa connection tha uska k jab bhi kabhi woh pareshan hota ...tha ...uske dil ki pareshaniya Kirti k dil par bhi dastak deti thi ....Deepu call pick kar leta hai ....

Deepu - hello jaan ...kaise ho ...

Kirti - thik nahi hu kyu ki tum thik nahi ho ....

Deepu - tumhe kisne kah diya k mein thik nahi hu ....

Kirti - mere dil ne ..kyu ki agar thik hote ...toh yaha pahunchne par muzhe call nahi karte ....abhi Kiran ka ph aaya tha ...usne bataya k tumne dono ko ghar par khud choda ...hai ...Rashmi ka ghar toh mere ghar k pass hi hai ...phir kyu nahi aaye ....

Deepu - woh jaan ..mein aa hi raha tha k tabhi ek jruri kaam se muzhe jaana pada ..Sorry ..sweetu....

Kirti - Sorry bolne ki jarurat nahi hai ...kyuki mein jaanti hu tum kissi baat ko lekar bahut pareshan ho ...issiliye saari baatein chodo aur chup chap yaha aao ...mein tumahara wait kar rahi hu ....

Deepu - samzha karo na jaan ....mein abhi nahi aasakta ....

Kirti - mein kuch nahi jaanti tum aarahe ho matlab aarahe ho ....

Deepu - ( mann mein ) uff yeh ladki bhi na ...isse humesha mere dil ka haal kaise pata chal jaata hai ...sach hi kahte hai ....k sacche pyar mein premi do jism ek jaan ho jaate hai ....
Woh paidal chalta hua bahut dur aagaya tha .....woh wapas muda aur ....jaha apni car park ki hui thi waha pahuncha ....aur chal diya Kirti k ghar ..ki or .....Deepu ghar ph kare der se aane k baare mein bhi bata deta hai .....

Kirti k ghar pahunchkar Deepu ne doorbell bajayi ...darwaja servant ne khola ....Andar Rinku ...Tv dekh raha tha ..aur Lima ..kitchen mein dinner ki tayari kar rahi thi ...
Deepu ne Rinku k pair chuye ...

Rinku - khush raho beta...kab aaye gaon se ...

Deepu - aaj hi pahunche uncle ...

Rinku - Sorry beta muzhe achanak jaruri kaam ki wajah se aana pada .....ab tumahare sab dost kaise hai ....

Deepu - ab sab thik hai uncle ....

Rinku - main jaanta tha ..Abhi k hote hue ....kissi ko kuch nahi ho sakta ...

abhi unki baatein chal hi rahi thi ...k Kirti apne room se aagayi ....black salwar suit uske gore badan par khub jach raha tha ....Simple makeup mein bhi woh bahut sunder lag rahi thi ...k Deepu bas usse dekhta rah gaya ...

Rinku jaanta tha k Deepu aur Kirti dono ek dusre se pyar karte hai .....aur iss baat ki usse khusi bhi thi ...Dono Rinku aur Lima ki permission lekar waha se nikal gaye ...

Car shahar ki bidbhad se Higway par aage jaa rahi ....

Kirti - tum papa k saamne aise ghur ghur jar kyu dekh rahe the ..woh kya soch rahe honge ...

Deepu - unse kya chupa hua hai ..woh humare baare mein sab kuch jaante hai ....

Kirti - haa phir bhi ....acha yeh sab chodo ..aur batao tum kyu pareshan the ...

Deepu - kuch khas nahi .. bas aise ..hi ..

Kirti - ab batao bhi ...tum jaante ho tum muzse kuch chupa nahi sakte .....

Deepu - Sab kuch bata dunga ....thoda ruko toh sahi...kissi acchi jagah aaram se baithkar ....( kyuki woh nahi jaanta tha ..k uski sangharak ki haqikat aur yeh jo horaha hai yeh sab jaankar Kirti ki kya pratikriya hogi ...issiliye woh kissi ekant jagah par usse sab kuch batana chahta tha .)

Highway par badhte hue Kirti ki nazar Hotel Highway par padi ...jo rang bi rang lighto se raat mein aur jagmaga raha tha ....Kirti k kahne par Deepu ne gadi ussi Hotel ki or mod di ....Gadi park karke dono andar gaye ...waha ...k ..lawn mein ....tarah tarah ki phoolo ki kyariyo k bich ...table kursiya lagi thi ...wahi Lawn k ek kone mein unhone apna Table select kiya ....

Uss lawn k gine chune Table par hi customer baithe hue the ...Deepu ..Kirti ki wahi chodkar apna order dene Hotel k counter par gaya ...apna Order dekar muda hi tha ....ek uski takkar ek gunde type 6 foot k aadmi se hui ....takkar se woh aadmi girte girte bacha

G - teri aisi taise saale ... andha ho gya ho kya ...dikhta nahi ... ....

Deepu - sorry bhai ...lekin kya hai mere sar k picche aankhien nahi hai na

G - saale juban ladata hai ....itna kahkar Deepu ko thappad marne hi wala thi k Deepu ne uska haath ..kaskar pakad liye .....

Deepu - jara haath sambhalkar nahi toh ukhad jaayega ....

abhi woh kuch bolta k uska saathi pichhe se aate hue .....Deepu ko bolta hai

G2 - sorry bhai ...yeh thoda gusse wala hai ...aap jaao ...iske taraf se mein maafi mangta hu ...

Deepu bhi sorry bolkar apne table ki taraf badh jaata hai ...jaate samay ej table par baithe hue kuch logo par uska dhyan gaya tha ...yeh do gunde type ussi table par baithe hue logo mein se the ....woh dikhne mein sab k sab manzhe hue gunde lag rahe the issilye Deepu ka dhyan uss taraf gaya tha ...apne table ki taraf wapas aate hue ..bhi usne ek bazar uss table par daali ....aur apne table par aagaya ...

Dono ek dusre ko dekhe jaa rahe the ...jaha Deepu soch raha tha k baat kaha se shuru kare ...wahi ...Kirti intejar kar eahi thi k Deepu kuch bole ....

Kriti - ab kuch bolge bhi yaa aise hi dekhte rahoge .....

Deepu - thik hai toh suno ...humare dost ..paani mein dubne se ..behosh nahi hue the ...unhe ek vishesh prakar ka drug diya gaya tha ....jisase unke mind blank ho gaye the ....

Kirti - Lekin unhe drugs diya kisne tha ...aur kyu ...

Deepu - kisne diya tha yeh toh nahi maalum ...lekin woh log inko kidnapped kar k le jaa rahe the ..phir Deepu ne apni asliyat chodkar ...usse sab kuch vistar se bata diya ....tab tak unka order bhi aagaya .....

Kirti - agar yeh sahi hai toh ...yeh toh bahut dangerous baat hai ....Tum yeh sab DSP sahab ko kyu nahi batate woh tumhare papa k friend bhi hai ...woh iss mamle mein kuch kar sakte hai ...

KS k maare jaane k baad Rinku ne apni powers Abhi ko wapas kar di thi ...aur woh ek sadharan life ji raha tha ....issiliye Kirti ko unke powers k baare mein kuch pata nahi tha ....

Deepu - chodo yeh baatein ....dekhte hai aage kya karna hai ....abhi ki baat kare ...dekho ..kitna Romantic ...sama hai ...yeh rang birangi lights ...aur yeh ...phoolon ki khysbu se mahakti hui thandi thandi hawaye ...aur ...bepanha ...tumahara husn ....waise aaj ..tum bahut khubsurat lag rahi ho ...

Kirti - kya baat hai janab ....achanak ..romantic ..haan....irada kya hai ...

Deepu - achanak kaha ...mein toh tumhe dekhte hi romantic ho jaata hu ...lekin tum hi james bond bani hui thi ....

tab tak unka order bhi aajata hai ...Dono aise hi pyar bhari baatein karte hue ...khanna khane lagte hai ....

tabhi Deepu ne dekha k woh sandighna gunde ..Hotel se bahar jaa rahe hai ....unki body language se pata chal raha tha ...k woh kuch galat karne jaa rahe the ....Deepu ki intution kah rahi thi k kahi kuch toh gadbad hai ....

Deepu - jaan tum baitho ...mein washroom se hokar aata hu its natural call ...

Kirti - tum bhi na ...abhi Romantic baatein kar rahe theaur abhi yeh nature call ...tumhe samazna bahut mushkil hai ....thik hai jaao ...aur haa ...jaldi aana ....

Deepu - waha se nikalkar washroom jaata hai ..aur chupke se waha se nikalkar parking ki or chala jaata hai ...waha ..wog gunde jinki sankhya 10 thi woh kuch baatein kar rahe the ....Deepu Unke mini truck k piche chupkar unki baatein sun raha tha ....

G1- yaar yeh kaam bahut dangerous hai ....kahi sangharak ko pata chal gaya toh hum sab naare jaayenge .....

G2 - tu bhi yaar bada fattu hai ....kuch nahi hoga ...humahara kaam bas maal sahi se pahunchna hai ....aur mat bhul k uss sangharak k kaaran humare bhuko marne k din aagaye the ....badi mushkil se ek kaam mila hai ...jusmein ..rakam bhi acchi milli gai aur tu ....ausi baat kar raha hai .

G3 - sahi kah raha hai bhai tu ..hume darne ki jarurat nahi hai ....aur afar sangharak aa bhi jaayega toh akela kya kar lega ...hum 10 hai ..aur ...humare paas yeh gun show k liye nahi hai ...usse dekhte hi bhun denge .....

G4 - saale bada aaya bhunane wala ....woh akele hi ..hum jaise saikdo par bhari hai ....

G5 - dekho bhaio yeh kaam safe hai ....hume bas ..maal uthana hai aur ...uske sahi jagah pahunchana hai ...uske liye hume city k andar jaane ki jarurat hi nahi hai ....jisase hume koi khatra ho .....

unki inn Baaton se Deepu ko itna toh pata chal gaya k uska andaja sahi nikla ....lekin woh aisi kya chij laane jaa rahe hai aur kaha pahunchane ki baat kar rahe hai woh samaz nahi paa raha tha .....uss samay woh unka picha bhi nahi kar sakta tha kyu k ..Kirtu uske saath thi...

Deepu ne telepaty k jariye apne bhaiyo se sampark kiya ....aur unhe bula liya ....unke aane k baad usne unn teeno ko un gundo ka picha karke pata lagane ka kahkar ...wapas washroom aagaya aur waha se apne table par chala gaya ....

Kiriti - bahut der laga di fresh hone mein ....tabiyat toh thik hai na ....

Deepu - tum bhi na jaan kuch jyada hi chinta karti ho ....ab ghar chale bahut der ho gayi hai ....yaad hai na tumahare Dad ne kya kaha tha ...

Kirti - hmm yaad toh hai ...lekin mann nahi kar raha ....dil kar raha hai aise hi tumahare saath poori raat bita du ...

Deepu - accha ji . aur ..apne mom dad ko kya kahogi ...Chalo ab ...waise bhi kal hum college mein toh milenge hi na ...

Deepu bill payment karke waha se nikal jaata hai aur Kirti ko ghar chod deta hai ...Halka sa honthon par good night kiss karke waha se nikal jaata hai ...Tabhi Shivom usse mansik sampark karta hai aur usse jaldi se jaldi ..aane k liye kahta hai ....

Deepu bhi ...paas k hi ek Mall mein apni car park karta hai ...aur Teleport hokar Shivom k batayi jagah par pahunchta hai ...yeh jagah ..jungle k bicho bich thi ....Deepu ..jab waha pahuncha toh dekha k uske bhai ...jungle mein bane hue kacche raste ..ki bagal ...mein bade pedo k piche chupe hue hai .....

Deepu - kaho kya pata lagaya aur ..yaha iss ghane van mein kyu bulaya ...

Shivom - sshhhh dhire ...woh dekho aagee ..choti zhadiyo k piche ....

Deepu ne dekha k woh mini truck waha choti zhadiyo k piche khada tha ....

Shivom ,- woh sab log jamin k niche bane hue kissi gupt sthan par gaye hue hai ....lekin ..jab humne waha jaakar dekha toh waha kuch nahi tha ...woh log dharti mein kaha gayab ho gaye kuch pata nahi chala ....

Deepu - chalo dekhte hai jara aakir woh log kaha sama gaye ....Deepu apne bhaiyo k saath waha gaya ...usne un logo k kadmo k nishan ek jagah par aakar khatam hue dekhe ....jisase woh samaz gaya k hona ho yahi ..gupt syhan tak pahunchne ka koi raasta hoga ....

Deepu ne apni diyva talwar pragat ki ....aur apne ..nakabposh sangharak roop mein aagaya .....baaki sabne bhi ...Deep k saman hi nakab pahen liya ...

Ab Deepu ne ussi Jagah bhumi par apni talwar se ek jordar prahar kiya ....jisase ek dhamaka hua .aur ...waha jamin k bhiter ka raasta pragat ho gaya .....Charo ne ..bhiter jaati hui siddiyo ko dekha ......woh charo aage badhe ....aur ...un ..siddiyo se hokar woh niche utarne lage ....

Abhi k liye itna hi ....

Agla update jald hi .....
 
Update - 73

Deepu ne ussi Jagah bhumi par apni talwar se ek jordar prahar kiya ....jisase ek dhamaka hua .aur ...waha jamin k bhiter ka raasta pragat ho gaya .....Charo ne ..bhiter jaati hui siddiyo ko dekha ......woh charo aage badhe ....aur ...un ..siddiyo se hokar woh niche utarne lage ....

ab aagee .....

