• Hello Friends You can Register on the Forum and by posting you can earn money too.

Chudai Ki Kahani BEAUTY AND THE BEAST

"ummmmmaaaaww......oh God kitne baje hai????Komal jhat se bed se uth gayi
10 baje flight hai aur abhi 7 baj rahe the.....

Hadbadi me komal jaise hi Washroom gayi.....
Dhak se reh gaya uska dil aur muh khula hi reh gaya

Yash towel me tha aur shave kar raha tha
Kya body hai yaar.biceps,triceps,6 pack sab hai
Komal ko paseena aane laga.uska body kaampne laga
Jaise taise wo wapas aakar bedroom me baith gayi
Dil abhi se dhadak raha tha Komal ka

"Kaafi jaldi uth gayi??"teerchi nazar se yash ne dekha aur kamre me daakhil hua

"T t tum yahan kya kar rahe ho,mera kamra hai ye"Komal boli

"Kamre ko choro aur jaldi se ready ho lo.zyada time nahi hai hamare paas"yash bola

"Haan pata hai kal zyada thak gayi thi isliye late uthi"Komal apni aankhen ragadte hue boli

"Jaldi se ready ho lo aur......task jhak kam kiya karo"bol halki si muskan ke saath Yash kamre se chala gaya

"HOW DARE YOU YASHVARDHAN SARAF,TUMNE MUJHE DEKH LIYA THA......."komal cheekhti chali gayi

"Dekh liya tha ,mujhe taakte hue"yash fir has pada

Komal gusse se pair patakti hui chali gayi.yash ab dil khol ke hasne laga
Haste haste ruk gaya.itne saalon baad Hasi aayi thi yash ko.

Wahi Komal Ready hote hote sochne lagi.uska rishta to raghav ke saath bhi tha.lekin kabhi raghav par gussa nahi aaya tha
Kabhi dil zor zor se nahi dhadka Tha.
Yash ki wo body fir se komal ke aankhon ke saamne a gayi

"He durga mata.maine koi paap nahi kiya.koi paap nahi kiya"aankhen band kar Komal jaldi jaldi ready hone lagi
-------------------------------------------------------------------------------
"Ye kaisi plane hai??"Komal ne poochha

"Chartered plane,yani personal plane" Rohan bola

Komal aur yash ek doorse ke opposite baithe hue the.aur dono idhar udhar dekh rahe the

Huh kitna ghamandi hai, attitude foot foot kar bhara hua hai is aadmi me.

"Gaali dena hai to man hi man me do .zyada dogi to muh se bahar a jayega"yash apne laptop me kaam karte hue bola

"Aap koi kaise pata chala ki mai....mera matlab mai gaali nahi de rahi thi"Komal boli

"Whatever as if I care huh"Yash bola aur muh fer liya

"Huh as if I do"bol Komal ne bhi muh fer liya

Rohan ka muh khula reh gaya.yash ke aankhon me aankhen daal ne ki kisi ki himmat nahi hai.fir ye chote shahar ki ladki kaise lad rahi hai uske saath ulajh rahi hai uske saath

"Sir ek problem hai"ek pilot ne aakar yash ke kaan me kuch kaha

Yash ne thoda socha fir bola
"Thik hai"

"Kya hua??"Komal ne poochha

"Kuch nahi, weather thik nahi hai.plane ko kahi aur land karna padega"yash bola

Aur fir plane ko amsterdam airport par utara diya gaya

"Sir weather bohut kharab hai aap log hotel me ruk jaiye ,baaki ke staff ko mai doosri jagah shift karta hoon"pilot bola

"Thik hai"yash bola

"Sir aap logo ke liye airport jaane ke liye car ready hai"ek aadmi bola

"Hmm indian??"yash ne poochha

"Haan sir"aadmi bola

Fir komal aur yash us car par sawar hokar chalne lage.
GAADI airport se nikalkar market,shahar hote hue ek sunsan raaste par jaane lagi

"Itna sunsan kyun hai yash ji??"Komal ne poochha

"Shayad hotel alag so jagah me hai,lekin weather to sahi lag rahi hai"yash bola

Tabhi ek raasta me ek GAADI ke saamne yash ki car ruki.
Driver ne car rok diya aur car ka darwaza khol bhaag kar khadi hui car me baith usi GAADI ko chalakar bhaag khada hua

"Are ye Kya yash ji??ye kya hua driver car chor bhaag kyun gaya"Komal boli

Yash ke kuch samajh paane se pehle hi junge se teen chaar car saamne a gaye

Aur un caro se aadmi nikalne lage
Yash ka chehra sakht ho gaya
 
Yash car se utarne laga to Komal ne darte hue uska haath pakad liya

"Bohut saare log hai, please bahar mat jaiye"Komal boli

Yash ne Komal ka haath churaya aur bahar nikla.

"So will you guys come to me one by one or altogether??"Yash ne poochha

Ek saath saare gunde toot pade yash ke upar.lekin jald hi unhen pata chal gaya kisse pala pada tha unka
STALLON group ka chairman,jiske naam se sab darte the aaj sabko patak patak kar maar raha tha

Komal dekhkar hairan reh gayi.yani ye Jaanwar kungfu karate bhi jaanta hai
Tabhi itni akad hai isme.mujhe bhi help karni chahiye yash ji ki

"Who sent you here tell me"Yash ne ek gunde ko pakadkar bola

Tabhi peeche we ek gunda chupke se Yash ke peeche a gaya aur ek dande se sar par maarne wala tha ki uske peeche Komal ne us gunde ko maarne ke liye dande uthakar zor se ghumaya

THADD

gunde ko to laga nai yahi ke sar par wo vaar laga

Gunde ye sab dekhkar bhag chuke the

"Bewkoof aura...."bolne se pehle hi yash apna sar pakad kar zameen par ludak gaya tha

Eeeee.ye kya hua ??yash to neeche zameen par gir gaye
Komal ne darte hue yash ko dekha.besudh pada hua tha
Kya Kare ab kya kare ab
Komal ko kuch samajh me nahi a raha tha
Achanak usne yash ka pocket tatola,aur usme se mobile nikala.lekin pin protected hai
Komal ne yash ke ungli se phone ko unlock karne ka try kiya
Aur wo kaam kar Gaya

Phone unlock hote hi usne rohan ka number nikala aur phone kiya

"Haan boliye bhabhi"rohan ke Bolte hi Komal ne rote hue sab bol diya

"Shit!!bhabhi mai kisi tarah sir ko wahan se nikalne ki koshish karta hoon , mausam sachmuch kharab hai,jitane kiya ye sab wo bachenge nahi..."rohan ko gussa aane laga

