• Hello Friends You can Register on the Forum and by posting you can earn money too.

Bhabhi Sex Kahani - BHABHI MAA


[color=rgb(44,]Update 43[/color]


"are utho na ye kya ghoda bechakar so rahe ho "

Neha mujhe joro se utha rahi thi ,

jab nind tuti to sharab ke nashe ka aabhas hone laga, rat ka abhi bhi achche se nahi utra tha ..

"sone de na "

"dophar ho gayi hai aur sahab ko sona hai , yanha kaam se aaye ho ya daru pine , abhi tak pure sharir se daru ki badbu aa rahi hai , chlo utho.. ynha kand ho gaya hai aur tumhe koi fikra hi nahi hai "

Kand????

"kya hua ?"

"fresh ho kar aa jao bhabhi jaldi bula rahi hai ,ab ki nahi uthe na to pura balti tumhare uper daal dungi "

Neha ne thoda jor de kar kaha, aisa lag raha tha jaise koi apne pati ko utha rahi ho , ye khayal aate hi mere hotho me ek muskan aa gayi ..

"okk janu "

Mane thodi sharart se kaha tha jisse uske hotho me bhi muskan aa gayi

"bade aaye janu wale jaldi aao"

Wo wanha se nikl gayi thi , main bhi taiyar hokar turant bhabhi ke kamre me pahucha , tv on tha aur lagbhag sabhi wahi baithe the..

"tu pagal ho gaye ho kya kaha the rat bhar .(fir apna naak band karti hai ) desi sharab pi kar ghum rahe ho yani ganw gaye the "bhabhi ne mujhe ghura to main jhuth nahi bol paya

"ha bhabhi wo dosto ke sath .."

"tum pagal ho gaye ho kya .. ye dekho ye kya ho gaya hai ganw me "

Maine tv ki or dekha news chal rahi thi ..

"Shiva ke naam se katl karne wali sakti gang ki sadashy aaj pakdi gayi , police ne use uske ghar se tab giraftaar kiya jab usne 3 naye khoon kiye wo bhi apne hi ashiqo ke , ganw walo ke anusar is katil ka naam chanchal hai aur ye apne pati ka ghar chhodkar ganw me raha karti thi , wahi isne ek shadi shuda mard se sambandh banaya aur fir uske ghar me rahne lagi lekin Chanchal ke sambandh Tiwari gang ke 3 gundo se bhi tha , jiske karn us wakti ko usi ke ghar se nikaal kar wo un gundo ke sath rahne lagi thi , lekin kal rat usi shaili me 3no ka katal kar diya jise katal shahar me ho rahe hai .isse police ne ye maan liya hai ki shahar me Tiwari gang se jude hue logo ko marne wali bhi yahi aourat hai ."

New sunkar maine bhabhi, mahima, Neha aur Dr ki or dekha jo ki wahi baithe the ..

"to tumhe kya lagta hai Shiva ki ye Shiva ke naam par khoon kisne kiya hoga , kya tumhe lagta hai ki ye isi aourat ne kiya hai jo tumhare bhai ki rakhail thi ..??"

Dr ne mujhe ankit ya sonu na kahkar Shiva kaha tha jisse main thoda jhep gaya ..

"mujhe kya pata Dr sahab , aise bhi kajal aur Purvi dono ne hi ek chij kahi thi wo tha ki katil koi aourat hai "

Dr na jane kyo meri bat sunkar hasane laga ..

"aourat ha ha aourat hi to hai , aur shayd ab mujhe samjh aane laga hai ki wo aourat koun hai "

Usne ham sabhi ko ghura aur bhabhi ,mere aur mahima ke chahre ka bhaw ek sath badalne laga ....

*********

Sham hote hi mere dost ganw pahuch chuke the , hame ashram se niklne ki sakt manahi thi kyoki bahar ki halat sahi nahi chal rahi thi , ganw me ek katl ho gaya tha shahar se police aur crim branch ke alawa special investigaters ki team bhi aayi thi jisme Purvi aur Vijay bhi the , Tiwari ke gang ke sath sath jiva gang wale bhi kutto ki tarh hame dhundahne me lage the aur is kand ke bad to sabhi ka dhyan ganw par chala gaya tha .

Lekin mere dosto ko koun samjhaye aise bhi ganw ke kai log ashram aate rahte the to ye log bhi aa hi gaye ..

Sath me ek desi daru ki botal bhi thi , ham jangal ke ander ek jharne ke kinare baithe the ..