Deepu aur uske bhai ...niche jaa rahi sidiyo se niche utar gaye ...aage ek galiyara tha ....Dhamake ki aawaj se waha majud ..log bhi ab satark ho gaye the unhone waha ka security system on kar diya ....

Deepu uss galiyare mein aage badha hi tha ...toh usse ek tez bijli ka zhakta ..laga ....jisase woh piche girte girte bacha ...Kirshna ne usse girne se bacha liye ....Shivom aur Virat ...aage badhe hi the k Deepu ne rok liye ....

Deepu - ruk jaao ...aage mat badho ...yeh jagah invisible laser beam se surakshit hai ...hum apne pita k vardan k kaaran surakshit hai ..agar or hota toh ..toh jalkar rakh ho jaata ....

Krish - toh bhai ab aage kaise badhe ...

Tab tak galiyare k uss par commandos ki ek tukdi bhi aagayi thi ....

Shivom - lo ab yeh swagat karne wale bhi aagaye hai ....

Unn commandos ne Un par goliyo ki bauchar shuru kardi ....Jisse Krish ne ek Shied ka nirman karke rok diya ...sabhi goliya untak pahunch ne se pahele hi shield se takrakar girne lagi ....
aur wahi Virat bhi apni telekinesis ki shakti se unn commandos ko khich raha tha ....woh apne aapko rokne ki koshish kar rahe the lekin phir bhi adhe k kareeb commandos galiyare tak keenche chale aaye ....aur invisible beam se jalkar rakh ho gaye ..

Deepu Ne ab tak apni saari shaktiya aur chakra sakriya kar liye ...usne apni divya talwar se uss galiyare mein urja ka ek visfot kiya ....jisase woh dhwast ho gaya ..ab apni talwar ko tezi se ghumate hue aage badha ....aage aur jyada commandos tb tak aagaye the ....woh lagatar goliyon ki bauchar kar rahe the ......

Deepu ne apni talwar lekar unke upar ek chalang laga di ..aur ek hi vaar se ..aage wale k sar k bicho bich vaar ..kiya ...jusase uska sar tarbujj ki tarah fat gaya ....Depu aur yske bhai ab apni poori urja sakriya kar chuke the . issiliye ab unpar goliyon ka koi asar nahi ho raha tha ....

Goliyon ka asar na hote hue dekhkar woh Commandos guns fenkar aage badhe ...lekin Sangharak k talwar k aage woh kab tak takrate ....kuch hi palo mein unke kate fate shav waha pade the .... aage raasta teen taraf jaa raha tha ..ek par Shivom nikal faya aue ek par Krish aur Virat ...aur ek par Deepu ...

Yaha ek cabin mein Eagle gang k 8 members mein se ek waha ki screens par sab kuch dekh raha tha ....woh mic mein apne logo ko nirdesh de raha tha ....

E2 - jaldi karo ..saar maal gadi mein jaldi se load karo .... hume yeh maal kissi bhi haalat mein pahunchana hai ......dushman yaha ghus aaya hai.....jitna ..gadi mein aata hai ...saara load karo baaki k maal ko aag laga do ....

Yaha Krish aur Virat ...apne marg par Gundo ka safaya karte hue aage badh rahe the ....Jaha Virat apne mind power se ...unka saamna kar raha tha ...wahi Kirsh ...apni urja k chote chote ghatak chakra banakar unhe maut k ghat utar raha tha .....ause hi dushmano ka safaya karte hue ...woh ek ..chamber tak pahunch gaye ....Jiska bada sa lohe ka darwaja band tha ......
Krish ne apni urja ka uspar kiya ....Aur Virat bhi uss majboot darwaje ...ko apni Telekinesis ki power se todne ka prayas karne laga ...dono k prayaso se ....woh darwaja ...tut gaya ..aur .uske tutte hi ...ek safed dhua uss chamber se nikalne laga ....
uss dhue k prabhav se dono ka dum ghutne laga ..tha ...

Dusri taraf Shivom bhi poori satarkta se apni ...talwar k saath aage badh raha tha ....lekin yaha uska marg rokne k liye koi bhi nahi tha ...saamne ek chote se galiyare k paar usse ek bada se lohe ka band darwaja dikha ....woh puri satarkta se ...aage badh raha tha

uss galiyare k bich pahunchte hi ....uspar anek teero ki barsat hone lagi ...suraksha kawach k hone k kaaran unn sadharan teero se usse kuch hanni nahi ho rahi thi ..Shivom apni aankhon ko bachata hua ...aur apni talwar se unn teero ko hatata hua ...aage badh raha tha ....

tabhi ek motii si steel ki deewar ne uska aage ka raasta band kar diya ....woh kuch samazhta ...k galiyare k pichle bhag mein bhi ek moti si steel ki deewar aagayi thi jiske kaaran ab dono taraf se galiyara band ho gaya tha ....aur Shivom usmein kaid ho gaya tha ....

Shivom ne apni poori shakt lagakar uss steel ki deewar par mukka maara ...usse ek tez zhatka laga aur woh uchalta hua ...uss galiyare ki deewar se takrakar niche gir gaya ....dono taraf se band ...woh steel ki deewar .mein high voltage current daud raha tha ....
Shivom abhi sambhla hi tha k ek jahrila dhua uss galiyare mein bharne laga ..aur uska dum ghutne laga .....

Yaha Deepu ..bhi apni talwar se .. saamne aane wale har gundo ko maut k ghat utarta hua aage badh raha tha ...k ..uske bhi aage aur piche ki taraf moti steel ..ki deewar ...aagayi ..aur woh bhi waha kaid hokar rah gaya ....woh jadah bhi hahrile safed dhue se bhar gayi ...aur Deepu ka bhi dum ghutne laga tha ......

Yaha woh nakabposh asur .....apne chamber mein yeh sab dekh raha tha ....Sangharak aur uske saathiyo ki aisi haalat dekhkar bahut khush ho raha tha ....

Deepu aur uske bhai ...kaid ho chuke yhe aur uss jahrile dhue k kaaran ...unki haalat kharab ho rahi thi .....tabhi waha lage speakar par uss asur ki aawaj gunji .....

Asur - ha..ha..ha..ha ...Sangharak .....buraiyo ka nash karnewala ....aaj ...khud ..apne saathiyo k saath chuhe ki maut marne wala hai .....swagat hai ..mere pyare dushman ..tumahara ...maut k iss chakravyu mein ..kahi ..meri or se tumahari khidmat mein koi kami toh nahi rah gayi .....ha..ha...ha.....Maut mubarak ho ....Sangharak .....alvida ....

yaha apne mic par itna kahakar uss asur ne ek baar phir screen par nazar daali ....aur waha se utha .....usse jald se jald ...ab yaha se nikalkar apne thikane par Drugs lekar pahunchna tha ....

woh abhi apne chamber se bahar nikalne hi waha tha ..k ek jordar gusa uske jabde par pada ..aur woh karahte hue ...uss chamber ki screens se takrakar ..niche gir pada ...uske takrane se waha ki screens tut gayi thi ....jab tak woh sambhalta . ek jordar thokar uske pasliyo par padi ...aur woh dard se cheekhta hua ...chamber ki deewar se takrakar gir pada ....

usne dekha k saamne sangharak ...uske taraf ..talwar lekar badh raha hai ...toh usne apne dard ko bardasht karte hue ...kaali urja ka ek jordar prahar kiya ...jisse ..Deepu ne apni talwar se rok diya ...lekin prahar itna jordar tha ...k uska kuch ansh Deepu k seene par laga ...juski jalan k kaaran ..woh talwar ..dharti par tikakar ...zhukkar apne aapko niyantrit karne laga ..itne der mein woh asur bhi sambhal gaya ....

Asur - yaha tak toh pahunch gaye ab yaha se jinda wapas nahi jaaoge ...itna kahkar ek aur kaali shaktiyo ka vaar usne Deepu par kar diya ...woh vaar usko lagta yske pahele hi Deepu apni jagah se ....hatkar ...uss par chalang laga chuka tha ...Deepu ki ek jordar kick uske seene par ..padi ....aur woh phir niche gir pada iss baar Deepu usse koi aur mauka nahi dena chahta tha ....usne turant uss asur k seene par ek laat maari ...

ab woh lagatar thokare ...usspar barsane laga tha ....uss asur ki haalat kharab ho chuki thi ....tabhi Deepu ...ki aankhon k aage andhera chane laga tha ...usse apna sharir shithil hota hua mehsus ho raha tha .....uss asur ne jab dekha k Deepu kamjor pad raha hai ....toh usne ...ek jordar kick Deepu k pet par maari ....jisase ..woh karahte hue picche ki or gir pada ...

Uss asur ki haalat bhi bahut kharab ho gayi thi ...woh bhi ab aur ladne ki sthiti mein nahi tha ....Deepu par aakhri vaar karne k liye woh aage badha hi tha ....k ..ek teevra urja usse aakar lagi aur woh tadapta hua ....jamin par gir gaya ....

woh pahele se hi Deepu k vaar se vahut jajhmi ho gaya tha ..aur ab iss urja k vaar k kaaran woh murchit ho gaya .....

Deepu jab dono taraf se galiyare mein band ho gaya tha ...toh woh waha se nikalne hi wala tha ...k ...waha ..woh dhua phailne laga ...usne uss dhue ko dekhte hi ...pranayam k dwara apni saanso ko rok liya ....lekin uss dhue ka kuch ansh ..uske bhiter sama chuka tha .....

dusri taraf Shivom ne jab uss dhue ko dekha toh woh apne taksha roop mein aagaya ...Shivom maha yakshni Shivali ka beta tha ..issiliye yeh gun usmein janm se hi the ....

Yaksha roop mein aate hi woh apni maya se uss band galiyare k bahar nikal gaya ...aur ..godown k bade se lohe k darwaje ko apni shakti dwara dhwast karke bhiter pravesh kiya ....bhiter pravesh karte hi uspar goliyo ki bauchar hone lagi .....Yaksha roop k kaaran saari goliyan uske paar ho gayi ....lekin phir bhi woh unke saamne aise hi muskurate hue khada raha ...

jab unlogo ne dekha k goliya uske jusm k paar hone k baad bhi usse kuch nahi hua toh sab ghabra ..gaye ...aur ..bhoot bhoot kahakar udhar udhar bhagne lage ....yaksha roop mein Shivom ki haasi bhi bahut khatarnak thi ....Shivom ki hassi k kaaran ..unki gaalat aur patli ho gayi ....

usne dekha bade bade box waha se nikalkar bahar lejaaye jaarahe the ...Godown se ek raastha bahar jungle mein nikalta tha .....Shivom ne apni yaksh maaya phailayi .....jisase Bahar ka raasta band ho gaya ....Yaksh swabhav k kaaran ab woh unke khoon ka pyasa ho gaya tha .....apni talwar se ...bhagte hue ek..k sar par prahar kiya ...aur pal bhar mein ...uska ...sharir ...do bhago mein bat gaya ...aur ...uski aantadiya ..aur sharir k purje ...khoon waha bikher gaya ..

yeh drishya dekhkar ...unki haat aur kharab ho gayi ..kaiyo ..ko toh ultiya hone lagi ..toh kai aage se gile aur picche se pile ho gaye ....Khoon dekhkar Shivom ab aur raudra roop mein aagaya ...ab gundo ka bhagne k bhivsaare raste band ho gaye the ....toh himmat jutakar ...kuch ...Shivom par ek saath zhapat pade .....jisase uska krodh aur badh gaya ... aur usne waha bhayankar maarkaat machayi .....kuch hi der mein ..waha sab k sharir k tukde bikhre pade the .....kuch log ..murchit ho gaye the ....

.usne apne charo aur nazar daudayi ....waha bade bade box pade the ....usne ek ko kholkar dekha toh usmein usse koi safed padarth k packets mile ....usse andaja ho gaya k yeh koi drug hai ...

Yaha dusri taraf Virat ..aur Kirsh ka jab uss dhue se dum ghutne laga toh unhone bhi turat pranayam k jariye ...apni saanso ko roka ...lekin tab tak ..uska kuchvansh unke bhiter jaa chuka tha ..apni saanso ko niyanrit karte hue woh dono aage badhe .....toh unhone dekha bhiter ek lab hai ....waha ...kuch safed coat aur ...mask pahene hue ....kuch ..4 ..jhan ..ek table k piche dubakkar baithe hue the .....

Kirsh aur Virat jaise hi aage badhe ....k unhone ...uss lab ko dekha waha unhe koi nazar nahi aaya ....lekin Virat ko waha kissi k hone ka ahsas ho gaya ...tha ....woh ...Krish ko lekar ...uss table k picche gaya ....toh usse waha ..woh char log chupe hue dikhe ...woh dono unki raraf badhe hi the ...k unhone waha table par pade chemicals k jar unpar phenkne lage .....Krish aur Virat turant pichhe hat gaye ....aur woh chemical ...k jar darsh par girkar tut gaye ...aur chemical waha bhkher gaya ....uss chemical se ...jahrila dhua ..nikalkar waha phailne laga ....

issi baat ka fayda uthakar woh Charo waha se nikal kar darwaje ki taraf bhage...jisse dekhkar Krish ne apni urja k chakro se unpar vaar kiya .....jo bhagte hue ...teen ...ko lage woh ...turant shaitan ko pyare ho gaye ....Chauthe par Krish vaar kar hi raha tha k ....Virat ne usse rok liya ...

Virat - ruk jaao krish yeh hume jinda chahiye ....yeh humare bahut kaam ka hai ......woh Bhagte hue ...lab se bahar nikla hi tha ....k krish ne apni poori tez gati se jaakar uski gardan piche se pakad li ...aur turant uski gardan ki nas dabakar usse behosh kar diya ....uss jahrili gas ka asar ab unpar bhi ho raha tha ...jiss kaaran woh dono bhi wahi murchit ho gaye .