"Wo baad me rohan pehle yash ji ko hospital le jana hoga"Komal boli

"Mausam bohut kharab hai bhabhi,mai kisi tarah saamne koi hotel ka bandobast karta hoon fir dekhenge"rohan ne phone Kaat diya

Aur kareeb 15 minute me ek car aakar saamne ruki Komal ke

"Who sent you??"komal ne poochha

"Mr Rohan"driver ne bola aur Komal ke saath Yash ko lekar hotel pohuncha

Komal ne jaise taise yash ki marham patti kar di thi.hotel se first aid box lekar
Doctor se phone par baat ho gayi thi.aur doctor n kaha tha ki wo khud aakar check karenge subah

Saari raat Komal jagti rahi aur yash ki aur dekhti rahi
Koun kahega ki itna Masoom sa dikhane wala insaan itna khadoos ho sakta hai
Sachmuch jab yash ke baal uske aankhon ko dhak deta tha,Komal un baalon ko thik kar deti thi
-------------------------------------------------------------------------------

Subah hote hi yash ko sar par bohut dard ka eksaas hua.fir yaad aaya kaise galti se komal ne us par baar kiya tha
Apne sar par haath dete hi usne dekha ki patti lagai gayi thi

Aur fir achanak chaunk pada.komal uske baahon me bahein daalkar Leti hui thi
Jiske naak par hamesha gussa rehta hai wo itni shaant hokar befikr hokar soyi hui hai
Bohut pyari lag rahi thi Komal

K kya ho raha hai yash come on yash,you are the chairman of STALLON group.in sab ke chakkar me pehle pada tha tu.lekin ab tu yash hai
YASHVARDHAN SARAF
Pehle bhi aise hi ek ladki ne dhoka diya tha
Ye shaadi bas Ek agreement hai.iske aage kuch bhi nahi
Waise bhi ladki ne kabhi dil se tujhe apnaya nahi

Yash uthkar apne mobile se call laga kar Komal ki aur dekhne laga
"Don silenco??"Yash ke awaz me ek halka sa gussa tha

"Yes boss"doosri aur se Awaz aayi

Yash ne kuch baatein ki aur tak tak Komal uthkar idhar udhar dekhne lagi
Yash uske bagal me baith laptop me kaam Kar raha tha

"A aap ko to chot lagi thi na??"Komal ne kaha

"Thanks to you"Yash ne Komal ki aur bina dekhe kaha

"W wo galti se ho gaya,lekin aap kaam kyun kar rahe hai??"Komal boli

"YASHVARDHAN SARAF ko in choti choti choti nahi rok sakti Komal"yash bola

"Mai rok sakti hoon"bol Komal ne laptop cheenk liya aur use rakh diya

"What the hell Komal, don't Cross your limits,Mujhe kaam karne do"yash chilla utha

"Ho gaya chillana??jab aap thik ho jaoge fir kaam karna"Komal boli

"Tum aise nahi manogi"bol yash jaise hi uthane laga,Komal ne usko dhakka dekar baitha diya

"YASHVARDHAN SARAF YOU WILL SIT DOWN QUIETLY AND REST NOW"Komal chilla uthi

Yash bhi bachhon ki tarah chup hokar baith gaya
Komal ko hotel ke taur tarike nahi pata the.usne room me rakhi kettle se hi yash ke liye coffee banai.
Yash sab dekh raha tha.
Kab uske liye kisi ne aisa kiya???kab usko kisi ne aise daant lagai??kab uspar kisi ne apna adhikar dikhaya???
Komal tum.....

"Pata nahi kaisi bani hai yash ji??"Komal ne poochha

"Bohut achi "yash ne Komal ki aur dekhte hue kaha

"Doctor aane hi wale hai yash ji,kal hi maine kaha tha aane ke liye"Komal ghadi dekhti hui boli

"Hmm ek baat aur Komal"yash bola

"Kya "koman boli

"Tum mujhe yash bol sakti ho yash ji ki jagah"yash bola

Komal chaunk padi

"Itna chaunkne ki zaroorat nahi hai,aur haan agli baar mujhe maarna ho to bata dena ready ho jaunga"yash bol hasne laga

Komal bhi hasne lagi.pehli baar dono ek saath hase the
 
DUBAI
Ek badi si round table par kai log baithe hue the
Aur ek alag si chair par ek buzurg baithe hue the

"Yani plan fail ho gaya??"ek aadmi bola

"Shhh dheere bol "doosre aadmi ne use shaant karne ki koshish ki

"Kyun??baap ka raaj hai kya??"wahi aadmi bola

"Tu samajh nahi raha hai,naya hai chup reh"doosre aadmi ne chup karane ki koshish ki

"Bhad me gaya organization aur bhaad me gaya is ka head mai...."

BOOM

ek shot se sar ke sar paar goli chali gayi.aadmi ludak gaya

"Bhajanlal khurana ko oonchi awaazein pasand nahi hai Micheal,agli baar kisi ko organization join karane se pehle ye baat bata dena"buzurg bole

"Ab kya karna hai mr khurana??"ek aadmi bola

"Intezar"buzurg bole aur chup ho gaye
----------------------------------------------------------------------------
USA
Yash ke gaadiyon ka kaafila airport se ek bade se mansion ke saamne ruka

Itna bada ghar??Komal ne itna bada ghar india me to kya tv ya movies me bhi nahi dekha tha
Ye to bas

"Welcome to the family madam"ek aadmi muskurate hue saamne aaya

"Mayank.hamara butler hai komal.jo bhi chahiye inhen bolo ye help kar denge"bol yash jaane laga

"Are baaki family Se nahi milaoge"Komal ne poochha

"Aise bedhang family se na milo to hi acha hai"bol yash chala gaya gaadi lekar

Kal ne ek gehri saans chodi aur ghar ke ander a gayi

Ahmed dauda dauda aaya .Komal jaanti thi ahmed ko isliye use dekhte hi muskura uthi

"Aiyye aiyye bade sahab ander baithe hue hai"bol ahmed Komal ko ghar ke ander le gaya

Ander ek aadmi chashma pehne newspaper padh raha tha

"Babuji ye hai chote malik ki dharm patni Komal "ahmed bola to us aadmi se bola to us aadmi ne paper hatakar Komal ki aur dekha.
Bohut seedhi saadhi so lag rahi thi.