"salo itane khatre me kyo aa gaye kya pata tumhara bhi pichha ho raha hoga "

"abe tension nahi lene ka ham logo ne pura sefty rakha hai, lekin sala ye bhi kamaal ho gaya kaise , us chutiyo ko maar kar kisine us randi ko fansa diya , mujhe to laga tha ki ye tera kaam hoga sale daru ke nashe me un logo ko pel diya hoga lekin fir pata chala ki koi laundiya ye katl kar rahi hai . baap re bhai Sali kya khatrnaak chij hogi yar wo "

"ha khtrnak to hogi tabhi ye sab kar rahi hai "

Maine apna pag hilate hue kaha

Tabhi mujhe Mary marlo (secetry or Dr chutiya ), aur Neha aate hue dikhe , mary hamesha ki tarf bas ek saree me thi jo uske jism se puri tarh se chipka hua tha , safed rang ki saree me uska youwan jaise jhalak kar bahar ki or aane ko betab tha , aise bhi uske jism ka sabse akarshak ang uske sine me uthe hue wo parwat hi the jispar koi bhi insan chadne ki chah karne lagta ..

Wahi Neha ek sade salwar kamij me thi , mathe me chhoti si bindi uske chahre ko aur hi khubsurat bana rahi thi , bal khule hue lahra rahe the aur dono ke payalo ki khan khan se pura mahol ghunj raha tha ..

Dono ek duje se ek dam alag lag rahe the ek tarf mary kaam ki devi lag rahi thi to Neha prem ki devi ..

"maderchod ye koun hai.."

Kariya ke muh se ye nikalna swabhawik bhi tha ..

"oh ha tum apni bhabhi se milna chah rahe the na ye aa gayi "

Hariya ka to jaise muh hi khula ka khula rah gaya

"ye mere dost hai , aur ye mary ji hai aur ye Neha hai meri dost "

Maine dost par thoda jor diya tha , janha sohan Neha ko dekhkar apne hath jod diya wahi Hariya apna sar gadaye khada tha ..

"abe najar utha ke dekh bhi le apni bhabhi ko "

Is bar maine sidhe hi bhabhi kaha

"nahi bhai hamari najar bhabhi ke charano par hi rahegi bhai main bhabhi ko nahi dekh sakta "

Marry aur Neha ne mujhe ajib nigaho se dekha

"are wo kya hai na ki ganw me bhabhi ka itana samman kiya jata hai ki unka chahra nahi dekha jata " sohan ne muskil se apni hansi chhupate hue kaha tha

"ohh so cute ,tum bahut hi sarif ho Hariya "

Marry ne uske balo ko sahlaya , aur Hariya jaise kanp hi gaya

"nahi bhabhi aap aisa mat kijiye main aapse dur rahu tabhi thik hai "
ab tab mujhe bhi samjh aa chuka tha ki Hariya ne marry ko apni bhabhi samjh liya hai aur isiliye usko nahi dekh raha hai kyoki marry ne pardarshi kapde pahan rakhe the ..

Lekin hamne thoda aur maja leni ki sochi

"to kya hua Hariya dekh teri bhabhi inaam me tujhe kuchh dikhana chahti hai"

"are bhai itana to sab dikha rahi hai aur kya dikhayegi , mujhse ye paap nahi hoga bhai "

"are dekh le kuchh nahi hota shahar me sab chalta hai "

Hariya ne is bar mujhe ghura

"abe mujhe pata tha ki shahar jakar tu badal gaya hai lekin itana badal jayega ye nahi socha tha yaar , are wo hamari bhabhi hai unke jism ke aise ango ko tu khud hi dekhne ke liye kah raha hai .. tu pagla gaya re sonu , chalo sohan chale yaar yanha se ye sala to paap karwayega re "

Ham sabhi joro se hans pade the

"are devar ji ek bar sar utha kar dekh to lijiye ki aapki bhabhi hai koun "

Is bar Neha ne kaha tha , Neha ki awaj sunte hi jaise Hariya ko hosh aaya usne sar utha kar dekha aur bas thodi der tak Neha ke chahre ko dekhta hi raha

"waah aap to sakchhat devi hai ,,itani sunder "

Usne sidha Neha ke charno me apne sar ko rakh diya tha

"are ye kya kar rahe ho " Neha jaise hadbada gayi , wahi mere hotho me muskan aa gayi ..