Yaha Abhi jab apne kaksh mein baitha dhyan k dwara ...Janalok k aacharya . Satyanad ji se ..kuch mahatvapoorn baat kar raha tha ....tabhi usse anubhav hone laga k uske bacche kisdi khatre mein hai .....toh woh turant waha pahuncha .....waha jab usne Deepu ko lagbhag behoshi k kagar par ek taraf Jamin par pada hai aur asur ghayal awastha mein ...Deepu par vaar karne k liye aage badh raha hai .......toh usne apne shakti trishool ki urja ka prahar ..uss asur par kiya....jisase woh murchit ho gaya ...

Abhi ...Deepu k paas pahuncha .. .uske sharir ka rang kaala pad raha tha ....toh samazh gaya yeh kissi bhayankar vish ka prabhav hai ....usne apni Naag roop ka aawahan kiya .. aur Deepu k sharir se saara vish soakh liya .....

Deepu ne hosh mein aate hi Abhi ko apne saamne dekha ....toh usse afosos hone laga k aaj woh phir uss asur k saamne woh kamjor pad gaya ....

Abhi ne uske hriday ki baat ko jaankar ...uske karta kivsahrana ki .. aur ..bataya ..k yeh bhayankar vish tha ....issiliye isska prabhav toh hona tha .....tum isskeliye nirash na ho ...muzhe toh tumpar garv hai ...jin logo tak mein itni shakti hone par bhi pahunch nahi paaya waha tak tum pahunch gaye .. ..

Abhi ne uss asur ko apne paash mein bandha ...aur ..Kaal ko pragat karke usse ..apne ..ghar k basement k gupt sthan nein pahunchaya .

Avhi aur Deepu ...waha se nikalkar Shivom k paas pahunche ...waha unhone dekha ..k Shivom Waha pade box k piche ..kior jaate hue dikha ....

Box k picce ek gunda apni jaan bachakar chuppa hua tha ....Shivom ko dekhte hi woh thar thar kaanpne laga ..usse apni maut saaf nazar aarahi ..thi ....Shivom ne usse maarne k liye apni talwar uthayi ...k ...woh ..gunda aage se ..gile aur puche se pila ho gaye ...aur aoni maut ko saamne dekhkar behosh ho gaya ....ussko behosh hote dekhkar ..Shivom ne apna haath rok diya .

Shivom ko Box k piche ki taraf jaate hue dekhkar...Abhi aur Deepu bhi waha gaye ....Derpu ne uss behosh hue gunde ko dekha .....toh pehchan gaya k yeh wahi tha jo hotel mein usase takraya tha ....

Deepu - aacha hua tumne isse nahi maara kyu ki yeh hamre bahut kaam ka hai ...

Abhi aur Deepu ne charo taraf nazar daali ....aur ....Shivom k failaye vinash ko dekhkar muskura uthe ....

Abhi Shivom ki pith taptapata hua .....Mein toh sochta tha k Kaal bahut nrishansta se apne shtruo ka naash karta hai lekin tum bhi usase kuch kam nahi ho ....
tum isse lekar nikal jaao hum jaldi hi waha pahunchte hai ..
.Shivom ne uss behosh gunde ko apne kandhe par daala ....aur waha se ...nikal gaya ...

Abhi aur Deepu ...ab Krish aur Virat k paas pahunche ....waha ...Krish aur Virat dono murchit pade the ...Abhi ne unn dono ka vish bhi soak liya ...dono ne hosh mein aane k baad ...uss lab aur ..woh behosh hue aadmi k baare mein bataya ...

inn sab Baaton se aur box mein band drugs se Abhi ab tak samaz vmchuka tha k yahi woh drugs hai ...jiska istemal ....woh anjana dushman maasum vaccho par kar raha tha ....

Abhi ne uss safed coat wale doc ko bhi saath lene k liye kaha .....aur sabhi waha se bahar aagaye ....Abhi ne apne Shakti trishool ki urja se uss saare adde ko ...dhamake mein uda diya
aur waha se nikalkar Basement mein sthit torchar room mein pahuncha ..

Abhi k liye itna hi .....

Agla Update Jald hi .....
 
Update - 74

Abhi ne uss behosh pade scientist ko bhi saath lene k liye kaha ....aur sabhi waha se bahar aagaye ....Abhi ne apne Shakti trishool ki urja se uss saare adde ko ...dhamake mein uda diya aur waha se nikalkar Basement mein sthit torchar room mein pahuncha ..

ab aagee.....

Kahani k pahele part mein bataya tha k RVS ne apne ghar k basement mein ek control room bana rakha tha ..jaha ..se ...woh poore shahar aue desh k pramukh shahro par apni nazar banaye rakhta tha ....uske baad Abhi ...ne jab Sangharak ki jimmedari sambhali thi tab se uss control room ka charge uske haatho mein aagaya tha ....control ..k niche Abhi ne torcher room banaya tha ...iss samay ...Abhi ..Deepu ...Shivom ..Krish aur Virat ...issi torcher room mein the ..waha unke saamne teen electric chair par ...woh ..teeno ..bandhe hue the ..jinhe woh ..uss drugs wale secret adde se utha kar laaye the ...

Ek par ...Eagle gang ka member woh asur bandha tha .....aur ek par ..uss lab ka doc ...aur teesre par woh gunda ....teeno ko bijli k zhatke dekar ..hosh mein laaya gaya tha ....

Woh gunda toh pahele hi ghabraya hua tha ...apne aapko aise bandhe hue dekhkar woh ...rone laga ...

Gunda - chod do muzhe bhagwan k liye chod do ....agar men mar gaya toh mera pariwar anath ho jaayega .....pls chod do muzhe .....

Deepu - ab maut saamne dikh rahi hai toh bhagwan yaad aaraha hai...apna pariwar yaad aaraha hai ... ....unn pariwaro ka jara bhi khyal nahi aaya junhe tumne barbad kiya ..
.
Gunda - mein kasam khaata hu muzhe aakhri baar chod do aap jo bhi bologe mein woh karunga .muzhe mat maaro ...

Deepu - tumhe chodne k baare mein hum sochenge ..pahele batao k tum yeh drug kaha lejaa rahe the .....

Deepu k puchne par usne woh address turant bata diya ...

tabhi chair se bandha woh asur hasne laga ....

Shivom ne ek jordar thappad uske gaal par rasid kardiya ....

Shivom - tumhe badi hasee aarahi hai ....tumaharabhi number aayega ..

asur - hasse aarahi hai tum sabki soch par tum kya sochte ho ..jo address yeh bata raha hai ..waha tumhe kuch milega ....jaao jaao ...ab tak waha kissi bhi chizka namo nishan mit gaya hoga .....tum nahi jaante tum kisase ..dushmani le rahe ..ho ...
tum sab maare jaaoge ....

Ab Abhi uss asur k saamne aagaya ....aurusse ek thappad marte hue ...

Abhi - accha hum nahi jaante toh tum bata do k yeh hai kaun ....aur tum shayad bhul rahe ho k Tumahare maalik KS ka kya hua tha ..

Gunda - ha..ha..ha ...abki baar jisase tumahara saamna jo raha hai ..Woh KS se bhi jyada ..krur ...takatwar ....aur .makkar hai ..tum uss tak kabhi nahi pahunch sakte ...aur jaha tak muzhse kuch janane ka sawal hai ...tum chahe muzhe maar do ..tum muzse kuch bhi nahi ufalwa sakte ho .....

Abhi sawal tumse mein nahi ....mera mitra Kaal karega .....itna kahkar Abhi ne Kaal ka aawahan kiya.....jo dhahdta hua ..sher manav k roop mein pragat hua ...

Kaal ko dekhkarhi Woh asur ...ghabrane laga ..woh Kaalki nrishansta jaanta tha ....Lekin Datmenka khayal aate hi usne apne jabde bhinch .liye ...

Kaal - woh kahavat toh tumhe suni hogi ..k...dukh toh jindagi deti hai log maut ko yuhi logo ne badnamkar diya .....mein tumse kuch nahi puchunga jab tumahara man kahe

itna kahkar ..Kaal uske haath ki ek ek ungli kaatne laga ...uss asur ki cheekhe waha gunjne lagi ...atyant pida k kaaran woh behosh ho gaya ....

yaha woh Doc bhi hosh mein aagaya tha ...Virat usske mind se uss drugs ki saari jankari hasil karne laga aur saath hi uss drug k antidot baare mein bhi...

Kaal ne uss behosh asur k baal pakadkar ukhad diye ..uske baalo k saath uski ..sar ki chamdi bhi ukhad gayi thi jiski pida kaaran woh asur hosh mein aake phir cheekhne aur chllane laga .

Kaal ab uske dusre haath ki ungliya bhi katne laga ...jisase woh aur behosh hogaya....Kaal ..ab apne khanjar se uski chamdi chilne laga ....jusase usse phir hosh aagaya ....ab woh Kaal se maut ki bhikh mangne laga ....

Asur - maar do muzhe ...ek zhatke mein maar do ....yu tadpane se accha toh muzhe maar hi do...maar do ..muzhe ..

Kaal - galat jawab ...aur woh khanjar ...uski aankhon mein ghusane k liye aage badha .. ....

Asur - ruko ..mein sab batane k liye tayaar hu ....

Itna Kahkar woh Darmen k aare mein batata cala gaya....jitna woh ab tak Darmen k baare mein jaan paaya tha sabkuch usne Bata diya ....Darmen k baare mein jaankar ..sabhi aascharya chakit hogaye .....

aayiye dekhte hai Darmen k baare mein ....

Abhi ne jab apni shaktiyo ka vaar Darmen par kiya tha toh uss vaar se Darmen ka sharir poora gal gaya aur sirf haddiyon ka dhancha rah gaya tha ...Abhi ..usse mara hua samazkar ...waha se nikal gaya ...woh iss rahasya se anjan tha ...k jab tak Darmen k sharir ka koi bhi ang jab tak shesh rahega woh mar nahi sakta ....

Darmen ka sharir galne k kaaran uske pran uske sharir se uski haddiyon mein aagaye the .....iss rahashya ko uska sewak kewal Evom hi jaanta tha ....Abhi ko dekhkar woh bhag toh gaya tha lekin wahi chipkar sab dekh raha tha .....Abhi k waha se jaate hi usne Darmen ki haddiyon ko sambhalkar ...Jadui taboot mein dal ..diya ...aur band kar diya ...101 manav bali dene par hi woh taboot khulega ..aur Darmen wapas jinda hokar aayega .....
Evom abhi iss baare nein soch hi raha tha k Bahar abhi ne uss poore mahal ko girakar jamin mein dafan kar diya .....jisase Evom bhi uss taboot k upar girkar ...mar gaya tha .....
yaha hazaron saal baad .....Egypt mein gija k pyramids ki khoj hui ....waha ka archaeology dep ...aise hi jan uske aas paas k ilake mein khoj kar raha tha ....toh ...unke ..machinary ne ek jagah ..bahut saara dhan hone ka sanket diya ....toh unhone waha ki khudayi shuru kar di .....

Haise jaise woh khudayi karte gaye ..unhe waha dafan Darmen k mahal k avshesh milne lage ...uske mahal mein unhe kai swarn aur beshkimati heere jawahrato ki chije milne lagi ....khudayi karte karte .....jab unhne ek tuti hui deewar ...k bhiter se kuch chamakta hua nazar aaya ....toh unhone ...umwaha k malbe ko hata diya ...unhe waha ....ek chamakta hua ..taboot nazar aaya ...uss taboot ko dekhkar ...unki aankhien chaundiya gayi ....kyu ki ..ek toh woh shudh sone ka bana hua tha dusre usmein lage hue ...kohinoor heere se bhi bade bade heere ....

uss taboot k upar ek haddiyo ka dhancha pada tha .. Jo Evom ka tha ...unhone uss haddiyon k dhanche ko jaise hi hataya ....waha hawa mein ek ajeeb si cheekh gunji ...yeh thi Evom ki aatma ..jo ...uss taboot k kaaran yahi kaid hogayi thi ....woh cheekh gunjte hi ...waha maujood sabhi ka dam ghutne laga .....unke seene mein bhayankar pida hone lagi ...woh sabhi tadapne lage ...rabhi unsabka seena phat gaya aur unka dhadakta dil unke seene se bahar aagaya ..aur unke sharir ki saari urja ..uss taboot mein chali gayi .....55 logo k rahasyamayi tarike se ek saath marne k kaaran ..woh site band kardi gayi ....

iss khajane ki khabar khabar underworld mein bhi phailne lagi ...kai log uss khajane ko hassil karne chori chupe raat k andhere mein aate ..aur maut k muh mein sama jaate ......Evom marne k baad bhi apne aaka k saath wafadari nibha raha tha ....aur 101 baliya poori karne mein laga tha .
101 ki sankhya poori hone mein abhi 6 baaki the .....

waha jo bhi gaya laut k nahi aaya iss kaaran ab underworldk logo ne bhi waha jaane ka vichar chod diya tha ....yeh khabar Eagle gang tak bhi pahunch gayi ...uss samay unki bhi sthiti thik nahi thi ....khajane ka pata ..lagte hi ...woh bhi apne saath ..waha khudai karne k liye ...apne kuch saathiyo ko lekar gaye ....waha ...ki ..apar sampada ko dekhkar unki baacche khil gayi ....unhe lagne laga k woh ab sansar mein sabse amir ho gaye ...woh sab waha ki sampada dekhte hue ...aage badhe ...k unki nazar waha maujood uss sone k taboot par padi ....ek taraf saari sampada aur ek taraf woh taboot ....