Komal sar jhukakar waha gayi aur jhuk hue pranam kiya

"Jeete raho beta,mai ashok hoon "us aadmi ne Komal ke sar par haath fera

"Baaki ke lol kahan hai ??unse bhi mil leti"Komal boli

"Beta tum yahan abhi aayi ho na isliye,kuch dino me sab kuch pata chal jayega aur yahan ke logo ke baare me bhi pata chal jayega"ashok bole

Komal ko kuch samajh nahi aaya

"Abhi tum aaram karo baad me sab se mil lena"ashok bole

Mayank ne Komal ko uske kamre tak pohuncha diya

Thaki hari Komal kuch hi der me neend ki agosh me kho gayi
-------------------------------------------------------------------------------
Yash ko office me kuch khali khali saehsoos ho raha tha

Shaadi bas formality thi uske liye,lekin shaadi ke baad Komal ka yash ke life me aana ek bohut bada impact kar gayi thi

Ye hamla jo hua wo Komal par nahi is par tha aur koi na koi zimmedar zaroor tha iske liye
Bunty jaise bewkoof ke paas na to itna dimag hai na himmat ki aise planning ko anjam de

Fir koun tha wo jisne is kaam ko anjam diya???
Agar wo bewkoof Komal na beech me kood padti much had tak shayad pata chal hi jaata kisne hamla karwaya tha

Aaj shayad papa ke saath baat karni padegi,jo shart tay hui thi shaadi ke liye wo poora karna hoga unhe
Yash ka chehra sakht ho gaya.
Komal ke liye uske dil me kuch bhi nahi tha.
 
Yash apne office me tahalne laga
Hadh hai ek ghanta ho gaya lekin aise lag raha hai ki jaise ek saal hua ho.kisi kaam me man hi nahi lag raha tha
Kya kare kya na kare samajh me nahi a raha tha

Jhak maarkar ek number ghumaya usne

"Hello??"Komal ki awaz aayi doosri taraf se

"Wo.......umm....k khana kha liya??"yash ne roub se poochha

"Haan abhi khakar uthi,lekin aapne phone kyun kiya??"Komal ne poochha

"Wo...bas ....mujhe laga shayad tumhe koi problem ho rahi hai ya nahi iske liye phone kiya"yash bola

"Nahi abhi tak to sab thik hai"Komal boli

"Thik hai fir"bol phone band karke pocket me daal diya yash ne
Ab kuch sukoon sa lag raha tha dil me

"Sir may I come in??"Rohan ne poochha

"Aja"yash bola

"Ye GLOCAL PASSION ko hum apne group me shamil karne ja rahe hai ,hai na??"rohan ne poochha

"Haan,kyun??"yash ne poochha

"Ye dekhiye"rohan ne ek magazine khol ke dikhaya

Yash us article ko dekhkar serious ho gaya
-------------------------------------------------------------------------------
"Madam sab members neecha wait Kar rahe hai"mayank bola

"Thik hai mayank bhaiyya"bol Komal neeche jaate hi kai log sofe me baithe hue dikhe

"Aao aao beta sabse introduce karwa doon,ye meri dharm patni sushila,meri badi beti sujata uska pati maanav nahi aaya ,aur choti beti urvashi"ashok saraf bole.

"To ye hai wo jisko yash ne chuna hai??sorry beta Mujhe laga ki tum kisi industrialist ke khandan se ya fir kisi politician ya business tycoon ke ghar se belong karti ho,mujhe nahi pata tha tumhare maa baap nahi hai aur chacha hamare factory me mamooli worker hai"sushila saraf boli

"Sushila please fir mat shuru ho jao"ashok bole

"Mumma ne kya galat bola hai papa?? bhaiyya ne wahi galti doharai jise maine doharaya tha,maine bhi doharai.ek aise insan se pyar kiya jiski khuddari le doobi mujhe"sujata boli

Ashok lachari se sabko dekh raha tha.kisi ne is bachhi ka swagat nahi kiya,na khushi dikhai

"Ab sab drama ho gaya to mai jaun??aaj party hai"urvashi boli aur nikal gayi

"Mai bhi chalti hoon,meri kitty party hai aaj"sushila bhi chali gayi

"Bhaiyya ka bhi wahi haal hoga jo mera hua hai"bol sujata bhi uthkar chi gayi

Ashok ne gehri saans li.pata nahi kya soch rahi hogi ye ladki is parivar ke baare me

Komal ashok ke saamne aayi aur ek haath unke kandhe par rakha
"Pitaji,bhagwan sab thik kar dega"bol muskurate hue apne kamre ki aur chali gayi

Ashok muskuraye.kam se kam kuch to acha hua.yash jaise Jaanwar ko bhi bhagwan ne itna acha jeevan saathi diya.

-------------------------------------------------------------------------------
GLOCAL PASSION

CLICK CLICK CLICK

"Fantastic sanchita,thoda saamne karo baalon ko"photographer photo liye ja raha tha

CLICK CLICK CLICK CLICK

"Bas aaj ke liye itna hi"photographer bola

"Uff bohut thak gayi yaar,ek lighter dena "sanchita ne ek cigarette nikal jaise hi jalane ko gayi.uski nazar ek magazine ke cover par padi

*DHRUV VS YASH THE WAR FOR THE TURF*

Dhruv to bohut bada businessman hai,uske saamne ye koun khada hai??ye to...

Achanak sanchita ka matha thanka.ye to wahi.....

"YASHVARDHAN SARAF , STALLON group ka chairman.is agency ko kharid raha hai"photographer bola

"YASHVARDHAN SARAF haan??"sanchita soch me doob gayi
 
"sanchu chal na aaj ek indian restaurant me chalte hai??"yash bola

"Yash be practical yaar,aaj ke daur me koun restaurant me jaata hai,agar jaana hai to kahin disco theque chalte hai"sanchita boli

"Lekin hum abhi School me hi to hai yaar,fir hum kaise jayenge??"yash bola

"Oh!saare mood ka satyanash kar diya,chal wahi restaurant me hi chalte hai"sanchita muh banakar boli

"Mai abhi aaya"bol yash wahan se nikal kar thoda door gaya aur man hi man muskurane laga
Aaj usko indian restaurant ka bahan banakar ek disco theque le jayega yash.yahi to plan tha.apne pocket me paise gine usne aur wapas chal pada.sanchita kisi se phone par baat kar rahi thi

"Are bol mat yaar,pata hota itna bhikhari type ka hai,itna loser type ka hai to kab ka gaand me last maarkar bhaga deti"sanchita ki awaz ne yash ko hilakar rakh diya tha
Ye tha uske dil me???ye????