Ye sala itana masoom aur desi to sirf apna Hariya hi ho sakta hai aise masoom se mujhe apne akki ki bhi yad aa gayi pata nahi wo kya kar raha hoga , ab main aur Neha to tuition nahi jane wale the aur use sus ke sath jana tha ya fir akele
yH5BAEAAAAALAAAAAABAAEAAAIBRAA7


Ynha Hariya ko dekhkar marry khush ho gayi

"tum bahut hi cute ho , aao main tujhe kuch dikhati hu"

Usne Hariya ke galo ko sahlate hue kaha , is bat to jaise Hariya bilkul khood hi gaya , kyoki ab tak sohan ne to ganw ki do teen aourato ki le li thi lekin Hariya ka dhaga abhi tak nahi tuta tha ..

Marry ne use jhadiyo ke tarf ishara kiya , hairya ne badi hi ummid se mujhe dekha aur maine bas use ankh maar diya..
 

[color=rgb(44,]Update 44[/color]
bhabhi mere mobile me rakha wo video dhyan se dekh rahi thi jo maine kal rat me banaya tha ..

main abhi nashe me tha aur apne kamre me aakar baitha tha, bhabhi bhi mere kamre me aa gayi thi sath hi Neha bhi baithi thi, kisi bhabhi ne aise hi mobile uthaya aur bhaiya ka wo video unke samne tha ..

"ye sab kya hai sonu ?"

"kal rat jab unki ye halt dekhi to mujhe bahut bura laga bhabhi , lekin ek khushi bhi hui , is adami ne aapko na sirf ganw se bahar nikala balki aaj pure ganw wale yahi samjhte hai ki ham dono ek sath bhage the, isne hame aur hamare rishte ko bhi badnaam kar diya hai bhabhi , ise to saja milani hi thi "

Ab ye khushi tha ya dukh maderchod kuchh bhi samjh nahi aa raha tha , bhabhi ki ankho se bhi neer(pani) bah rahe the, Neha ne unhe samhala

"jaisa bhi hai mera pati hai ye, maine pyar kiya tha isse .."

Wo fafak kar ro padi thi ..

"jisne aapke sath aisa kiya use bhi bhagwan ne saja de hi di , aur jisne inke sath aisa kiya use bhi "

Neha ne santwana bhare shabdo me kaha ..

"ha ye to hai lekin ek sawal ab mere dimag me aur joro se gunjane laga hai Neha , akhir koun hai jisne Chanchal ko fasaya hai?? "

Neha uski bat se thodi hadbadai

"aapko aisa kyo lagta hai bhabhi "

Neha ki bat sunkar bhabhi bas halke se muskurai aur mujhe dekhane lagi

"ye bat kya tumhe thodi ajib nahi lagti ki ek din achank sonu ko uske bhai is halt me milte hai, aur usi rat Chanchal ye katl kar deti hai .. ager marna hi tha to usi rat kyo ??"

"to aap kya bol rahi ho ki maine use mara hai "

Maine bhi bhabhi ki nigaho se apni nigaho ko mila liya

"mara nahi lekin marwaya to jarur hai , ye koi ittfak nahi ho sakta ki jis din tumhe dukh hota ki tumhare bhai ki halt aisi ho gayi hai usi din wo aourat fans jati hai ."

Unki bat sunkar main thoda hans pada

"kya bhabhi aap bhi "

Lekin bhabhi Gambhir thi

"sonu .. Meri or dekh . bata de .. kam se ham dono se to mat chhupa re .."

Tabhi kamre me mahima (Neha ki maa) bhi aa gai ..

"kon kisse kya chhipa raha hai hai bhai .."
ham sabhi ke chahre Gambhir ho chuke the jise dekhkar wo bhi thoda Gambhir ho gayi

"kya hua ..??"

"wahi hua jo bahut pahle ho jana tha , ek dusare par pura vishwas .." is bar ye bat Dr ne kahi thi wo bhi kamre me aa gaye the ..

"ek dusare par pura vishwash karo aur sab kuch saf saf bata do , ham sabhi ko pata hai ki ye kisne kiya hai lekin bol koi nahi raha hai , jisse bhi komal ka jo bhi rishta hai wo bol de ."

Ham sabhi ek dusare ke chahre ko dekhne lage the wahi Neha bechari bade hi ashchary se hame dekh rahi thi ..

"dekho main komal ko salo se janta hu jab wo sakti hua karti thi tab se , uske kaam karne ka tarika bada hi pechida hai , sonu tumhe nahi pata lekin tumhari bhabhi ko jarur uska game samjh aa gaya hoga , wo hai bhi to uski hi beti na . "

Dr halke se hans diya , ab to main bhi bhabhi ko dhyan se dekhane laga . akhir kya bat wahi thi jo main samjh raha tha ..