E1 - kholo isse ...jab iske bahar itne bade heere lage hue hai toh andar kitne bade bade heere honge .....

E2 - wakai yaar ...ab hum iss dhan k sahare sansar mein sabse jyda shaktishali ho jaayenge ...
dekhkya rahe ho jaldi kholo isse ....( usne saath laaye hue gundo ko aadesh diya )

woh log taboot ki taraf aage badhe hi the k phir wahi hone laga ...au kuch hi pal mein mein unn gundo k dil unke seene se bahar aagaye ..aur unki saari urja uss taboot mein sama gayi ....ab 101 baliyo ki sankhya poori ho gayi thi ....

Baliya poori hote hi uss taboot k dhakkan k chithade ud gaye ....aur ..Darmen ab apne poorna roop mein garajta hua ....uss taboot se bahar aaya ..Evom ki aatama ab apna karya poora kar chuki thi ..issiliye woh bhi uss taboot k bandhan se aazad ho gayi ...

Darmen - garajta hua ..Arsalan aur Abhi mein tumhare poore pariwar ko khatam kar dunga ...tumhe aisi buri maut maarunga ..k ..phir kabhi koi Darmen k khilaf jaane ki himmat nahi karega .....usse aisa lag raha tha k jaise woh murchit hokar jaaga ho ....hazaro varsho k jaagne k baad usse bhan hi nahi tha k samay badal gaya hai ....woh krodh mein bharkar garajne laga ...

woh aatho asur ..apne saamne iss adbhut ghatna ko ghatit hote hue dekhkar ...thar thar kaanp rahe the .....woh waha se jaan bachakar bhagna chahte the ...lekin bhay k kaaran jaise unke pair jaam ho gaye the .....Darmen ki nazar jab taboot par padi toh usse sab yaad aagaya tha ....usne ne jab apne saamne unn 8 asuro ko dekha ...

Darmen - Kaun ho tum aur yaha kya kar rahe , yeh kaunsa samay hai .....Darmen ki aawaj sunkar ..woh aatho hosh mein aagaye aur ghutno par baithkar ...Darmen k aage apna sar zhuka diya ....

Darmen ko unse aaj k samay k baare mein pata chala ......hazaro varsho k baad ...woh taboot se jaga tha ....jisase woh badla lena chahta tha ....unke pariwar ka ab prithvi par koi naamo nishan nahi tha ....aur Arin grah tak woh teleport hokar bhi nahi jaa sakta tha ....

ab aage kya kare issbaat ka vichar karte hue uske mann mein ...vichar aaya k ek baar Abhi k nagar chalkar dekhna chahiye ....ho sakta hai ....waha ...se koi raasta mil sake ...

Darmen waha se unn 8 asuro k saath .....amAbhi k nagar pahuncha jo aaj purana Roopnagar k naam se jaana jaata tha ....jaha ..iss yug mein Rana vansh mein Abhi ka janm hua tha .....

Darmen ne waha k baare mein saari jaankari nikali ....tab usse Abhi ..aur uske pariwar k baare mein pata chala .....unn 8 asuro se usse yeh bhi pata chala k kaise Abhi ne KS ko maara ..
unki baaton se Darmen itna toh jaan gaya tha k iss yug ka Abhi ..pahele se kai guna shaktishali hai ..uske paas 14 loko ki takat hai .....jaha ..bal kaam na aaye waha chal kaam aata hai .....

woh Abhi ki kamjori jaanta tha ....Abhi ki kamjori thi uski acchayi ....Darmen ab Eagle gang ka boss tha ...usne apne syndicate ha head office Roop nagar sahahr mein hi banaya ....aur yuvao ka apharan karke ....ek vishesh drug dwara unke mind ko blank karke ...ussmein burayi aur hinsa .k vichar bharne laga .....

woh jasnta tha ..k Abhi kissi bhi haalat mein inka vadh nahi karega ....issiliye ...woh unn yuvao ki ek badi sena khadi kar raha tha ...jo uske ishare par apne prano ki bhi aahuti de ...
un yuvao ki sena k saath saath woh Abhi ko poori tarah gherne k liye aur bhi shadyantra par kaam kar raha tha .....jo aage pata chalega .....

at present......

Uss asur se jitna woh jaanta tha Darmen k baare mein poori jankari haasil karne k baad ...

Asur - ab muzhe chod do ...aapne jo kuch bhi pucha maine sab bata diya ....

Kaal - krur hassi k saath ....tumne pahele maut maangi thi toh tumhe wahi milegi ....
itna kahkar Kaal ne apna panja .yss asur k seene mein gusa diya aur uska dil pakadkar bahar nikal liya .......khoon se sane hue uss dil par usne ek bazar daali aur usse apne jabde k hawale kar diya ....

Darmen k rahsya se ab parda uth chuka tha ....Abhi ne apni divya drishti dwara usse dekhne ka prayatna kiya ...lekin ....Darmen ...ne ..apne charo taraf aisi kaali shaktiyo ka ghera banaya hua tha ....k ....woh usse dekh nahi paaya ....

sangarsh se bahara woh din khatam ho chuka tha .....Dusre din apne nitya karm niptakar ..Deepu ne dhyan mein baithkar apni shaktiyo ko aur chakro ki urja ko ...aur unhe kiss prakar upayog mein laaya jaaye ...iska abhyas karne laga ....uske baad woh College k liye nikal gaya ....

Wahi dusri or Virat ...uss pakde gaye scientist ki madad se drug k antidode banane k kaam mein jut gaya .....Shivom ...aur Krish ....ab tak gayab hue baccho ki khoj mein lag gaye ....aur Abhi .....apne control room mein baithkar .....nazar rakhne laga .....aur har sandigna gatividhiyo par nazar banye hue tha .......

Yaha Darmen bhi apne drug k ek adde k nasht hone par krodhit tha ...aur ...apne shadyantra mein Abhi ko gherne ki poori yojna bana chuka tha ....

Abhi k liye itna hi ....

Agla Update jald hi ...
 
Update 75


Darmen apne drug k ek adde k nasht hone par bahut krodhit hua ....lekin iss baar woh krodh se nahi ....buddhi se ....Abhi ko maat dena chahta tha .....woh aisi paristhitiya utpanna karna chahta tha k ...Abhi ...k ..saamne ..begunah logo ...ki maut ka khel ...khel sake ...aur Abhi bas dekhne k alawa ..kuch na kar sake ......woh ..apne shadyantra mein Abhi ko gherne ki poori yojna bana chuka tha ....

ab aagee.......

Yaha Deepu bhi College k liye nikal gaya ......Uske haath mein ghadi kam gadget tha ...jisase woh ghar k niche bane hue control room se connected tha ....usse ...kai kaam ek saath karne the ....college mein ek student ki tarah padhai bhi karni thi ....aur Sangharak k roop mein har apradhik gatividhiyo par nazar bhi rakhni thi ....

College ki parking mein apni gadi park karke ...Deepu College campus k khubsurat park ki or badh gaya ....abhi classes chalu hone mein thoda samay tha ...uske calss k friends ..class shuru hone se pahele wahi ek khas jagah ikkatha hote the ....

Park mein waha ...Salim , Sameer , aur Preetam ...teeno baithkar kuch baat kar rahe the ....
Deepu ki taraf dekhkar ...

Salim - lo yeh bhi aay gaya , ab issi se puch lo ...

Deepu - kya puchna hai bhai ..aur yeh Jackie kaha hai ....

Sameer - wahi toh baat kar rahe hai ...yeh patha Jackie ghar se bolkar nikla college k liye ...aur apni gf k saath date par nikal gaya ..aur abhi muzje ph kar raha hai ...
hum kah rahe hai kyu na aaj hum bhi bunk maare ...aur ...Jackie ko jaakar surprise de ...

Deepu - arre bhai kyu uske rang mein bhang dalne par tule hue ho ...aur waise bhi iss tarah bunk maarna acchi baat nahi ...

Preetam - maine pahele hi kaha tha k hum chalte hai yeh nahi manane wala ..

tabhi piche se Kirti ki aawaj aayi ....Kirti apni frnds Rashmi aur Kiran k saath aarahi thi ...

Kirti - College time mein kaha jaane ki baat ho rahi hai ..tum logo ki ....

Deepu - kahi nahi yaar reh sab aise hi bakwas kar rahe hai ....chalo ab class ka time ho gaya hai ..

Salim - hume nahi jana hai aaj class ...tum ..raho yahi ..kitabo mein ulzhe hum toh chale ....

Salim , Sameer aur Preetam ..terno waha se uthkar chale gaye ..Jab ..Kirti ne pucha toh Abhi ne bata diya k yeh sab Jackie ki date kharab karne jaa rahe ..hai ....
Class ka time ho gaya tha ...Toh Deepu ...Kirti ..Rashmi ...aur ..Kiran Class room chale gaye ....Classess chalri rahi ..aise hi 3 Class k baad ...half time ..mein Deepu..Kirti ..aur uski sahrliyo k saath ...canteen mein baitha tha ....uske haath mein bandha gadget achanak vibrat hone laga ...aur uske screen par ...ek number dikhne laga ...yeh ..number ...ek code tha ....

control room se connected uss gadget mein ..uss jagah ka code aajata jaha sangharak ki aawashyakta hoti thi ......Uss code ko dekhkar Deepu samaz gaya tha k usse shighra hi uss jagah pahunchna hai ....usne Kirti ko kissi jaruri kaam ka bahana banaya ...aur waha se nikal gaya ....

Deepu ..Sangharak k roop mein ..nagar k bahar ....jaha ek uncha water fall tha aur ek sunder sarowar ....yeh jaga pahele part mein bhi batayi hai ...jaha Abhi aur uski famiy aksar aati thi ...woh jagah ab acchi khasi tourist place ban gayi thi ...waha tarah tarah k hotels ..aur ...Resorts bane hue the ....

Deepu Sangharak k roop mein ..uss code wale address par pahuncha ..yeh ..ek bada resort ..tha.. uss Resort k ..bahar ...Police ki gadiya ..aur Ambulance bhi khadi thi ....DSP Dushyant ..ne jab sangharak ...ko apne saamne pragat hote hue dekha ....toh thoda chakit hogaya ...

Sangaharak - bhari aawaj mein - yaha kya ho raha DSP ....

DSP - Deepu k aise puchne par DSP usse aascharya se dekhta hai ....

DSP - kya sar ..yeh majak karne ka samay nahi hai ....aap bhi hamari firki le rahe ho ....abhi tob thodi der pahele maine sab bataya k yaha kissi atankwadi group ne ..resort k sabhi logo ko hostages bana liya hai ..aur andar bhi toh gaye ..unhe bachane ....ab hum se phir puch rahe ho ...

Sangharak RAW ka no 1 agent tha issilye usse sab jaante the ....DSP ki bast sunkar ...Deepu ko lagne laga ki mein college mein tha issiliye ho sakta hai k k dad hi Sangharak bankar aaye ho ...
issiliye ..woh ..bina DSP ko kuch bole ....Andar chala gaya ....yaha Resorts k andar ..hall mein sabko bandhak banakar rakha gaya tha ....waha kuch aadhunik hatiyaro se lesh 6 k lagbhag ....kaale nakab pahene ....atanki the ....aur ek sangharak ...apni talwar liye ...unn aatankiyo k saamne khada tha ....

Aatanki goliya barsa rahe the ....aur woh duplicate Sangharak ..bikul Sangharak k hi style mein talwar ghumate hue ...unn goliyon ko apne tak pahunchne se rok raha tha .....yeh drishya ...waha k cctv camere k dwara ....tv par live chal raha tha ...

tabhi Deepu ko apne bhiter aawaj aayi ....Yeh aawaj thi Abhi ki ...beta yeh mein nahi hu roko isse warna anarth ho jaayega ....unki goliyan khatam ho gayi thi ...tabhi uss sangharak ne ...apni talwar ....ek aatanki ..k gardan ki taraf badhayi ....toh Deepu ne apni gati ka istemal karke usse rok diya ...woh nakli sangharak hassa ....aur Deepu ko ek dhakka diya ...aur unn 6 aatankiyo ...ko .niche ...khade ...DSP ....aur police team k aage kar diya ....

ab waha ka scean yeh tha ...k woh aatankwadi ...apni gun uss nakli sangharak par thame ...khade the ....woh Nakli sangharak ...tab tak ...DSP ko bola ...

NS - DSP ...tum tab tak inhe khatam karo ..mein ..baaki logo ko dekhta hu ...itna kahkar Woh waha se ....Resort k andar aagaya ....

yaha woh aatanki DSP aur police walo par apni gun taane hue the ....Police unhe baar baar hatiyar dalne ko bol rahe the ....jab woh nahi mane Toh DSP ne fire ka order de diya ....Tabhi Deepu ...unhe rok deta hai ....woh unn 6 aatankiyo ko pehchan chuka tha ..yeh ..unn gayab hue baccho mein se hi the ...jinke baare mein usne pata lagaya tha ....

Deepu - ruk jaao ..DSP sahab ..inki guns khali hai inhe jinda pakdo ...

DSP - kya sir aap bhi kabhi kahte ho ..shoot karo ..kabhi kahte ho jinda pakdo ....

Deepu - jitna kaha gaya hai utna karo ....
itna kah kar woh andar gaya ....toh waha ....Resort k andar koi nahi tha ....woh nakli sangharak ....bandhak banaye hue sabhi logo ko apne saath le jaa chuka tha ....