Tabhi kandhe par kisi ka haath pada
Yash past se present me a gaya

"Chalein bhaiyya??jaane ka waqt ho gaya"rohan ne dheere se kaha

"Hmm"bol jhatke se yash uth khada hua .apne aap ko serious kiya aur ghar ki aur chal pada
-------------------------------------------------------------------------------
Ghar pohunchte hi Komal kuch newspaper cutting ko gaur se dekh rahi thi

Yash ne dhyan nahi diya aur fresh hokar kaam karta raha

"Yash,ye BRENDON agency kaisi hai??"Komal ne poochha

"Magazine hai,kyun??"yash ne poochha

"Mai soch rahi thi wahan job ke liye apply kar doon"Komal boli

"Kyun??job ki kya zaroorat hai,tum card le lo jo chahiye kharid lo??"yash bola

"Baat ye nahi hai yash.saara din ghar me akele baithi bore ho gayi thi,waise bhi mai india me job karti hi thi na??"Komal boli

Yash Sochne laga

"Ajeeb hai yaar itna sochna kya hai,mai ja rahi hoon to ja rahi hoon bas"Komal boli

"Pati hone ke naate mera itna to haq.."yash ki baat beech me Kaat kar Komal boli

"Ohho to patidev ji patidev ka farz hota Restaurant me biwi ko khana khilaye,movie lekar jaaye aur bhi bohut saare farz hote hai pati ke"Komal boli

Fir acahank se chup ho gayi ,yash bhi chup ho gaya

Kuch pal ke liye sannata tha

"Wo...agar tum chaho to hum restaurant me chal sakte hai"yash idhar udhar dekhte hue bola

"J jaisa aap thik samjhe"Komal idhar udhar dekhte hue boli

Yash ko apne upar gussa a raha tha,kaise Maan jaata hai Komal ki har baat
Damn it

POORNIMA RESTAURANT
afra tafri Machi hui thi ki yash sahab a rahe the
Yash aam taur par kabhi gaya nahi tha wahan
Ek zid thi us Restaurant ko kharidna,usi restaurant me bohut yaadein Judi hui thi

Ek special table arrange kiya gaya tha.
Yash aur Komal ko wahi guide kiya gaya

"Madam will you like to have Italian?? Chinese???Conti??"order lene wale ne bade style se poochha

Komal kuch nahi boli,fir kuch der ke baad dheere se boli
"Bhaiyya indian milega yahan??"

Yash,order lene wala,manager aur saare staff chaunk gaye sunkar

"Sir is Restaurant me Indian to hai hi nahi"dheere se manager ne yash ke kaan me kaha

"I don't care,hum indian khane aaye hai aaj,kuch bhi karo kahin se bhi lao"yash bola

Aanan fanan me yash ke hi doosre restaurant ka indian tha wahan se khana mangwaya gaya

"Bas??dal makhni,matar paneer aur naan??"yash bola

"Aur kya chahiye ye hi bohut hai"bol Komal khane ka lutf uthane lagi

Yash Komal ko gour se dekhne laga.bas itne me hi kitni khush hai Komal.

Wine peete waqt ajeeb sa laga Komal ko.lekin fir dheere dheere nasha chadhne Laga

"I LOVE THIS PLACE"achanak komal chilla uthi

yash ghabra gaya.komal ko acha khasa chadhne laga tha
Ye aurat jis din se yash ke zindagi me aayi hai.yash ki neend haram ho gayi hai

"Chalo Komal bohut ho gaya se are leaving"Yash ne Komal ko Sahara dekar gaadi me bithaya

"Pata hai yash Pehli baar restaurant me khana khaya maine,thanks "Yash ki aur dekhte hue Komal boli

Yash dekhne laga Komal ko,sirf ek Restaurant me jakar usne aisa kya kar diya???

Komal ne Achanak yash ke baahon me baahein daalkar aankhen band kar li
Yash Komal ko door karne wala tha.lekin kar nahi paaya

"Komal??"yash ke awaz par koi harkat nahi hui komal ki

Yash ne apna haath sar par de maara.fir Komal ko uthakar kamre tak le gaya.
Kyonki zyada raat ho gayi thi sab so chuke the

Yash ne Komal ko apne se door hatana chaha lekin Komal ne kaskar yash ko jakde rakha
-------------------------------------------------------------------------------
Sar bhari bhari sa lag raha tha Komal ka.uthne ki koshish ki to dekha yash bagal me leta hua hai
He bhagwan is tharki insan ne kuch kiya to nahi
Komal ko gussa aaya.wo yash ko uthakar jhagda karne hi wali thi ki usko yaad a gaya ki uska aaj interview tha

Jaise taise ready hokar drive ko bol GAADI nikal kar nikal gayi wo
 
Komal BRENDON agency me a to gayi
Lekin waha har koi kaafi smart lag raha tha

"Yes madam how can I help you??"receptionist ne poochha

"Actually I came to apply for a job"Komal boli

"Any reference??"receptionist ne poochha

Komal soch me pad gayi.kiska reference le kiska reference hai uske paas??tabhi uski nazar waha par rakhi magazine par padi.cover page par likha tha

*DHRUV VS YASHVARDHAN,THE BATTLE FOR THE TURF*

Komal ne apna sar peet liya,yahan bhi is khadoos ka photo laga hua hai
Dhat tere ki

"Madam reference??"receptionist me fir poochha

"Write my reference"ek ladki haste hue peeche se aayi

Komal ne peeche mudkar dekha ,ek usi ki ham umra ladki thi

"Nitya"ladki ne haskar haath aage badhaya

"Komal"Komal boli aur haath milaya

"Dekho Komal sirf ek hi vacancy hai Hamare team me,isliye Maine tumhe apna reference diya hai"nitya boli

"Mai samjhi nahi nitya"Komal boli

"Chalo"bol nitya Komal ko lekar ek kamre me chali gayi
Wahan computer par ek ladki kaam kar rahi thi

"Madam ye hai nayi team member"nitya haste hue boli

Ladki ne computer par se nazar hatayi,aur upar se neeche tak dekha Komal ko

"First job??"ladki ne poochha

"Yes madam"Komal boli

"Welcome to the team.mera naam vishaka hai,aur isse tum mil hi chuki hogi.nitya"ladki boli

Komal ne haan me sar hilaya.lekin shock bhi ho gayi.itni aasani se job mil gaya?? interview??