"bhabhi .?? Kya jo main soch raha hu wo sach hai "

Badale me bhabhi muskurai

"ha sonu . main bhi kitani pagal hu jo itana nahi samjh paayi lekin is katl se mere dimag me har chij saf ho gayi , meri maa sach me sabki maa hai ham dono ke sath game khel gayi aur ham dono ek sath hote hue bhi use samjh nahi paaye "

Meri ankhe choudi ho gayi

"he bhagwan , main hi chutiya nikal gaya "maine apna sar pakd liya tha lekin main akela nahi tha

"tum akele nahi ho mujhe lag raha hai ki main bhi is game me shamil hu " Neha ki maa mahima ne kaha sabhi uski or dekhne lage aur sabhi ek sath joro se hans pade ..

"lekin usne ye sab kiya kaise " Dr bol pada ..

"jab sabko mere bare me pata chal hi gaya hai to kyo na main hi bata du "

Sabhi ki najar darwaje ki or gayi janha par komal khadi thi , bilkul bhabhi ki copy thi lekin umra ke anter ke karn aaya badlaw saf saf pata chal raha tha ..

"akhir aap aa hi gayi " maine , bhabhi ne , mahima ne ek sath hi bola tha .

Jise sunkar komal ke chahre me muskan khil gayi ..

*************

"to kaha se shuru kiya jaaye "komal ne ham sabhi ko ek najar dekha

Abhi rat ho chuki thi khana khakar ham sabhi k jagh ikaththa hue the , sabhi gol ghera banakar baithe the ..

"shayd jab hamne ganw chhoda tab se kyoki story to wahi se shuru hoti hai na "bhabhi ne apni bat rakhi

"nahi mere khayal se tab se jab main aapse pahli bar mila tha , aur aapko bhabhi samjh liya tha " ye bolkar maine komal ko dekha uske hotho me ek muskan aa gayi ..

"nahi mere khyal se kahani to tab se shuru hui jab jiva aur Tiwari ne milkar Neha ke pita ki hatya ki thi .." mahima ne apne ankho me aaya aansu pochhte hue kaha ..

Sabhi abhi komal ki or hi dekh rahe the tabhi Dr bol pade

"mere khayal se to kahani chikara ganw ke us chhote se gang waar se shuru honi chahiye jisse jiva gang bana aur fir college ka wo election janaha se komal sakti me badal gayi "
ham sabhi ke liye ye bat bilkul nayi thi ham sabhi ye kahani sunna chahte the isliye sabhi ne ek sath haa me sar hilaya ..

"hummm to mujhe shuru se shuru karna hoga , thik hai to suno .."

Usne ek gahri sans chhodi .

(note-dosto yanha se story komal ke POV se chalegi , koshis karunga ki komal ki story jyda samay na le kuchh updates me complete ho jaaye )
 

[color=rgb(44,]Update 45[/color]
Flashback start ..

Main jiva aur sampat ek sath hi bade hue the , main ek sidhi sadhi si padhne wali lakdi thi wahi sampat aur jiva ko paise se bahut pyar tha , aur paiso ke liye hi wo utputang kaam kiya karte the ,unke liye meri padhai likhai mahaj timepaas hi thi , aise bhi wo bechare karte bhi to kya karte , maa baap ka saya bachapn me hi hamare uper se chhut gaya tha , aur isi gurbat(garibi) ne sampat se hamara rishta majboot kiya tha , wo bhi hamare paas wali jugghi me rahata tha, wo bhi anath aur ham bhi aur shayad isiliye usne jiva ko hi apana pariwar maan liya kyoki jiva hi use bhi khana khilata tha ..

isi silsile me wo maar pit karne lage , jiva aur sampat the to dost lekin bhai se badhakar the ..

Samay bitata gaya aur ham bade hote gaye , na to jiva ne padhai ki aur naa hi sampat ne lekin mujhe padhna tha , mujhe in chutiyo ke chochalo me nahi padna tha..

Maine apni padhai jaari rakhi ..

Wo samay aisa ho chala tha ki hamara ganw ganje ki taskari ka adda ban gaya tha , aaye din isi bat ke liye maar pit hua karti thi aur ganje ke wyapaar me do hi log the

Ek tha jiva aur dusara tha pathan gang ka Saleem ..