Deepu ka antarman ..yss kuch anisht hone ka sanket ...de raha tha ....baar baar ...usse ...kaale nakab mein dhake hue ...baccho k chehre ...aur ...unki ....aankhon ki vahshat nazar aarahi thi .....
Deepu turant ..niche Pahuncha ....yaha DSP ....sahab un 6 atanki ko banndi bana chuke the .....unke chehre se nakab hataya gaya tha ......bahar media aur bahut saare logo ka jamavda tha ...jinhe police Control kar rahi thi .....Sabhi media wale ....DSP sahab ka interview lena chahte the ..

jab unka koi bas nahi chala toh bhid k bahar se hi reporting karne lage ....

aap dekh rahe hai exculsive report ground zero se sirf humare channel par ...abhi thodi der pahele aapne cctv ki live footage k dwara ...yeh dekha k kaise Sangharak sabhi hostages ko yaha se le gaya hai ....aahir ..uska sabko le jaane ka maksad kya hai ....kya itne dino se lagatar ..horahe apaharan k picche sangharak ka haath hai ....

police hume jaane nahi de rahi hai ...dekhiye ...yehi woh ..building hai ...jiske saatve maale se ..Sangharak ...unn sabko ..kidnap karke le gaya .....
desh janana chahta hai ...prashasan kya kar raha hai ...police kya kar rahi hai ....

tabhi ek ...aadmi daukar aata hai aur uss reporter k kaan mein kuch kaha ...
jisse sunkar woh reporter ...jor se chilla utha ....badi khabar ...badi..khabar ....abhi humare sutro se pata chala hai ...k Sangharak ne unn Aatankiyo ko maarne k liye ...mana kiya .....kya wajah hai ..k Sangharak ..unn aatankiyo ko support kar raha hai .....

Sangharak Bhakshak hai ya Rakshak yeh hai aaj ka sabse bada sawal .....aap hume 5555 par msg karke bata sakte ho ....bane rahiye sirf humare hi channel par ....

iss tarah sabhi media wale waha jute hue the .....yaha Deepu .khatre ko mehusus karke .....Nicche aagaya .....usne ...unn baccho k chehre ko dekha ..jinhe DSP ne benakab kiya tha ....unke chehre par ek vashshat bhari muskan ....aagayi thi .....Deepu jor se chillaya ...

Deepu - Hat jaayiye DSP sahab yaha se ....aur sabko bhi piche hatayiye yaha khatra hai ....

Deepu ki baat sunkar ...woh 6 bacche bhid ki taraf daude ....Deepu ..ne unko ..badi tezi se apni urja k paas mein bandh diya

Deepu - ruk jaao ....tum apne hosh mein nahi ho shant ho jaao ....

Deepu ..unki aankho mein dekhkar unhe control karne ka prayatna karne laga tha .....tab tak DSP .....bhid ko kaafi had tak picche hata chuka tha .....woh Sangharak k aaj k utpatang orders k kaaran bahut gusse mein tha .
uska usool tha k apradhi ko dekhte hi thok do ..aur aaj ...Sangharak ne usse 6 aatankiyo ko maarne se roka tha ...lekin kya kare usse upar se order the ..k sangharak k har order ka paalan ho ....

Yaha Deepu ...un 6 bacvho ko control karne ka prayatna ka raha tha ...lekin ....unka controll kahi aur tha ..Deepu ne dekha unki aankhien laal ho rahi thi ....toh usne ..unnko dur kissi nirjan sthan par lejaane k liye chalang lagayi ....lekin tab tak ..woh bhi ..Resort ki building ki taraf daude ....
.building k .enterance ..k .paas jaakar ..glass se takraye jisase woh glass tut gaya aur woh ander ki taraf gire ....Deepu bhi unke piche ...waha pahuncha ...lekin ..tab tak der ho gayi thi ..unn 6 baccho k sharir k bhiter ...bahut hi power ful bomb fit kuye hue the ....jinka control Darmen k haatho mein tha ....

Darmen apne cabin mein baitha satellite camera k jariye sab dekh raha tha .....

Darmen - Bahut ho gayi tumahari uchal kud sangharak .....alwida mere pyare dushman ....ab ..tumahri jagah mera Sangharak ...yaha ..hofa ..jo sanghar karega ....acchayi ..ka ...ha..ha...ha....

itna kahkar usne ...K controlling ..board ka ek button dabaya .....
aur yaha ...unn 6 baccho k sharir k bomb jordar dhamake k saath blast hua ..aur Resort ki woh building ..kissi taash k patto ki tarah .....kuch hi palo mein dharashati ..ho gayi ....Charo ..or dhul ka ek bada sa gubar uthne laga ......utni badi building ...k jordar dhamake ....se girne k kaaran ...waha bhag dad mach gayi ....police crowd ko control karne mein lagi hui thi ....

wahi dusri or MP rupesh Grehwal .ne..apni hi govnt k khlaf ....Bhrashachar ...aur Raajneeti mein badhte hue apradh ...k protest k liye ek bahut badi rally nikali thi ......Abhi control room se iss rally par apni poori nazar banaye hue tha .....woh Rally waha k sansad k bahar pahunchi ...bhiter sandad ..satra chalu tha ...jiska MP Rupesh ne boycott kiya hua tha .....

MP sahab ek truck par bane hue manch par chadhe ..aur mic haath mein lekar bolne lage ....

MP - mere pyare deshwasiyo ....aaj hum yaha iss sarkar ki galat nitiyo aur bhrashtachar ...k kilaf ...ikkatha hue hai .....yeh neta ..jo anadar sansad mein ...hamare hit mein baat karne ka dhong kar rahe hai .....sab k sab bhrasht hai ....hamare baccho ...k muh ka niwala chinkar yeh sab apni tijori bhar rahe hai .....

agar aisa hi chalta raha yeh aise hi dedh ko aur mahangayi k dwara hume lootare rahe ..toh ek din ...aisa aayega humare aage ki pidhiya daane daane ko mohtaj ho jaayegi ..aur ..phir apradh k raaste par chalegi ....

yeh sab tumahari barbadi ka kaaran hai ....tumahare baccho ka maas noch noch kar khane wale gidh hai ..inmein se kai .humari maa bahno ki aabroo ko tar tar karne wale hai ....kai aatank wadiyo ...ka saath dene wale hai ....jab tak yeh jinda rahenge ...tab tak ....iss desh ka bhala nahi ho sakta ....tumhara bhala nahi ho sakta ......
ab tum hi batao hume kya karna chahiye ....

Hazaro ki sankhya mein woh bhid ...chilla utha ....maar dena chahiye inn kamino ko ....

maar do maar do .....hoooooooo.......

bahar hajaro log ki aarahi maar do maar do wali aawajo ...aur shor k kaaran ....sansad bhawan k andar k sabhi neta thar thar kaanp rahe the ...unke bhagne k raaste bhi band ho gaye the .....charo taraf se ...woh bhawan hazaro ki bhid k dwara ghera jaa chuka tha .....woh log Sansad bhawan ki taraf badh rahe the .....

Sansad bhawan k Commandos aur Police team ne aur security ..sab satark ho gaye kissi bhi prakar ki parsthiti ka saamna karne k liye ....

Sandasad bhawan ...k charo taraf raaste par bade bade baricate lagaye gaye ....saare raaste seal kar diye gaye ..saari forces ....tayar thi .....

Abhi k liye itna hi ....

Agla update jald hi ......
 
Update - 76

MP Rupesh grehwal k bhadkane k kaaran ...bhid ugra hogayi thi aur sansad bhawan ..ki or badh rahi thi ....

ab aagee .....

Abhi Ne Dekha ke Kuchh Yuva.... Sansad Bhavan Ki or badh rahe the Unki Aankhen aur body language Se woh normal Nahin lag rahe the....Abhi ne apne antarman ki shaktiyo dwara ...jaan liya k ..yeh human bombs hai .....

Abhi ne apne Urja pash se unhen roka.... Darmen Apne chamber Mein Baitha Sab Kuchh dekh raha tha Usne Jab Dekha ke Abhi Ne unn yuvaon ko rok liya hai to usne Apne waha k control panel per Sthit Lal button daba Diya ....vah screen per Sansad Bhavan ka Drishya dekh raha tha button dabana per bhi Koi Dhamaka Nahin hua isase Uske Aacharya ki Seema Nahin Rahi
Abhi ne unn yuvaon ko apni urja ki tarangon mein kaid kar liya tha Jiske Karan Koi Aur tarange unn ke Sharir Tak Nahin pahunch rahi thi ....Abhi ..ne .. Kaal aur Golu ka aawhan kia, usne Kaal ko waha maujood human bombs ko dhund nikalne ka kaam saunpa .....aur Golu ko un baccho surakshit yaha se nikalne ka ....karya saunpa ..

Hazaro logo ki Bheed ne Sansad Bhavan ka Puri Tarah Se Gherav kar liya tha aur vahan ke Berrtcate hatakar Sansad Parisar Mein Pravesh karne lage the Sansad Bhavan mein tainat Commando aur security forces action Mein a Gai thi vah use Bheed ko rokane ka Har Sambhav Prayas kar rahi thi Aansu gas ke Gole.... Tej Pani ki dhara aur Lathi charge is sab Ke Karan vahan bhagdad mach gai thi .....Kayi log uss bagdad k kaaran pairo Ke Niche khucle jaa rahe the

Abhi ke Prayas karne ke baad bhi vah bhid Kabu Nahin ho rahi thi is Karan ab usne Mike Mein Logon ko sambodhit karne laga ---+ Shant Ho jaaiye ....Sabhi Shant Ho jaaiye ...Is Tarah Hungama karne se Kisi ka Kalyan Nahin hoga ......lekin vah Bheed thi ke Abhi ka Kuchh sunane Ke Liye taiyar Hi Nahin Ki...Kuch logo ne Sansad parisar mein pathrav bhi shuru kar diya tha .....

Abhi ne ab apni maya ka vistar kiya ...aakash mein bhayankar megh garjana karne lage ....tez hawaye chalne lagi ...Din k samay mein bhi andhera ho gaya ...woh megh bhayankar garjana kar the hue musaldhar .....ja barsane lage .....jiss kaaran ....logo ka woh sangharsh ruk gaya ...aur ..sabhi apne pran bachane k liye waha se bhagne lage ...dhere dhere woh bhid bhi waha se chatne lagi ......

Abhi Ka dhayan ab MP ...par gaya ..jiske bhadkau bhashan k kaaran yeh paristhiti utpanna ho gayi thi ..... Usne waha MP sahab ko dhunda lekin woh toh waha se kab ka jaa chuka tha ....

Abhi ko samajh Nahin a raha tha ki Achanak MP sahab yeh kya ho gaya tha..... vah To Kabhi Aise Nahin the MP Rupesh.... Hamesha logo ki bhalai ke liye Karya Karte the .....hinsa se hamesha Dur Rahane wale MP Rupesh ..Aaj Khud Hi Logon Ko hinsa ke liye bhadka rahe the ...isska sidha arth yeh tha ismein Jarur Darmen ka hi Hath hai ....ho sakta hai usne MP Rupesh ko sammohit Karke Apne Vash Mein Kar Liya Ho...

Abhi waha ki sthiti ..Niyantrit karke ....MP Rupesh k niwas sthan par pahuncha ....yeh ek Anath aashram tha ..jo ....MP ..sahab ...dwara hi sanchalit tha ....issi aashram k ek sadharan se kaksh mein MP sahab rahte the ......Abhi jab bhi yaha aata tha ....waha ki sakartmak urja ka anubhav karke ..uska ..mann prasanna ho jaata tha .....

lekin aaj usse yaha ..bahut maatra mein negetive energy mehsus hui ....woh MP sahab k kaksh ki or badha ....k ...kuch gaurds ne usse rok liya ....yeh bhi uske liye naya tha ..kyu k ...usse aaj tak kabhi MP sahab se milne k liye roka nahi gaya tha .....gaurds k rokne par .....Abhi waha se hat gaya ....aur sidha teleport hokar ....MP k room mein pahuncha .....

Room mein MP Rupesh aur ..Abhi ka business Rival ..Jugal ....dono kissi bat par charcha kar rahe the ......Abhi ko achanak aaya dekhkar ...

MP - tum yaha kaise aaye ..bahar Gaurds ne tumhe bataya nahi k mein tumse iss samay milna nahi chahta ....phir bhi meri permisdion k bina yaha aagaye ....

Abhi - MP sahab shayad aap bhul gaye ho k kiss se baat kar rahe ho ...aap jaante ho k muzhe kissi se bhi milne k liye koi permission ki jarurat nahi hai ....

Jugal - arre bhai sahab hum jaante hai ...ismein naraz hone wali kya baat hai ..aayieye ....aap bhi ..woh toh muzhe inse kuch private baat karni thi issiliye ...nahi toh ...aapko rokne ki ...gustakhi hum kaise kar sakte hai ....meri baat ho gayi hai ...aap baithiye mein ab chalta hu ....

Itna kahkar ...Jugal Jane laga toh Abhi ne uska haath pakad liya ....

Abhi - arre aap kaha chal diye ....jara humare saath bhi baithiye ....

itna kahkar Abhi ne jugal ki aankhe padhne ki koshsh ki ...uske .. iss tarah haath pakadne se ....Jugal ki aankhon mein bhay saaf nazar aaraha tha ....

Abhi ..Jugal ko lekar ...MP k saamne baith gaya ...aur ....uski aankhon mein zhankne laga ....usse kahi se aisa nahi lag raha tha ..k MP ko kissi ne sammohit kiya ho ...