"Aaj tumhara first day hai Komal ummed hai you will perform better"vishaka boli

"I will try my best madam"vishaka boli

"Chalo tumhe building dikha doon,saath me cafeteria me khana khate hai"vishaka boli

Komal ,nitya aur vishaka ek saath chal pade .vishakha office dikhati rahi aur ek ek section ke baare me batati rahi

"Wow ek aur loser team me shamil ho gaya??"ek ladki ki awaz peeche se aayi aur uske aas paas hasne ki awaazein aane lagi

"Smita,ye sab kya hai??"vishaka ne poochha

"Kuch bhi nahi,dekh rahi thi ki loser team me koi naya loser aaya ya nahi.waise is behenji ko choose karke acha kiya,kya pata tum logo ki bewkoofiyon me aur chaar chaand lage??"smita ke ye Bolte hi sab log hasne lage.aur fir smita nikal gayi

"Bloody bitch,madam hum kyun nahi cover story me kisi celebrity ko bulate hai??"nitya boli

"Kal ek celebrity a rahi hai,ek actress hai.hamare paas poora mauka hai unse aage badhne ka lekin dhyan rahe kuch gadbad na ho"vishakha boli

"Kuch nahi hoga,we will rock "Niyya boli
Aur Komal muskura di
-------------------------------------------------------------------------------
Ashok saraf baar baar ghadi dekh rahe the
Unhen pata tha unka beta jald unse milne aayega

"Pranam papa"yash ne darwaze se awaz di

Ashok saraf muskuraye,yaani shart ke mutabik yash a gaya

"Tumhara hi intezar kar raha tha beta"ashok bola

"Shart ke mutabik aap mujhe wo zameen denge papa"yash bola

"Yani shaadi zameen se ki ,Komal se nahi"ashok bola
Yash chup raha.sur khada ho gaya

"Mai in sab faltu baaton me nahi padna chahata,shart ke mutabik wo zameen mere naam par ho jaani chahiye"yash bola aur nikal gaya

Ashok muskuraye yash jaisa swarthi bohut kam dekha tha unhone,shadi ki ek shart thi.ki agar wo shaadi karega tabhi zameen ka hakdar hoga

Ashok ne Komal ke baare me rohan se jaana,jaana ki yash ki manmani ko wahi rok sakti hai.warna sab ladkiyan to yash ke haan me haan milati hai
Ek wahi ladki hai jo yash se nahi darti.aur isliye ashok ne plan banaya Komal ki shaadi yash ke saath karane ka
Yash ko tab mana paaye ashok jab unhone zameen ki baat rakhi
Khair uske baad Yash ne Komal ko mana hi liya shaadi ke liye

Ashok ne ek gehri saans chori.bhagwan ka to pata nahi.lekin Komal ko ye pata chala to kabhi.maaf nahi kar payegi ashok ko
 
Whew aaj to kaafi thak gayi thi komal.usne apna bag uthaya aur Jaane lagi tabhi use ek dhakka laga aur wo girte girte bachi

"Are Jaane ka dhang nahi hai kya??"Komal boli

"Dekh ke tu chala kar jungli ganwar kahi ki,tujhe pata nahi bera boyfriend is company ka general manager hai"smita boli

Komal ghoorne lagi smita ko.tabhi vishaka aur nitya bhi a gaye

"Chor de Komal inka palda bhari hai.agar hamare paas iske jaisa support hota to aur baat hoti .khair chal tujhe ghar chor dete hai"vishaka boli

"N nahi nahi mai khud chali jaungi madam"Komal boli.ab yahi baaki reh gaya tha ki logo ko pata chale ki wo yashvardhan ki wife hai

"Chal koi baat nahi,bye"nitya boli.aur dono chale gaye

Komal bhi bahar nikali office se to usne dekha ki do teen ladko ke saath Yash ki choti behen smoke kar rahi hai

Komal Wahan gayi.urvashi ne Komal ko dekhkar Andekha kar diya

"Ye sab kya hai urvashi??"Komal ne poochha

"Smoke Kar rahi hoon,kyun??"urvashi boli

"Bas aise hi.ye tumhare friends hai kya??"Komal ne poochha to urvashi ko halki si hairani hui

"Aaj kal to sab chalta hai urvashi, ladkiyan smoking aur drink dono karti hai.lekin apne balboote par.apni khud ki pahchan apni khud ki taqat bano fir jo marzi karna chaho karo.bas itna hi kehna tha.baaki apne doston se meri aur se hi keh dena"bol Komal Haskar nikal gayi
Aur urvashi hairani se dekhti reh gayi Komal ko

-------------------------------------------------------------------------------
Komal jab ghar pohunchi to ghar me sannata tha
Is ghar me sab kuch hai lekin ek apnapan sa missing tha

Khair komal bohut thaki hui thi.apne kamre ke ander aate hi yash ko laptop par kaam karte dekha

"Baap re bohut thak gayi aaj"Komal bed me let gayi

Yash chup hi raha.bakbak karna zyada pasand nahi tha use

"Hmm la la la...hmmm"Komal Aankhen band Kar gungunane lagi
Aaj pehli koshish me naukri mili thi use
Mood acha tha uska.

Lekin yash irritate ho raha tha

"Band karogi jo bhi kar rahi ho"yash bola

"EXCUSE ME,gaana ga rahi hoon,aapki tarah nahi jo ekdum statue ki tarah kaam karti rahungi"Komal boli

"Matlab??"yash ne poochha

"Matlab ye ki koi hobbies hai aapki??khelna??gaana gaana??padhna??ya jo bhi hai??"Komal ne poochha

Yash chup ho gaya aur apna kaam fir se karne laga

"Ek minute ek minute"bol Komal daud kar gai ek kuch der baad ek dhool se sana hua guitar ke aayi.yash ise dekhkar chaunk gaya

"Y...ye kahan se mila tumhe??"yash ne poochha

"Store room se mila,pata chala tumhara hi hai"Komal boli

"Hai nahi tha,ab mai haath nahi lagata ise"yash bola

"Are??aisa thodi hota hai??ek bas ek baar bajakar dikhao na yash??"Komal ne poochha

Yash fir kaam me laga raha

"Thik hai,mai ise wapas rakhkar abhi aayi"khushi se bhara man thoda bujh sa gaya tha Komal ka

Yash ne Komal ki aur dekha.khila hua chehra ekdum se murjha gaya

"Ruko,lao pehle dhool saaf karte hai"bol yash ne guitar le liya aur fir usne aur Komal ne saaf kar a shuru kiya

Komal ne notice kiya ki yash bade man ke saath kona kona saaf kar raha tha

"Ab tuning karni hai"bol yash guitar ke strings check karne laga
Aur tuning karta raha

"Aaj ke din khatam hoga ye kaam??"Komal ne poochha

"Ho gaya "bol yash ne guitar ko liya aur bed me baithkar bajane laga

When the night has come
And the land is dark
And the moon is the only light we'll see
No, I won't be afraid
Oh, I won't be afraid
Just as long as you stand, stand by me
And darling, darling
Stand by me, oh stand by me
Oh stand, stand by me
If the sky that we look upon
Should tumble and fall
All the mountains should crumble to the sea
I won't cry, I won't cry
No, I won't shed a tear
Just as long as you stand, stand by me
And darling, darling
Stand by me, oh stand by me
Oh.