Us samay pathan gang ka har jagah bahut hi roub tha aur sabhi lawando ko bas kareem bhai banna tha..

Kareem bhai yani ki kareem pathan , pathan gang ka boss jo ki shahar me rahkar sab kuchh chalata tha , sabhi chhokare logo ka wo role model tha .

Jiva ko bhi don banna tha lekin kareem jaisa nahi usse bhi bada , uske pas us time koi gang nahi thi lekin jigar tha ..

Saleem aur jiva ke aaye din ladai jhagade hote rahte the , Saleem, jiva ko kareem ke naam se daraane ki koshis bhi karta tha lekin jiva kisi ki sunta tab na .

Ek din jab ham khana khane baithe the .

"abe to Saleem hamare ladko ko dhamka raha hai , sala pathan gang ka rob dikha kar hamare ladko ko darata rahta hai "
sampat thoda gusse me dikh raha tha jaisa wo hamesha hi hota tha .

"tension nahi lene ka us maderchod ko to ek din mouka dekhkar uda dena hai "

Jiva ne bhi swabhawik roop se kaha tha

"salo tum log kaise bhai ho, jawan bahan baithi hui hai aur tum log aise galiya de rahe ho sharm nahi aati kya "

Main aise is bat par roj hi chillaya karti thi lekin fark kise padta tha, wo dono bas besharmo jaise hans pade the ..

tabhi achanak ..

dhaay..

ek tej goli aakr sidhe jiva ke glass me lagi ..

ham sabhi jhuk gaye the , samjh aa chuka tha ki hamla hua hai .

jiva ne mere hatho me ek pistol thama di

"main iska kya karungi "
main chouk gayi thi

"rakho wakqt pade to chalna "

Jiva itana bolkar wanha se nikal gaya , goliya chali aur jiva aur sampat bhi ghayal hue lekin akhir me jiva ne pure bajaar ke samne saleem ka gala kaat diya tha ...

Saleem ka gala kat kar chourahe par tang diya gaya . ye sidhe sidhe declaration tha ki ab se wanha bas ek hi don tha , jiva bhai ..

Aur ek hi gang tha jiva gang ....

Lekin in sabse pathan boukhla gaya tha , lekin sahyd uski is jagh se duri aur apne sabhi wafadaaro ke katl ke karn uska is jagh se control kho gaya , aur jiva ki kismat bhi uspar maherbaan thi , Saleem ke sabhi log ab jiva ke sath aa gaye the , ganje ke sath sath jameen aur pistol ka kaam bhi chal pada tha , sab ko paise jane lage the isliye ab kareem ke khas sarkari log bhi jiva ke khilaf koi action nahi le rahe the ..

Sab kuchh badiya chal raha tha tabhi mera selection college ke liye hua , jiva ko mujhse koi matlab nahi tha ki main kya kar rahi hu , college shahar me tha to pahla sawal ye aaya ki main shahar kaise jaungi .

Ab jiva to meri madad karne se raha aise bhi use mera padhna pasand bhi nahi aata tha , tab mujhe shahar le jane ki jimmedari li mere bachpan ke dost Bhuwan ne ..

"baba ne ". arati bhabhi achank se bol uthi

"ha beta tumahre baba ne " itana bolkar kar komal ne wanha baithe Bhuwan ki or dekha jo ki halke halke muskura raha tha ..

Story fir se shuru ..

Bhuwan aur main bhi bachpan se dost the , Bhuwan hamesha se ek sidha sadha ladka tha , janha ganw ke sabhi log ganje aur bandukh me wyast the wahi main kitabo me aur Bhuwan mujhme (wo halke se hansati hai )..

Mujhe pata tha ki Bhuwan mujhe pasand karta hai lekin maine use hamesha hi apna dost hi samjha tha , wo meri har chij me madad karta tha , mere har faisale me mere sath khada hota , aaj bhi mere sath hi hai jabki sabhi mujhe chhod kar chale gaye ..

(komal ne Bhuwan ko bade hi pyar se dekha aur fir sar jhatkkar fir se bolne lagi )

To ha ham college pahuche , aur pahle hi din kuchh ladke mujhe gher kar meri raking lene lage .

"ye chhamiya naam kya hai re tera "

Ek ladka ne bade hi battmiji se puchha ..

"tamij se bat karo " us ladke ki bat sunkar Bhuwan ko gussa aa gaya tha , lekin wo log lagbhag 10-15 ki sankhya me the wahi ham bas 2 , aur bhi ladke aur ladkiya wanha moujud the lekin sabhi apni najre jhukaye hue khade the ..