MP - kahiye kaise aana hua ....

Abhi - itna kuch hone k baad bhi ..kuch bacha hai batane k liye ....

MP - dekhiye Abhi sabah ...yeh sab rajneeti ki baatein hai ..aap ismein na hi aaye toh behtar hai ...

Abhi - apne kaale karname ko raajneeti ka rang dene ki koshish na kare MP sahab ....aap muzhe jaante ho ...aapke kaaran uss bhagdad mein kitne log maare jaa chuke hai aur kitne hi hospital pahunch gaye hai ...iss sab ka jimmedar kaun hai .....

MP - yadi aapko aisa lagta hai ...k iss sabka jimmedar mein hu toh jaayiye ...aur complaint kijiye ..jo bhi kaanuni karwayi hogi woh mein dekh lunga ....ab aap jaa sakte hai ....

Abhi - thik mein toh abhi chalta hu ..lekin dhyan rahe ..aapne jo raasta chuna hai woh vinash ki or jaata hai .....

Yaha Deepu iss baat se dukhi tha k woh chahkar bhi ...unn 6 bacvho ko nahi bacha paaya ..jinhe Darmen ne human bomb bana diya tha ....Sthiti ab aur vikat thi pata nahi usne kitne bachho ko aise hi human bomb banaya hoga ...

sham tak usse apni team k jariye do aur jagah k aadress code mile jaha sandigda gatvidiya ho rahi thi .....unn dono jagah par usse Hathiyaro k bahut bada jakhira baramad hua ...jo usne Raw chief se baat karke ....unke hawale kar diya ....gahr pahunchte pahunchte usse raat ho gayi thi ....

Ghar pahunchte k baad ...Deepu apne kash mein pahuncha ..uski aankhon k aage bar bar ..unn ..baccho ka chehra nazar aaraha tha ...jinhe ..Darmen ne human bomb mein badal diya tha ....
Deepu aankhien band karke aaj k ghate ghatnakram k baaree mein chintan kar raha tha ...tabhi usse apne sar par kissi ka haath mehsus hua ....usne aankhien kholka ..saamne dekha ...uski maa Rimpy ...bade pyar se uske paas baitkar ..uska sar sahla rahi thi ...

Deepu - maa aap ..kab aayi ...muzhe toh pata hi nahi chala ....

Rimpy - jab tu ...apne man mein chal rahe dwand mein ulzha hua ..tha ....bete tum ek yodha ho tumhe apne bhawnao k bhawar se ubarna hoga ...yeh bhawnaye hi ek yodha ko kamjor banati hai ....

Deepu ki aankhon mein aansoo aajaate hai ....

Deepu - kaise ubru maa bhawnao se mein unn baccho ko bacha nahi paaya ....meri aankhon k saamne ...maine unke sharir k chithde udte dekhe ....kya milta hai maa ...unn bure logo ko ...aise .begunah logo ka rakht bahakar ....

Rimpy apne bacche k hriday ki pida khub samazti thi ....usne Deepu k apni godi mein liya ..

Rimpy - beta yeh toh tumahare sangharsh poorna jeewan ki shuruwat hai ...aise jeewan mein aur bhi kai awsar aayenge .....tumhe apne mann ko shant rakhna hoga ...apni shaktiyao ko pehchanana hoga ...shant mann hi tumhe har pareshani se nikalne ka marg batayega ....
baaki jeewan aur mrityu toh purva nirdharit hoti hai ..tumhe ..ek karmyogi ki bhati ...apne karm path par aage badhna hoga ....

Kuch der Maa bete mein aise hi baatien chalti rahi ....apni maa ki mamta bhari goad mein Deepu ko gahri nind aagayi ....gahri need mein usse kissi ki aawaj sunayi dene lagi ....usne aankh kholka dekha toh saamne Neetu thi ....

Neetu - kya bhai mein kabse aapko ...aawaj de rahi hu ...aap ho hi uth hi nahi rahe the .....

Deepu - Neetu ko apne goad mein lete hue ....sorry gudiya ...woh mein gahri nernd mein tha ...accha ab batao kyu aawaj de rahi thi ....

Neetu - Niche mom bula rahi hai dinner k liye ..aaj aap ..bina kgana khaye hi so gaye ...aapki tabiyat toh thik hai na .....

Deepu - mein bilkul thik hu ....gudiya ....bas aise hi aankh lag gayi thi ....chalo ...ab chalte hai ...muzhe bhi bahut bhook lagi hai ....

Deepu aur Neetu dinning room pahunch gaye ....waha Rimpy aur naukaro k siwa aur koi nahi tha ...
Deepu - maa ...Dad kaha hai ....aur teeno badi maa bhi kahi dikhayi nahi de rahi hai .....

Rimpy - beta woh abhi basement mein kissi kaam mein busy hai tum khanna khao woh aajaayenge .....

yaha basement mein ....Abhi ....Shivali ki madat se un sabhi baccho k sharir se bomb nikal chuka tha ....jinhe woh sandan parisar se apni urja mein bandkar laaya tha .....bomb nikalne k baad unke ghavo ko heal kar diya gaya tha .....

Vibhakta unki khoyi hui smritiyo ..ko laane ka kaam kar rahi thi ....woh raat bit gayi ...ab naye sangharsh lekar ek naya savera aaya ....

Brahma muhurat mein apne samay par uthkar Deepu apne nityakarm nipyakar Dhyan mein baitha ....dhyan k baad usne telepathy k jariye ....apne bhaiyo se baat ki ....jo ..Darmen ko gherne k liye uske plan par kaam kar rahe the .....unse prapt jaankari ....k anusar unse ..Shivom aur Krish ko aage ka plan samzha diya .....

Shivom aur Krish ..se prapt jankari ...k kaaran ..ab usmein ek naye utsah bhar gaya ....usse poora viswash ho gaya k ab Darmen usase jyada dur nahi ....

aaj usse bahut se kaam karne the ....issiliye usne Kirti ko ph karke ....aaj college na aane ki baat bata di ....naye utsaha k saath woh niche ...pahuncha ....Niche Abhi ..apni chato patniyo aur golu k saath hall mein baitha ....kissi baat par charcha ka raha tha .....Deepu ne waha jaakar sabko GM ..wish kiya .....

Deepu ...Abhi ko apne bhaiyo dwara prapt jankari dena chahta tha ....abhi woh kuch bolta ..uske pahele hi ..Abhi ka ph baja ....call uske security officer ka tha jo gate ...par ...appoint tha ....

call par Abhi ne jo baatein suni usase uske maathe par chinta ki lakire saaf dekhi jaa sakti thi ......

Shivali - kya baat hai kiska call hai ...

Abhi - tum sab shant rahna ....Deepu tum jaldi se apne Room mein jaao ....

Deepu - kya baat hai dad .....kya hua ...

Abhi - tumhe jitna kah raha hu utna karo .....

Deepu Abhi ki baat maankar apne room mein chala gaya ....usse lag raha tha k kuch toh gadbad hai .....

tabhi DSP Dushyant apni team lekar ...dhadate hue ..ander aaya ....

Abhi - Kya baat hai DSP sahab aaj subah subah ...apne law lashkar k saath yaha ....sab thik toh hai na ....

DSP - Baat hi kuch aisi hai sir ......hum toh kanun se badhe hai ....aapke sahabjade kaha hai ....

Abhi - kyu kya hua ..aisa kya kiya hai usne jo tum poori fauj lekar aaye ho ...

DSP - kyu aapke security officer ne kuch nahi bataya ....hum aapke sahabjado ko giraftar karne aaye hai .....

Abhi - aahkir kiya kya hai unhone ....

DSP - muzhe afosos horaha hai yeh batate hue ....k aap jaise ..acche insan k ghar aise shaitan paida hue hai ...jinhone do hasti khelti maasum jindagi ko ..barbad jar diya hai ....unhone ..aisa ghinuna kaam kiya hai ...k muzhe batate hue bhi sharam aarahi hai ....

Rimpy - Aakhir batate kyu nahi ho kya kiya hai mere bacche ne ....kiski jindagi barbad ki hai ...

DSP - rape kiya hai unhone ...Charo ne milkar ...do ..maasum ladkiyo ka balatkar kiya hai ...un dono k liaj chal raha hai .....

Shivali - krodh mein bharkar ....jaban sambhalkar DSP ....warna tum aur tumahare yeh saathi ek bhi jinda nahi bachega ....tum jaante ho na kaha khade ho ....

Shivali ki baat sunkar DSP tharra gaya ..usse Shivali ki aankhon mein maut dikhayi dene lagi ....

Abhi - maine pahele hi kaha tha na ...k tum sab shant rahna ....shant ho jaao Shivali ....

Shivali - kaise shant ho jaau yeh dekho humare baccho k baare mein kya bol rahe hai ...tum kuch bolte kyu nahi ....

DSP - bhabhi ji muzhe bhi dukh hai ...lekin un ladkiyo k bayan k kaaran hume aapke bete ko giraftar karna hi hoga .....

Abhi ne Shivali ko shant kiya .....DSP k kahne par ...uski team Deepu k room ki taraf badhi ...unhe Deepu wahi sidhiyo par khada mila ....Deepu ko hathkadiya pahnayi gayi .....

Abhi ne apni patniyo ko sambhala ....Neetu ka bhi ro rokar bura haal tha ...Golu usse sambhale hue tha .....

DSP aur uski team Deepu ko giraftar karke le gayi ....

Media mein bhi yeh baat aaj ki headline ban gayi ..k mashur Industralist aur samaj sevak ...k ...baccho ne ki darindagi .....ek giraftar baaki char farar ...

Abhi k liye itna hi ....

Agla Update Jald hi .....
 
Update - 77

Deepu k giraftar hone ki khabar ...media k dwara ...Abhi k sabhi rishtedaro tak pahunch gayi thi ...baar baar ...unke ph aarahe the .....
koi Abhi ki parwarish par sawal utha rahe the ....toh kissi ko ..Deepu k begunah hone ka poora vishwas tha .....

Deepu k college na jaane k kaaran Kirti bhi ghar par hi thi ..usne bhi news mein jab dekha ..toh usse pahele toh vishwas hi nahi hua ..socha k yeh kissi or Deep k baare mein bata rahe hai ...Lekin ja Deepu ki thane pahunchne ki live video chalne lagi ....aur uski photo bhi dikhayi jaane lagi ...Atoh Kirti ka to ro kar bura haal ho gaya ....Kirti ko aisa rota hua dekhkar Rinku aur Lima bhi bahut pareshan ho gaye ....

Lima apne beti ko sambhalne lagi ...aurRinku ne Abhi ko call lagayi ...

Rinku - yeh sab kya hai yaar ...
tere rahte hue woh Deepu ko giraftar karke kaise le gaye ....
aur yeh kya dikha rahe hai baaki ...teen farar ...Aakhir woh teeno apne bhai ko aise musibat mein dalkar kaise jaa sakte hai ...aakhir yeh sab kya chal raha hai ..kaun kar raha hai yeh sab ...

Abhi - pahele toh tu shant ho jaa ......kabhi kabhi dushman ko saamne laane k liye uski chal k hisab se chalna padta hai ...
taaki ..usse lage ..k hum uski chal mein fas gaye hai ....aur aise usse lagte hi woh khulkar saamne aayega ....

Rinku - ab yeh kuan naya dushman aagaya hai ....aur woh kyu tere piche pada hai ...

Abhi ne tab usse Darmen k baare mein sab bata diya ......

Riku - uska matalb hai ...k kabra se nikalkar ...yeh shautan tere piche naha dhokar pada hua hai ....lekin isase jo teri aur teri family ki image par daag lag rahe hai woh ...

Abhi - woh bhi jald hi dul jaayenge ...

Rinku - bhai bahut saal ho gaye hai lade hue ...apni iss ladai mein hume bhi koi sewa ka awsar de ..de

Abhi - thik hai tu iss Jugal ki pichle teen mahine ki saari information nikal ..uske saare adde ..farmhouse ..sabke baare mein pata kar ...aur apne aadmiyo ko ..sab jagah par nazar rakhne k liye laga de . ..iss kaam mein Golu bhi teri madad karega ....

Rinku - Waise toh yeh kaam mein akela hi sambhal sakta hu ...lekin jab Golu ko bhi tu ismein involve kar raha hai ..toh iss mein jarur kuch khas baat hogi ...now ..its time for action ...
thik hai bye ...mein abhi se apne kaam mein lag jaata hu ...aur haa neri bhabhiyo ka dhyan rakhna ...bye .....

Itna kahkar Rinku call cut kar deta hai ...uski baato se Lima aur ..Ritika ko bhi kuch kuch andaja ho gaya tha .....Ritika ab tak sambhal chuki thi ....lekin uski aankhien laal ho gayi thi shayad rone k wajah se ho gayi ho ...Rinku logo ko dikhane k liye ...ek security agency chalata tha ...lekin ..asal mein ..woh RAW ka ek secret agent tha ....

Abhi se baat karne k baad ...usne ....Apne ...hackers k dwara ..Jugal ka account aur laptop hack kar liya tha ...usase uski kai chupe hui properties k baare mein pata chala ....Rinku ne apne logo ko ...har jagah nigrani karne ..k liye ....laga ..diya ....

uske accounts aur chats se usse kai chaukane wali jaankari mili ...
yaha Rinku apna kaam kar raha tha .....wahi dusri or Abhi k ghar uske rishtedaro aur dosto k aane ka taanta laga hua tha .....RVS aur Naina bhi apne pote k baare mein sunkar ..bahut pareshan hue ..lekin Abhi ne ph karke unhe ..kuch aisi baatein batayi ....jisase unki chinta dur ho gayi .....