Komal kho si gayi yash ke gaane me.aur yash kho sa gaya guitar bajane me

Gana khatam ho chuka tha

"Waah waah,too good yash ji"taali bajane lagi Komal

Yash ne Komal ko dekha,ek ladki ki wajah se usne guitar chora tha.aj aaj ek ladki ki wajah se usne guitar uthayi thi

"Ab chalein khana thanda ho raha hai"bol Komal chali gayi

Fir achanak yash ko yaad aaya ki usne fir aaj wahi kiya jo Komal chahti thi
Apne sar par guitar todne ka man kar raha tha yash ka
-------------------------------------------------------------------------------
"Thanks a lot Michelle"bol Sanchita ne phone Kaat diya

Hmm yash, yashvardhan saraf STALLON empire ko khada kiya itne saalon me
Tabhi bhul gaya sanchita ko
Jis sanchita ko dil se pyaar karta tha,jiske kadmon me pada rehta tha
Har waqt sanchita ke aaspaas mandrata rehta tha
Wahi yashvardhan ne shaadi kar li.wo bhi kisi airi gairi se

Sanchita ne apne saare kapde utar diye aur sharab ki ghoont lekar aasman ki aur dekhne lagi aur muskurane lagi

"YASHVARDHAN SARAF,fir se tumhare sanchita ke zindagi me aane ka waqt ho gaya hai.wo jaahil ganwar tumhare layak nahi hai babu,mai hoon"magazine me Yash ki photo ko apne honto se laga liya sanchita ne

"Aur jo hamare pyaar ke raaste me aayega,wo khatam ho jayega"bol zor zor se hasne lagi sanchita
 
"ok all ready??"camera man ne poochha

Komal nervous this.aaj uska pehla interview hai.aur wo bhi kashish sandhu se.ek popstar jisne aaj ka time diya tha interview ke liye

"6:00 baj gaye,kab aayegi wo??"Komal ne vishaka se isharo me poochha

Vishakha ne isharon me kaha ki bas aane hi wali hai.4 baje ka time tha interview.lekin 2 ghante late chal raha tha schedule

Tabhi sab khade ho gaye kashish ke liye.aankhon me kala chashma pehen pink top aur black skirt me aayi thi madam

"Itni garmi??garmi me interview doon??"kashish boli

Sab bhagne lage idhar udhar

"And get me a soda first.halka Sa sugar.aur lemon Zyada"kashish for boli

"Madam agar interview start kare to acha hoga"Komal ne request kiya

Kashish ne Komal ko oopar se neeche tak dekha.aur hasne lagi

"Kise pakad laye interview ke liye??ye madam mujhe order degi interview kab start karni hai??"kashish boli

"Nahi mera ye bolne ka matlab nahi tha madam"Komal ne safai di apni

"Ohho to madam ab argue bhi karegi"kashish boli

"Aap gussa kyun kar rahi hai Madam maine aisa waisa to kuch nahi kaha ??"Komal boli

"Shut up you ...."kashish uth khadi hui

"Madam please iski aur se mai maafi mangti hoon"vishaka boli

"Maine kuch galat nahi kiya vishaka madam aapko maafi mangne ki koi zaroorat nahi hai"Komal boli

CHATAAAAAAAAK

"You bitch.dekh Teri career ka kya haal karti hoon.tune kashish sandhu se panga liya hai"bol tez kadmon se kashish nikal gayi

Komal ne bheegi aankhon se dekha vishakha ki aur.vishaka ne Komal ke kandhe par haath diya
"Isme tumhari koi galti nahi hai Komal"

Nitya bhi muskura di.komal ko bohut taqat mili isse

"Lekin ab kya karein??madam ne toa mana kar diya interview dene se ab ??"nitya boli

"Koi aur raasta dekhenge nitya.abhi bhi do din hai"vishakha boli

"Warna??"Komal ne poochha

"Team toot jayegi Komal"vishakha gehri saans lete hue boli

"Par tu iski tension na le.hum kuch na kuch kar hi lenge"nitya boli

Komal muskura uthi.life me dosti ki ahmiyat bhi kuch kam nahi hai
-------------------------------------------------------------------------------
Yash jab ghar pohuncha to Kaafi raat ho chuki thi
Komal leti hui thi aur uska muh dhaka hua tha

Yash ko ajeeb laga

"Kya hua chehre par??"yash ne poochha

"Wo...umm mai na office me darwaze se takrai aur mere chehre par darwaza laga aur ye laal ho gaya"Komal boli

"Hmm,chalo so jao"yash bola

Komal let gayi.aur yash terrace par a gaya

"Tony I want history, geography of this bloody BRENDON company,get me entire scenario of what happened today right now"bol yash ne phone Kaat diya

Thodi der me Tony ka call aaya yash ko aur Tony ki baatein sun yash ka chehra kaafi sakht ho gaya
Usne ek phone aur lagaya

"George ..."aur kuch bolta chala gaya yash george ko

Komal ko achanak apne gaal par thanda sa mehsoos hua.chaunkte hue uth gayi wo

"Sshh chupchap leti raho"yash bola aur ice bag lagane laga Komal ke gaalon par
Komal chupchap yash ko dekhne lagi aur yash Komal ko
------------------------------------------------------------------------------
BRENDON agency
Komal ke office jaate hi sab usi ko dekh rahe the
Komal ko ajeeb sa laga

"Komal general manager ne bulaya hai"nitya boli
Aur dono general manager ke office me the
Wahan vishakha pehle se hi khadi thi

Komal ne dekha koi 40 saal ka aadmi chair me baitha sab ko gusse se dekh raha hai

"Sabse most pathetic team ho aap log"general manager bola

"Sir..."vishaka me bolna chaha

"Shh mai sab sun chuka hoon aur dekh chuka hoon, kashish jaisi hasti mamooli nahi hai,uski pohunch bohut door tak hai.aap logo ko andaza bhi nahi hai ki wo kya kar sakti hai.isliye hamari company me faisla Kar liya hai"general manager bola

"Kya sir??"nitya ne poochha

"Aap teeno ko terminate kiya jaata hai apna notice period khatam karo aur niklo yahan se"gm bola

"Sir..."vishakha ne bolna chaha

"Sorry girls this is not in my hands"gm bola

"Ok sir,hum job chor denge,lekin agar hum Kashish se bhi badi hasti ko le aaye to??"Komal boli

Nitya aur vishaka chaunkte hue Komal ki aur dekhne

"Hmm interesting,lekin jo mai bolun usi hasti ko laana hoga"general manager bola

"Aap naam to bataiye sir"nitya boli

"YASHVARDHAN SARAF"general manager bola

"KYA??"Komal lagbhag cheekh uthi

Nitya apne hosh khone lagi, vishakha ko chakkar aane laga

General manager ke honto par ek muskaan tair gayi
 
"Kya?? Lekin papa Maine us ladki ko barbaad karne ko kaha tha,fir kahan se wo abhi bhi kaam kar rahi hai??"kashish chilla rahi thi aur uske papa sun rahe the