"maderchod hame ankhe dikhata hai janta nahi kya ham Kareem bhai ke ladke hai , aur ynha tumhare senior "

Kareem ka naam sunkr dimag hi hil gaya tha , ye ganw nahi tha aur ager kisi ko pata chal gaya ki main jiva ki bahan hu to pata nahi Kareem hamare sath kya karega , maine Bhuwan ka hath badaya aur ankho se hi samjhaya ki chup rahe ..bhuwan chup ho chuka tha ..

"Kareem bhai ka naam sunkar dekho sala kaise dubak gaya "

Sabhi joro se hanse

"bhai kya mast maal hai yaar , ager ise dikhane me itana lajij hai to kahne me kaisa hoga " usi group ke ek ladke ne dant dikhate hue kaha sabhi log hansne lage aur sabhi ki najar mujhpar hi tik gayi thi , main un logo ki hawasi najaro ko apne jism ke har kataaw ko ghoorate hue mahsoos kar sakti thi ..

Wo bhukhe bhediyo jaise mujhe dekh kar apne laar tapka rahe the , jivan me pahli bat mujhe itana dar lag raha tha mujhe aisa lag raha tha jaise je log ankho se hi mera balatkar kar denge ,

Aaj mujhe ahsaas hua tha ki mard na sirf jism se balki aapni najro se bhi ek ladki ko nanga kar deta hai ..

Unki najre mujhe chubhane lagi thi ..

"bhai ye kachchi kali lag rahi hai dekho to kaise machal rahi hai , abhi to ise chhuwa bhi nahi hai aur aise sharma rahi hai , jab is nangi karke ragadenge tab to maja hi aa jayega "

Sabhi kutte fir se hasane lage the ..

"bas bahut hua , ek ladki se bat karne ki tamij nahi hai kya tumhe "

Bhuwan gusse se lal ho chuka tha, maine joro se uska hath dabaya tha lekin main janti thi ki ye log bhi apne had se bad rahe the aur kisi bhi sachche mard ke liye ek ladki ke bare me itna sunna sahan sakti se bahar hi hota hai ..

Ha sachcha mard wahi hota hai jo aourat ki ijjat kare aur uske ijjat ki raksha kare na ki wo jo kisi aourat ki ijjat ko uchhalta ho ..

"maderchod hame sikhayega tu ki kaise bat karte hai, abhi teri item ko pure college ke samne nanga karke pel denge na to bhi tu kuchh nahi kar payega "

Ek ladka samne bad kar Bhuwan ke collar ko pakdne laga , tabhi Bhuwan bhi gusse bhi fut gaya

"maderchod ise nanga karega teri maa ki "

Bhuwan ne ek ghusha ladke ke muh me maar diya tha , sabhi log hastprad the , jaise samy ruk sa gaya ho , sabhi naye ladke aur ladkiya hame hi dhyan se dekh rahe the unke sath sath aur bhi log rukkar hame hi dekh rahe the ..

Bhuwan ka ghusa lagne par us ladke ki halt wahi hui jo aksar namardo ki hoti hai , usne apne dosto se Bhuwan ko marne ke liye kaha . wo bhoukhla gaya tha ..

Bhuwan bhi apne position me aa gaya tha lekin ek akela insan akhir kitno se lad pata , kuchh hi der me uske uper kabu kar liya gaya tha uske hath pairo ko logo ne pakd liya tha aur use buri tarh se maar rahe the ..

Mere samne ye sab ho raha tha, mere karan mera dost maar kha raha tha aur main bas chup chap dekh rahi thi . achank Bhuwan ki ankhe meri ankho se mili jaise wo kah raha ho ki jab tak main jinda hu main ladta rahunga ..

Aur wahi wo pal tha jab mere ander kuch ho gaya .

Mere hath wanha gaye janha maine socha bhi nahi tha , mere bag me abhi bhi jiva ka diya wo pistol tha maine pistol nikaal liya aur sidhe un logo par taan diya.

"chhodo ise warna "

Main joro se chillai thi

Sabhi ki najare mere hi uper thi

"Sali hame pistol dikhati hai "

Unme se ek chillaya aur do teen logo ne apne apne jebo se pistol nikaal li , mere hath trigger par ja chuke the ,

Dhay dhaay dhaay ..

Hawa me teen goliya udne lagi thi ,, na jane ye goliya kiske kismat me thi ..