Abhi ki patniya bhi ..ab tak bahut kuch samaz chuki thi issiliye woh bhi aashwastha yhi ..Lekin choti Neetu ko kaun samzhaye ....usse toh apna bhai chahiye tha ...uska ro rokar bura haal tha ...Vibhakta ne apni ...mansik shakti se uske man ko thoda shant karke ...sula diya tha ....

udhar thane k lock up mein Deepu band tha ..aur ek kone mein chup chap baitha hua tha ....aaj thane mein baaki dino se jyada alertness aur chahal pahel thi kyu ki aaj DSP sahab subah se khud taha maujood the ....DSP ko poora yakeen tha ...k Abhi apne laadle ki jamanat karane jarur aayega ....lekin ....usse aascharya tha ...k lunch time hone ko aaraha tha aur ...jamanat toh dur ..Abhi ya uske ghar se ....koi milne k liye bhi nahi aaya ....usne ek nazar Lock up mein dali phir kuch sochkar .....lock up k paas gaya ...aur waha ..pahere par ..khade ..gawaldaro ko hata diya ....apna rool lock up ki lihe ki salakho par thokte hue ...

DSP - kya baat hai ..sahabjade ....lagta hai ...tere ghar walo ne bhi tera saath chod diya hai ....tu sach mein unhi ki aulad hai ...yaa ...kissi ...hara....

Deepu - apni juban ko lagam do DSP aage ....ek lafj bhi mat..bolna ..

DSP -oohhoo toh gussa aaraha hai laat sahab ko .....tera chehra dekhkar toh nahi lagta k tune kuch aisa kuya ho ....issiliye mein khud yaha tere baap ..k intejar mein ab tak baitha hu ...k ..kab woh teri jamanat lekar aaye ...lekin jamanat toh dur ...tuzhse toh na koi ab tak milne hi aaya hai ..aur kissi ka ek ph bhi .....lagta ..hai tere apno ko hi tuzhpar yakeen nahi hai ....

Deepu - DSP sahab aap se jyada mein apne ghar walo ko jaanta hu ...aapko iss baare mein baat ..karne ki koi jarurat nahi hai .....

DSP - mein toh tumahari madat karna chahta hu ....( apni jeb se ek chabi phenkte hue )
yeh lo raat chabi ...raat ko dinner time mein ...thodi der k liye ..mein yaha se gaurds hata dunga ..aur light cut kar dunga ...utni der mein tum taha se nikalkar bhag jaana ....

Deepu chabi ...wapas DSP ki taraf phenkte hue ....

Deepu - aspki uss madat k liye bahut bahut dhnyawad DSP sahab ...lekin nuzhe iski jarurat nahi hai ......

DSP kuch aur bolta ....k uske pahele ..hi uska ph baja ....udhar se jo baatein usne suni usse sunkar DSP k chehre par ek muskurahat aagayi ....
aur woh bina kuch bole waha se nikal gaya .....

Yaha ek bade se haal mein Jugal ne ek press conference rakhi thi ....sabhi media wale samay se pahele hi pahunch gaye the ...sabhi ko msg mila tha ...k yaha unhe bahut hi sansani khej news milne wali hai ....aisi news k ..jusmein poire samaz mein khal bali mach jaayegi .....tabhi kuch gaurds k saath hall mein ..MP rupesh aur Jugal ki entry hoti hai ....

Dono ko dekhkar sabhi media wale khade ho jaate hai ...unmein aur khalbali mach jaati hai k aisi kaunsi news hai k juske liye khud ...itne bade industrialist Jugal aur MP sahab khud aaye hue hai .

Jugal ne khud mic sambhali ...

Jugal - ladies & gentlemen aap sabhi toh pahele shant hokar baith jaaieye ...
( sabhi k baith jaane k baad ) haa toh aap sabhi soch rahe honge k aisi kya khas baat hai ...k aap sabko yaha bulaya gaya hai .....toh baat hi kuch aisi fambhir hai ..vaat hai hum sabki suraksha ki humare baccho ki suraksha ki ....

Aap sab toh ..Sangharak naam se bhali bhanti wakif hai hi ....jo apni super powers ki wajah se bahut mashur hai ....woh hum sab ki nazar mein ek Rakshak hai ....usne apradh aur apradiyo ko khatan karne k naam par kitni hatyaye ki ....lekin hum sab chup rahe kyu ki hume laga woh samaj ki gandagi ko saaf kar raha hai .....lekin bhaiyo baat aisi nahi hai .....haisi hume ab tak dikhayi jaa rahi thi ...aur iss baat ka saboot ..kal ...k resort wale wakiya se hume mil chuka hai ...
pahele toh muzhe bhi yakeen nahi hua ....lekin ...hab Raw k naye Agent Devil se milkne k vaad saari sthiti saaf ho gayi ....

Agent Devil ka naam sunte hi khusur fusur shuru ho gayi k aakhir kaun hai yeh Agent Devil ..aaj se pahele toh kabhi iska naam nahi suna .....

Jugal - sabhi shant ho jaayiye ....Agent Devil Raw ka ji ek agent hsi ...kal ki ghatna k baad Raw ne ..apne iss Agent ko Baccho ki ho rahi kidnapping ka case saunpa toh ...ek hi ...dun mein ..iss jaavaaj agent ne ...kuch bachho ko dhund nikala .....aur ohir jo jaankari milli hai .. woh sach mein shocking hai .....toh miliye Agent Devil se ...aage ki baat woh hi batayenge ....

utna kahkar Jugal ne ek taraf haath kiya toh sabka dhyan uss taraf hua .....waha ..kaale kapde aur kaale nakab mein ..ek nakaposh ki entry hoti hai ...uske saath 10 k lagbhag yuva bhi the ....

Woh NP jo apne aapko Devil batata tha bola ..

Devil - Ladies & gentlemen my self Devil ...main bhi Sangharak ki hi tarah ek agent hu ....woh mere liye ek prerna srot tha ussi k kaaran mein agent bana ....Lekin jab muzhe kidnapped kiye hue baccho ...ka case mila ...toh uss tak pahuncte pahunchte ..hime kuch aise saboot mile k ...pichle teen mahine se gayab horahe ..yuvao ...k picche .kissi aur ka nahi Sangharak ka haath hai ....

Jusse hum rakshak samazte the woh ek rakshak nikala ....abhi toh mein bas ppichle mahine gayab hue ..inn 10 baccho tak pahunch paaya hu ...aur muzhe poora vishwas ..jald se jald hum sabhi baccho tak pahunch jaayenge .....

ek reporter - aap yeh baat iss yakeen se kaise kah sakte hai kya aspke paas koi saboot hai ....

Devil - good question ...aap iss baare mein inhini baccho se puchiye toh behter hoga ...kyu ki yeh sab gawah hai uss sangharak k julmo k ....

inn baccho ne Sangharak ka asli chehra dekha hai ...aur inke vataye ansar jo skecth hume tatar kiya .....jaante ho woh kiska hai ....lo aap khud hi dekh lo ...aur waha lagi ek screen par ek sketch ubhara ....

Sabhi Reporters k dhyan uss sketch ko dekhkar ek naam aaya Thakur Abhinav Singh ..Yani k Abhi .....tabhi DSP dushyant ki bhi apni team k saath entry hoti hai ....

woh saare baccho ki custody DSP ko saunp di jaati hai ....aur dekhte hi dekhte yeh kgabar aag ki tarah failne lagi thi....

Yaha Abhi ko bhi Raw chief ka ph aaya tha ....Jab usne Devil k baare mein pucha k usse kab appoint kiya gaya tha ...toh Chief ne kuch bhi batane se inkaar kiya .....Abhi ne kaha bhi kaise kissi ki gawahik kaaran uske ab tak k kiye hue kaamo ko najar andaj kiya jaa saktavhai ...lekin ...Chief kuch bhi sunane k liye tayar nahi tha ....

yaha ..Subah se hi pahele Deepu ka mamla Media hi head line bana hua tha ...aur ab toh ..Abhi ...bhi ...news mein shamil ho gaya ...gar channel par ek hi news thi ...

kya sach mein Thakur Abhinav Singh aur Sangharak ek hi hai ....Kya Raw k naye agent Devil ne jo baatein kahi ...woh sach hai ....Jiss Thakur pariwar ko hum barso se ...aadar aur samman k bhav se dekhte the ....aaj unka sach saamne aagaya......waigera waigera ....

MP rupesh ne Abhi k ghar par dhava bolne k liye pahele hi rally tayar kar rakhi thi ....press conference hone k baad ...woh ..apni rally lekar . Abhi ki ghar ki taraf badhne llaga ...jaise jaise yeh news phailne lagi ..uss rally mein aur log jude gaye ..Thakur Abhinav Singh ...ek bahut bada naam tha ....jiski pahunch ..PM aur President tak thi ...uspar aise hi bina kissi thos sabut k ....haath nahi daala jaa sakta tha ...yeh baat DSP jaanta tha issiliye woh Aur saboot ikatthe karne laga ...lekin unn baccho ki gawahii ..k alawa ...aur koi thos saboot nahi tha ....

Yaha MP ka kafila Abhi k ghar tak pahunch gaya tha .....Itne saari logo ki bhid ..badhti hui dekhkar Waha ki security team alert hogayi ...aur gate ko gher liya .....bahar uthne wale han sailab ka shor sunkar ..Abhi ...bahar ki or ...nikla ....yaha MP k bhadjau bhashan ne logo k gusse mein aag mein ghee dalne ka kaam kuya tha Bhid ugra ho gayi thi .....

Tabhi bhid k bich se ....petrol bomb aur .....bade bade pather ..Security team ki taraf aane lage ....

Yaha ...hospital mein woh do ladkiya jinke saath balaatkar hua tha woh dono ek hi room mein rakhi gayi thi ....bahar police ka kada pahra tha .....andar ....Do doctors ..white coat aur ...aur mask mein ...un do ladkiyo ko attend kar rahe the ....woh dono unn ladkiyo ko koi injection laga rahe the ....tabhi ..waha ..ek Nakabposh ladki ...waha par talwar lekar aayi ....woh ...do doctor ..achanak pragat uss Nakabposh ladki ko ...dekh hi rahe the ..k woh ek ladki k bed ki taraf badhi ...uss ladki ko attend karne wale Doctor ne jab dekha toh ...woh uss NP ladki ko rokne k liye uske aage aagaya ....

NP Ladki - hat jaao doctor ...mere saamne se ..mein nahi chahti ..k logo ko jeewan dene wala meri talwar ki bhent chad jaaye .....

kaun hai yeh NP ladki ...any guess .guys .....

Abhi k liye itna hi ......
Agla update jald hi ......
 
Update - 78

NP Ladki - hat jaao doctor ...mere saamne se ..mein nahi chahti ..k logo ko jeewan dene wala meri talwar ki bhent chad jaaye .....

ab aagee....

uss NP ladki k kahne par bhi woh doctor wahi khada raha ...jis kaaran uska krodh aur badh gaya...

NP Ladki - tumne suna nahi maine kya kaha ..hat jaao yaha se ...
itna kahkar woh docter ko dhakka dekar ....uss ladki ki taraf badhi tabhi uss doctor ne bhi us NP ladki ka haath pakadkar khinch liya ....

NP ladki - tum aise nahi manoge ...itna kahkar ...uss NP ladki ne Doctor par apni urja se vaar kiya ....lekin woh doctor apni jagah se tas se mas nahi hua ....usne iss ladki ka haath pakde rakha ....apni urja k vaar ka doctor par kuch asar na hote dekhkar ..usske ascharya ki koi seema nahi rahi .....

Uss ladki ko urja ka vaar karte hue dekhkar ..dusra doctor ..aage badha hi tha ..k ..uss doctor ne apni aankhon k ishare se ...usse mana kar diya .....

itni der mein uss ladki ne ek side kick uss doctor ki pasliyo mein maari ...jisase uski pakad dheeli ho gayi ....aur uss ladki ne apna haath chuda liya ....woh NP ladki .bed par pade hue ladki ki taraf badhi hi thi ...uss doctor ne ab badi tezi se pakad liya ....aur uss ladki k talwar wala haath pakad liya ....

Doctor - aakhir tum kaun ho aur ..inn ladkiyo k picche padi ho ...jara hum bhi toh dekhe iss nakab k piche kaun hai ....
itna kahte hue uss doctor ne uss ladki ka nakab hata diya ...nakab hatate hi uski aankhien ascharya se phail gayi ...kyu ki yeh koi aur nahi Kirti thi ....Uss doctor ne Kirti k haath ko zhayka diya ..aur ..apne se sata liya ....

Ladki - yeh kya behudgi hai chodo muzhe ..nahi toh tumhe jaan se maar dungi ...

Doctor - Jaan toh hum pahele hi tumhe de chuke hai ....itna kahkar uss doctor ne apne chehre se ..mask aur ..aankhon se chasma hataya ....yeh tha Deepu ...

Deepu ko dekhkar Kirti usase lipat gayi ..uski aankhon se aansoo bah rahe the ....

Kirti ko Rinku ne khud har tarah ki fighting skill mein trained kiya tha ....jab Rinku ne uski pratibha dekhi ....aur Deepu k liye uska prem dekha ....toh usne apni shaktiya ..Kirti ko de di thi ...woh jaanta tha k Deepu sangharak banane wala hai ....toh aise mein Yadi Kirti k paas bhi dhaktiya ho toh woh uski sahayak ban sakti hai ...