"Beta use aise hi to nahi nikal sakte??lekin general manager ne aisi ek shart rakhi ki ab uska rehna namumkin ho jayega company me"Kashish ke papa bole

"Aur wo kya??"kashish boli

"Yahi ki use YASHVARDHAN ka interview lene ko kaha hai,agar le paai to uski naukri bach jayegi,lekin jitna mujhe maloom hai YASHVARDHAN kisi ko interview nahi deta.usse milna to door baat karna bhi possible nahi hai.tension mat le beta"kashish ke papa bole

Kashish ab muskura uthi tabhi uska mobile bajne laga

"Yes Julia tell me"kashish boli

"M madam the victor agency cancelled your contract with them"Julia boli

"What???how can they"kashish chilla uthi

"I don't know they sent a mail regarding this now"Julia boli

"Hah as if I care contact Dorothy "Kashish boli

"M madam e even Dorothy cancelled our contract"Julia boli

Kashish ab uth khadi hui.gussa ab dar ki jagah lene laga
Fatafat phone kaatkar ek ke baad ek call karne lag gayi.
Dheere dheere Kashish ka chehra feeka pad gaya aur wo dhamm se zameen par gir gayi

"My God Kya hua beta?? kashish??beta??"kashish ke papa chillaye ja rahe the
-------------------------------------------------------------------------------
Komal aaj office ke baad chali gayi seedha yash ke headquarters me

STALLON HQ
stallion group ka main office jahan yash kaam karta hai

Komal ke wahan ghuste hi sab wish karne lage use

"Yash..."Komal ne receptionist se poochha

"He is in a board meeting.you can wait for him in his office"receptionist boli

Aur Komal yash ke office me a gayi
Kaafi BADA office that Yash ka aur Komal wahan yash ke chair me baith gayi

Tabhi phone aaya.komal soch me pad gayi.call uthaye ya na uthaye???
Bohut der tak bajne ke baad phone cut jaata hai
Komal be rahat ki saans li

Lekin fir se phone bajne laga.is baar phone uthaya Komal ne

"Hello??"Komal boli

"Madam a+ ka share lene hai kya??"doosri aur se awaz aayi

"Hmm pata nahi,achi kai kya??"Komal ne poochha

"Are madam bohut fayda hoga aap dekh lijiye"doosri aur se awaz aayi

"Ok le lijiye"Komal boli

"Thank you madam"bol doosri aur se phone cut gaya

""Knock knock"Rohan ki awaz ke saath Komal khush ho gayi

"Kya ho raha tha yahan??"rohan ne poochha

"Yash ko aur kitna time lagega rohan??"Komal ne poochha

"Bhaiyya aane hi wale hai bhabhi "rohan bola

"Waise tumhare bhaiya ke paas time hai interview dene ka ??"Komal ne poochha

"Pata nahi bhabhi.bhaiya ko ye sab pasand nahi hai.aaj tak kabhi nahi diya"rohan bola

"Oh"Komal thoda nirash ho gayi

Tabhi bijli ki tezi se yash ander daakhil hua

"Yash hi yash ji ek chota sa favour chahiye tha"Komal boli

"Bolo"yash bola aur muskurane laga.zaroor kashish ke baare me help maangne aayi hogi.

"Wo ek interview lena tha aapka??"Komal boli

"Kya??"chaunk gaya yash.sirf ek interview ke liye itni minnate??

"Boliye na"Komal boli

"Thik hai aaj se do din baad interview ka date le lo"yash bola

"Lekin sir,do din bad carnival me aapko invite kiya gaya hai"rohan bola

"Tujhe to pata hai rohan wahan mai jaata nahi"yash bola

"Fir bhi har saal aapko invite aate rehte hai"rohan bola

"Carnival??"Komal ne poochha

"India me tum mela kehti ho jise wahi yahan carnival type ka hota hai"rohan bola

"Yesss fir to mai zaroor jaungi,ok interview ke baad carnival pakka,bye yash bye Rohan"bol Komal chali gayi wahan se

"Ab carnival jaoge??"rohan muskurate hue bola to yash ne jaise hi uski aur dekha rohan serious ho gaya
Yash lachar sa mehsoos kar raha tha.sab kuch to kar raha tha jo Komal bole ja rahi thi
Kyun??

In sab se door bunty aaj khub jamkar whisky pee raha tha

"Kaam ho gaya sanjay??"bunty bola

"Yes sir,unki wife ke mutabik a+ me saara paisa laga diya gaya hai,kareeb 700 crore"sanjay bola

"Jo doobkar 0 ho jayegi ha ha ha,bohut khub sanjay flop aur gire hue shares ko achi tarah se chipkaya yash ki patni ke sar par.ab yash to paagal ho jayega jab wo dekhega ki uske shares ki value 0 hai ha ha ha"bunty aaj sachmuch ache mood me tha

"Ye bottle rakh aish kar"bol bunty ne ek whisky ki bottle di sanjay ko

"Saala kanjoos makhichoos"dheere se sanjay bola

"Kuch kaha tumne??"bunty ne poochha

"N nahi sir,to mai chalta hoon"bol sanjay nikal gaya

"Aaj se STALLON ki barbaadi shuru"bol poora whisky gatak gaya bunty
-------------------------------------------------------------------------------
Komal khushi khushi office gayi doosre din to dekha ki vishaka aur nitya dono sar pakad kar baithe hai

"Ab kis baat ki tension.phone me bata to diya tha ki mr yash ka interview ho jayega"Komal boli

"Wo ...ek problem ho gayi hai Komal"nitya boli

"Kya ??"Komal ne poochha to dekha ki general manager yahin a rahe the

"Oh tumhare doston ne bataya nahi ki interview change ho gaya hai??"general manager bola

"Kya "Komal hairan hote hue boli

"Haan ab tum mr YASHVARDHAN ka interview nahi logi.abhi jiska interview logo uska naam hai..."general manager muskuraye

"Kya??"Komal ne dheere se poochha

"DHRUV GANGULY"general manager bole
 
"isme Meri kya galti sir??"sunil ne sar jhukate hue kaha

Yash Gour we dekhne laga Sunil ko.700 crore wo bhi a+ par??itna bada blunder???
Tabhi call aaya yash ko

"Hello ??"Yash ne phone uthaya

"Ha ha ha,well well mr yash suna hai aapne share par paise lagaye hain??wo bhi 700 crore???ha ha "bunty khilkhilakar has raha tha

"Hmm lagaya hai paisa"yash bina kisi reaction ke bola

"Sach me??to next paisa kab laga rahe hai sir??"bunty ne poochha

"Jald bataunga"bol yash ne phone rakh diya.