Ek ke kandhe me ye ja ghusi, to 2 goliya bas logo ke aaju baju se hi nikal gayi thi ..

Maine jivan me pahli bar bandukh chalayi thi , mujhe nahi pata tha ki mera nishana kya hai .

Main bas murti ke jaise khadi thi ki..

"maderchod ne goli chala di ,maro Sali ko "

Lagbhag 4-5 bandukho ki nok meri or ho chuke the , dhaay dhaay dhaay ..

Hawao me goliyo ki awaaj gunj gayi thi , main abhi bhi murti ke jaise jami hui khadi thi ki ..

Kisi ne mujhe dhakka dekar niche gira diya tha , aur bhi goliya chali ..

"Tiwari nikal ja ynha se ye tera mamla nahi hai .."

"ye mera college hai , aur yanha ka har mamala mera mamla hai . ager Kareem bhai ko pata chala ki tum log college me ye sab kar rahe the to socho tumhara kya hal hoga ."

Us shakhs ki bato se wo log jaise shant ho gaye

"lekin is Sali ne .."
"tunme battmiji ki thi . ab mamla yahi khatm karo , main isme police aur Kareem bhai ko involve nahi karna chahta "

"thik hai aaj to bach gaye lekin Sali ager kabhi akeli mili na to pure sharir ka gosht noch lenge "
wo log wanha se nikl gaye the ..

Ye wahi shakhs tha jisne mujhe dhakel kar meri jaan bachai thi , wo ek lamba chouda , gore rang ka shakhs tha .. mathe par ek tilak laga hua tha jo uske gore rang me aur bhi khil raha tha ..

Gale me ek dupptta aur kurta aur jeans pahne hue ye koi neta jaise lag raha tha ..

"tum log to bade hi bahadur nikale , akele hi in logo se bheed gaye , ganimat hai ki main aa gaya warna "

Hamari ankhe mili aur jaise kuchh ho gaya , ye ahsaas jivan me pahali bar hua tha , jaise pure sharir me ek current si doud gayi thi ..main ab bhi murti ki tarh khadi hui uske un gulabi hotho do dekh rahi thi jinse itane pyare shabd nikal rahe the ..

Uski wo badi badi ankhe , main na jane kyo sharma si gayi thi ..

"hello .."

Usne mujhe thoda sa hilaya

Aur jaise main kisi sapne se jaagi

"ji ji .. thanks aapne hame bacha liya "
"thanks wali kya bat hai , aise main is college ka hone wala president hu , daya sankar Tiwari , aap logo ka pahla din hai ??"
usne apna hath badhaya aur bhuwan aur maine usse hath milaya .. uski ankhe bhi bar bar meri or hi jaa rahi thi ..

Ham thodi der tak bat kiye , pata chala ki college me election hone wala hai aur daya sanaker bhi ek candidate hai ..

Lekin to tagda candidate hai wo wanha ke MLA ka beta hai , ynha majedar bat ye thi ki dono hi Kareem se support me the ..

Kareem ne dono ko hi kah diya tha ki apne level me kaam karo ..

Kareem ka naam yanha aise tha jaise wo koi bhagwan ho, uski permission ke bina ynha koi bhi kuchh nahi kar sakta tha ..

"to tumhare liye to badi muskil hogi " Bhuwan ne Tiwari se kaha

"ha muskil to hai , uska baap MLA hai aur uske pas paise bhi bahut hai , ladke bhi aise hai jo maar kaat kar sake . power paisa dono hai uske paas .. aur mere paas hai sirf mera housala .. bina kisi support ke itna aage bad gaya ki to aage bhi kar hi lunga , kuchh ladke hai mere pas aur sath me Kareem bhai se permission bhi le li hai chunaw ladne ki "

Daya ki har bat mujhe aur bhi impress kar rahi thi , wo sirf handsome hi nahi tha uske ander humour bhi tha , kuchh karne ka jasba uske ankho me dikhai deta tha , uske chahre me ek tej tha , wo intelligent tha bilkul sharp . kul milakar mujhe wo pasand tha .. pahli hi mulakat me usne mujhe itana impress kar diya tha jitana abhi tak koi nahi kar paya tha ...

"aise tum log meri party join kar rahe ho na "
usne akhir me kaha

"ha bilkul " Bhuwan aur mere muh se ek sath nikla tha ..

Chije badi hi simple lag rahi thi lekin mujhe kya pata tha ki ye mulakat aur wo ladko se mera lad jana aage kitana bada tandaw karne wala tha ....