Wahi dusri taraf Abhi ne jab Deepu ko room mein bheja ...tab Deepu ne telepathy k jariye ..Abhi se baat ki ...toh usse unke virudh kiye jaarahe shadyantra k baare mein pata chala ..usne ...Abhi ko woh saari baatein bhi bata di jo usse Shivom aur Virat ne batayi ..aur saath hi apni yojna k baare mein bhi ...

Abhi apne baccho par apni drishti banaye hue tha ..issilye woh iss baare mein sab kuch jaanta tha ....Uske jasus har department mein the issiliye ...woh ..pahele hi jaan chuka tha ...k DSP ..Deepu ko giraftar karne aaraha hai ....Abhi ne apni maya se Deepu ka pratirup banaya aur DSP usse hi apne saath le gaya ....asli Deepu ...toh apne kaam mein lag gaya tha ...

Iss baat ko Abhi ne apni patniyo ko bata diya ..jisase woh Deepu k giraftar hone k baad bhi shant rahi .....Neetu k baar baar Deepu ko pukarte hue rone k kaaran ..yeh rahashya Neetu par bhi ujagar karna pada ....Neetu bhi apne bhai ko dekhkar bahut khush hui ....

Virat lab mein pakde gaye doctor ki madat se uss drug ka antidote bana chuka tha jiska prayog Darmen aur uske saathi kar rahe the ....Deepu ..jaanta tha ...k jin do ladkiyo k rape case mein unhe fasane ...ki sazish rachi jaa rahi hai ....unhe bhi jarur drug diya gaya hoga ...ya dara dhamkakar unka bayaan liya hoga ...issi baat ko janane k liye ..Deepu aur Virat yaha doctor k bhesh mein aaye ....Virat ne apne mind power se pata lagne ki koshish ki toh pata chala k ..unhe .bhi drug dekar ..pahele unke saath dushkarm kiya gaya hai aur phir baad mein unke dimag mein yeh baat bithayi gayi ..k yeh sab Deepu aur uske bhaiyo ne kiya hai ....Deepu aur ..Virat ..unn dono ko antidote de hi rahe the k ussi samay ....Kirti waha ...NP ..roop mein aagayi ...

yaha Deepu aur Kirti dono nakab mein the ......dono aamne saamne hone par .dono ka mann ek dusre ki or aakarshit ho raha tha ..iska kaaran dono nahi jaan paa rahe the ...kyuki ek toh dono ek dusre ki shakti se anjan the aur dusre Kirti toh yahi samaz rahi thi k Deepu ...police custody mein hai aur ....aur uski shakti dekhkar Deepu bhi andaja nahi laga paaya k yeh kirti hai ...lekin dono k dil pehchan gaye the ...issiliye ..dono ..ne ek dusre par apni poori shakti se vaar nahi kiya .

Deepu - Kirti tum yaha iss tarah aur yeh shaktiya ...yeh sab kya hai ...

Kirti - uske pith par halka sa mukka maarte hue .....woh sab chodo ..pahele yeh batao ..k tum toh lock up mein the yaha kaise ..aur tumahare paas bhi toh shaktiya hai ...kaise ...

Deepu - sab bata dunga lekin tum batao tum yaha inn ladkiyo ko maarne kyu aayi thi ...

Kirti - mein inhe maarne nahi ..inhe apne saath lejaakar inse sach ugalwane k liye aayi thi ....inhone kiske kahne par ..tumahare khilaf zhuthi gawahi di ....kyu ki mein jaanti hu tum kabhicaisa ghinauna kaam nahi kar sakte .....

Deepu - itna vishwas hai muzhpar ....

Kirti - aur kaske Deepu ko apne baahon mein bhar leti hai ...haa apni jaan se bhi jyada ....

Virat khada yeh sab dekh raha tha ....

Virat - arre oo ...laila majnu yeh koi ..Romance ki jagah nahi hai ..jaldi se niklo yaha se nahi toh koi aajayega ...toh gadbad hogi ....

Deepu aur Kirti ne uski taraf ghurke dekha ...aur alag ho gaye .....aur teeno ...unn dono behosh ladkiyo ko lekar ...Abhi k ghar k base ment mein pahunch gaye ....

Yaha ...jab ...petrol bomb aur patther ..Abhi k ghar ki security team par ...barsne hi wale the ..k ek shield se takrakar ....woh bekar hogaye ....Abhi apne Security gaurds k aage aachuka tha ....

uss bhid ki agwayi kar rahe MP ko dekhkar ...

Abhi - aakhir tum apni karni se baaj nahi aaoge MP ....lekin ab aur nahi ....

Abhi ko dekhkar woh logo ki bhid aur shor machane lagi ....tabhi ...MP k ishare se ...Bhid mein se ...kissi ne ..hand granade ..Abhi par phenka ...lekin woh uss tak pahunchta ...uske pahele ...hi ...woh ..bich mein ruk gaya ...aur aakash mein upar ki or uchala aur nasht ho gaya .....

MP - dekha bhaiyo ....Devil ki baat sach nikli ....isske paas magical power hai isase yeh sidh hota hai ..k yehi hi Sangharak k roop mein him sabko acchayi ka dhong karke ..chalta aaya hai ....Maaro isse ....

Tabhi aakash se ek tej aawaj gunji ....Ruk jaao sab log ....

uss aawaj ne sabka dhyan aakarshit kiya sabne upar dekha ..toh waha ....aakash mein ek ..tez ..prakash ...punj ..k bich ..bich ..unhe Sangharak nazar aaya ....jo ..wastavik roop mein Abhi tha ..Jo Abhi ghar par tha woh tha A1 ....Nakli deepu ki giraftari k baad ...Abhi ...ne A1 ko ghar par choda ..aur khud ..Darmen ko gherne k kaam mein lag gaya tha ....

ab chalte hai uss ek din pahele k uss ghatna par ...Jab ..Abhi ..Deepu aur sabko ..uss secret lab mein pakde gaye asur k dwara Darmen aur uske irado k baare mein pata chala tha ....Dusre din jaha Abhi control room mein baithkar poore shahar par nazar rakh raha tha ...wahi ...Shivom aur Krish bhi ...tourist place par apni nazar banaye hue the ....aur Virat uss pakde gaye Doctor k saath drug ka antidode banane k karya mein lag gaya ...

Shivom aur Krish ne jab kuch nakab posh ko ek resort mein ghuste hue dekha toh woh dono bhi ussi resort mein pahunch gaye .....tabhi unn 6 nakabposho ne waha sabko bandhak banaya usmein Shivom aur Krish bhi the ..woh chahte toh unko rok sakte the ..lekin woh dekhna chahte the ...aakhir yeh kaun hai aur inka maksad kya hai

Shivom aur Krish abhi soch hi rahe the k Devil Sangharak k roop mein waha aaya ....jisse dono ne Deepu hi samzha ....issiliye ...dono ne Deepu se mansik sampark kiya ...tab tak Derpu ko uske gadget par waha ka code bhi mil chuka tha .....jab usse ..Shivom ka mansik sandesh mila ..toh usne bataya k woh jald hi pahunchne wala hai ...

ab Shivom aur Krish jaan chuke the k yeh jo sangharak k roop mein saamne hai woh Deepu nahi koi aur hai ....woh dono chup baithe rahe kyuki woh iss khel k tah tak pahunchna chahte the ....

uske baad waha kya hua woh toh aap sab jaante hi hai ....Devil ..unn sab bandhako ko lekar ..secret adde par pahuncha ....waha aur bhi kai log the ..jinhe jagah jagah se bandhak banakar laaya gaya tha ....

Unn sabke dwara drug ki lab aur godown nastht hone k kaaran .....kissi gupt lab mein phir se uss drug ka nirman chalu ho gaya tha ....jsase ....pakde gaye sabhi logo ..ko ..Vash mein karke tabahi phailayi jaaye ...

Yaha pahunchne k baad Shivom ne Deepu ko mansik sandesh dekar sab bata diya ....
Deepu ne abhi unhe waha ki har gatvidhiyo par nazar banaye rakhne k liye kaha ...kyu ki waha abhi kewal kuch gine chune hi gatiyar band gunde the jinhe woh chutkiyo mein masal sakte the unhe intejar tha ..badi machli ka ....

Dusri taraf Abhi ko Rinku k dwara pata chala ...k ..pichle do mahine se jugal ki poori family ka koi pata nahi ....in do mahino mein usne shahar k bahar ...k..kai ..farmhouse aur bungalows kharide ..unn properties k owners ya toh apni property Jugal ko bech kar waha se chale gaye ya toh un sabki kissi rahasya mayi tarike se maut ho gayi ....

Shahar se bahar uske kuch bunglows mein ...kuch gatvidhiya chal rahi hai ...ek bunglow par ....Ek nakabposh ...MP ...aur Jugal ko ek saath dekha gaya hai woh kuch plan bana rahe hai ....

ek khas baat aur pata chali ...k jiss din Abhi Deepu k doston ko bacha kar laaya tha uss din se DSP ki family ka bhi koi pata nahi chala ....

Abhi ne saari baat sunane k baad ..Golu ko kuch nirdesh diye ...Golu ek yaksha tha uske paas adrishya hone ki shakti thi ...woh ..waha ...adrishya roop mein pravesh kar gaya ...aur ...chupke se ...Devil ..Jugal aur MP k bich ho rahi saari baat ko record kar liya ....

Yaha subah jab Nakli Deepu ki giraftari hui ....tab waha ...jaha Shivom aur Krish jiss adde par the ...waha Eagle gang k do member asur Drugs k saath waha pahunche .....waha hathiyar bandh gundo ne waha bandhak bane hue ...logo par gun taan di ....taaki unhe drug inject karne mein koi pareshani na ho .....Shivom aur ..Krish ko Deepu ka mansik sanket milgaya k ...now its action time .....

Shivom - arre ruk jaao bhai ...yeh naa insafi hai ...yeh nahi chalega .....

Krish - haa bikul nahi chalega aur hum chalne nahi denge ...

gunda - lagta hai tumhe marne ki jaldi hai chup chap khade raho nahi toh yahi bhun diye jaaoge ..

Shivom - bhai tum kya hume bhutta samaz rahe ho jo bhunkar kha loge ...hum toh iss injection k baare mein bol rahe the .....hume yeh pahele chahiye ...

Virat - nahi pahele muzhe ....lagao yeh injection ....

Do asur ( E1 aur E2) hasne lage ....

E1 - lagta hai pagal hai .....ha ha ha ..chalo accha hai pahele inse hi shuruwat karte hai ...inhe hum apne haato se injection lagayenge..thik hai aage aajao ....

woh dono ...aage aagaye ....un do asuro ne ..Shivom aur Krish ki baju mein injection lagaya lekin yeh kya ...woh ..sirinj unke bajuo mein ghusne k bajaye tut gayi .....

woh dono asur kuch samaz paate uske pahele ...dono k jabde par jordar mukke pade ....Shivom aur ...Kisrh ne unn dono par humla bol diya tha .....dono unn asuro ko sambhalne ka koi mauka nahi dena chahte the ...dono lagatar unn asuro par laat ghuse barsa rahe the .....

Lekin dono bhi ..kam nahi the ....dono ne Apni urja ka vaar ..Shivom aur Krish par kiya ....Jiske lagte hi woh dono ...piche ki or gire ..Tab tak woh dono asur sambhal gaye ....

E1 - ( gundo se ) dekh kya rahe ho kamino ..bhun do sabko ....

Unki baat sunkar waha maujood logo mein bhay vyapt ho gaya ...abhi woh goliya chalate k ..unsab ke haato se banduke ...chitakkar dur gir gayi jaise kissi ne unke gaato se banduke chinkar phenk di ho ....Yeh kaam tha Virat ka jo Deepu k saath Shivom ka sanket paakar ...aagaye the .....

Sangharak ko dekhkar jaha gundo k man mein bhay vyapt ho gaya ..wahi..baaki logo ...ab apne aako syrajshit samazhkar nishchit hogaye ....

Deepu - Virat tum inn sabko yaha se surakshit bahar nikalo .....inhe hum sambhalte hai ....

yaha ...Shivom aur Krish bhi ..sambhal chuke the .....Krissh badi furti se apne urja chakro se ..uss asur par humla karne laga ...toh wahi ...Shivom ..yss asur k vaar k kaaran krodh mein bharkar ....Yaksha roop dharan kar chuka tha ....jispar uss asur ki shaktiyo ka koi jor nahi chal raha tha .....Krish aur ...dusre asur mein barabar ka mukabla chal raha tha ....dono mein se koi kam nahi tha ....wahi dusri or ...Deepu apni ralwar se un gune chune gundo ko maut k ghat utar chuka tha ....

Ab Krish ki jagah Deepu uss asur ka samna karne laga ...aur ..paristhiti mein ...badlav aagaya ....Deepu ki tezi aur chakro ki yrja k aage woh asur ...jamjor pad gaya ...dono asuro ki haalta bahut buri ho gayi thi ....Shivom ne ...ghayal awastha mein ghutne k bal baithe hue asur ki gardan pakadkar ukhad di ....aur wahi ....Deepu ne pahele ....uss asur k dimag mein zhankar ...drug ki nayi lab ka pata kiya ...usse pata chala ki aur bhi aise kai thikane hai jaha ..Kidnapped kiye hue logo ko drugs k dwara ....brain wash ..unhe khoonkhar aur ghatak banaya jaa raha hai ....karke ...unhe ..rakha gaya hai ....
uss asur k dimag se saari jaankari nikalne k baad ...Deepu ne apni talwar uske seene mein utar di .......

Abhi k liye itna hi ....

Agla Update jald hi .....
 
Back
Top