"Sir now what??"Tony Yash ka right hand bola

"She's been framed Tony"Yash ne lambi saans lete hue kaha

"Lekin bhaiya abhi kuch nahi ho sakta??"rohan ne poochha

"Bewkoofo ki tarah baatein mat karo rohan.shares liye ja chuke hai"yash bola

Rohan ne zor se apna haath table par maar diya.
Damn it damn it

"Baad me dekhenge,Chalo mai nikalta hoon"yash bola

"Aapke bua ki beti a rahi hai na aaj??"rohan ne poochha

"Haan "yash bola

"Yaani...."rohan ne bolna chaha to yash ne rok diya

"Haan Dhruv bhi a raha hai"bol yash chala gaya
-------------------------------------------------------------------------------
Komal ki chutti thi aaj.koi khas mehman aane wala tha, isliye aaj yash jaldi a gaye
Komal ko bhi jaldi aane ko kaha tha yash ne.tabhi gaadiyon ki siren sunai di

Gaadiyon ka kaafila yash ke mansion ke saamne ruka

Wahan ek gaadi se utarkar hathiyar band aadmi ne ek car ka gate khola

Aur sharon haathon me dher saare bag lete hue daudkar ander aayi

"Mamaji ,mamiji , urvashi,sujata,yash bhaiyya"Sharon chillaye hue ander gayi

Yash ne muskurate hue apni behen ko gale laga liya
Lekin peeche aate hue shaks ko dekh uski muskurahat gayab ho gayi

Dhruv ganguly,Jo sirf yash ko takkar de sakta hai.
Jiski yash ki tarah hi koi kamzori nahi hai.jab yash ke parivar ko pata chala tha ki Sharon love marriage kar rahi thi,poore parivar me sirf yash ne aitraz kiya tha
Lekin fir aakhir kaar use bhi sharon ke husband ke roop me dhruv ko apnana pada

"Kaise ho yash??"dhruv ne apna chashma thik karte hue bola

"Bas,chal raha hai,apni sunao"yash bola

"Are bhai ander aane doge dhruv ko??"ashok saraf bole

"Lekin bhaiya aapne bhabhi ko kahan chupa rakha hai??"sharon ne shararti muskurahat ke saath poocha

Door khadi ek ladki par sharon ki nazar padi.gira rang,simple aur ek sankoch thi us ladki me

"A...Komal ye hai meri bua ki ladki sharon "yash ne introduce karwaya

Dhruv ko dekhkar sar chalane laga Komal ka.kisi tarah khud ko rok paayi wo

"Ye hai dhruv ganguly,sharon ka husband aur SGA group ka chairman"yash bola

"Milkar khushi hui aapse bhabhi"
Dhruv ne ek aupcharik smile diya

"Uff aap dono khusat log hato aur hum dono nanad bhabhi ko baat karne do"bol sharon dhruv ko dhakka dete hu chali gayi Komal ka haath pakadkar
Komal thoda uncomfortable feel Kar rahi thi

Komal ke bedroom me pohunchte hi Sharon baith gayi

"Aur bhabhi??kaisa raha suhagraat??"aankh maarte hue sharon boli

Komal chaunk gayi aur sar jhukakar bed me baith gayi

"Bohut sunder,yash bhaiyya ko isse achi ladki nahi mil sakti thi"sharon boli

Komal chup rahi

"Pata nahi aapke dil me kya hai bhabhi.lekin bhaiyya aapse sachmuch pyaar karte hai"Sharon boli

Komal ko halki si hairani hui sharon ki baatein sunkar

"Pata hai bhabhi,aapki aur meri kahani me zyada fark nahi hai,dhruv bhi yash ki tarah hi hai,use pyaar jatana nahi aata.na hi romantic baatein karni aati hai.usne bhi yash bhaiyya ki tarah dhoka khaya tha.khair wo bas ab ateet hai.hamari kahani bhi jhagde ke saath hi shuru hui thi"sharon boli

"Sharon Tumhe pata nahi hamari shadi ke baare me"Komal boli

"Pata hai"sharon muskurate hue boli

Komal fir chaunk gayi.is ladki ko kaise pata

"Zaroori nahi ki shaadi dhoom dhaam se ho to wahi kamyab hoti hai.agar dil sachha hai.pyaar sachha hai to wo har mushkil ko har problem ko solve kar sakti hai.aur sachhi shadi wahi hoti hai"sharon boli

Komal ke paas koi jawab nahi tha

"Tumhe pyaar kitna karte hai wo is baat ka saboot hai ki jab unhen pata chala ki tumhe zabardasti interview ke liye force kiya gaya to unhone phone par mujhe aur dhruv ko invite kiya khaane par"sharon boli

Komal chaunk gayi poori tarah se.usne sapne me bhi nahi socha tha ki sharon aur dhruv sirf Komal ke liye yahan aayenge

"Chalo chalte hai.aur haan ek baat"sharon ne Komal ke kaan ke paas jaakar kaha
"Yash aur dhruv ek doosre ke kattar competitor hai.lekin iske bawjood him bhai behen KE rishte me koi khatas nahi hai"

Komal ke saath jab sharon aayi to sharon ne kal ko apni aur se shaadi ke gift diye

"Meri taraf se ye gift hai aapke liye bhabhi"dhruv ne apne coat ke pocket se ek lifafa nikala aur Komal ko diya

Komal ne use khola aur dekha ki ek chabiyon ka guchha hai

"Tumhare liye ek naya apartment"dhruv ne yash ki aur dekhkte hue kaha

Yash gusse se laal peela ho gaya.aise hi ek apartment yash ne gift kiya tha sharon ko rakshabandhan me
Dhruv ne aankhon hi aankhon me bata diya ki hisab barabar hua

"Dhruv agar dil ko tasalli mil gayi ho to jiske liye aaye ho wo to..."sharon boli

"Iske liye Komal bhabhi ko manana padega mujhe"dhruv ne apna chashma thik karte hue kaha

"Dekho mr chashmish tum.."sharon jhagda karne ke liye taiyyar ho gayi Dhruv se

"Shhh "dhruv interested Tha Komal ka jawab sunne ke liye

"Well me dhruv chairman of SGA will you like to share few moment out of your busy schedule an interview with BRENDON??Komal ne poochha

Dhruv has pada.excellent yahi sunna chahta tha wo.komal ne yash ki wife hone ka fayda nahi uthaya tha
Apni choti si pehchan se hi dhruv ko interview ke liye invite kiya tha

"Ok shuru karein??"dhruv haste hue bola.komal.muskurai
Ek kaam to ho gaya

[NOTE-IS STORY ME SHARON AUR DHRUV KA ZYADA ROLE NAHI HAI.LEKIN FIR BHI AGAR KOI INKI STORY PADHNA CHAHTA HAI YO BADLA PADHIYE PLEASE]
 
Back
Top