Dusre din jab ham college pahuche to waha par bheeg lagi hui thi janha par hamari ladai hui thi ..

Kai lashe rassiyo ke jariye chhat se bandh di gayi thi , unka khoon niche tapak raha tha , jamin par khoon failane laga tha , police wale bhi apne naak me rumaal rakhe the, jo bhi kamjor dil ka insan use dekhta wo ulti kar dalta ..

Jab maine unhe dekha to meri bhi sanse ruk si gayi ..

Wo log wahi the jinke sath kal hamara jhagada hua tha ..
 

[color=rgb(44,]Update 46[/color]
Police puchhtaj kar rahi thi sath hi Kareem bhi wanha aane wala tha .

Uske ladko ko kisi ne itani berahmi se maara tha ki ye har jagah charcha ka vishay ban chuka tha ..

Daya sankar bhi mouke par pahuch chuka tha ,

"tum dono jitani jaldi ho sake yanha se gayab ho jaao "

Tiwari ne hame dekhte hue kaha

"lekin kyo hamne to kuch nahi kiya hai "
mujhe samjh nahi aa raha tha ki akhir wo hame kyo gayab hone ke liye bol raha hai ,

"tum samjh nahi rahi ho , Kareem shaitan hai .. aur ye uske hi log the , inko itani berahmi se mara gaya hai ki wo boukhla hi gaya hoga, isse pahle ki use pata chale ki kal tum logo ka in logo se jhagda hua hai tum log nikl jaao "

"lekin yaar jab hamne kuchh kiya hi nahi to .."main fir se kuchh bolne wali ki daya ne mera hath pakadkar mujhe kone me khicha sath sath Bhuwan bhi aa gaya

"tum samjh kyo nahi rahi ho Kareem ko to bas bahana mil jayega "

"kis bat ka " is bat Bhuwan ne kaha tha

"wo sala bahut hi tharki type ka insan hai , tumhe dekhte hi laar tapkane lagega , aur jab use pata chalega ki kal in logo ka tumse jhagda hua tha to use bahana mil jayega tumhe pareshan kane ka "

Daya ke man me mere liye itani chinta dekh kar mujhe sach me achcha laga .

"ha komal ye sahi bol raha hai , maine bhi Kareem ke bare me bahut suna hai "
Bhuwan bhi chinta me pad gaya tha , daya ne hame college se bahar kahi jane ke liye kaha lekin ham dono college me hi uper ki ek class me chhip gaye the janha se bahar ka najara saf saf dikhta tha , wo aisi jagah thi janha se ham jab chahe tab bahar bhi bhag sakte the ..

Thode der me Kareem aaya bahut gali galoch waigerh hue , hamare bare me bhi kisi ne bata diya , usne police ke samane hi hame maar dalne ki bat bhi kah di aur pistol nikaal kar hawai fire bhi kar diya , mujhe samjh aa gaya tha ki mere padhne ka sapna ab sapna hi rah jayega aise mahol hone ke bad main fir se kabhi college nahi aa paungi .

Ye sochte sochte hi mere ankho me aansu aa rahe the tabhi maine jo dekha use dekhkar meri halt hi kharaab ho gayi ..

'dham dham dhadm dhaiya re sabse bade ladaiya re omkara ..'

Ye gana sunkar main aur Bhuwan dono hi chouk gaye the , choukane ka karn bhi tha ye gana jiva aur sampat ka fav tha aur wo apni jeep me ise full aawaj me chalakar ghuma karte the , aur ye kya wo log sach me idhar hi aa rahe the .

Unki jeep college me aakr ruki sath me unke chelo ki puri ki puri toli bhi utar gayi sabhi ke hatho me bade bade bandukh the ..

Sabhi log ankhe fade hue unhe hi dekh rahe the sath hi kamre me khade ham log bhi ..

"didi jiva bhaiya aapko bulaye hai "

Hamre kamre ke bahar khade ek ladke ne kaha , wo hamare hi ganw ka tha ..

Maine aur Bhuwan ne ek dusare ko dekha ..

"ho gaya satyanash "Bhuwan ke hotho se nikl gaya tha ..

"Kareem bhai . ye ladke meri bahan ko chhed rahe the isliye in logo ka ye haal kar diya, fir se koi najar utha kar dekhega to uski bhi ankhe nikaal lunga chahe wo kisi ka bhi adami ho "
jiva ke aadami Kareem ke sabhi logo ko gher kar khade the .

"jiva. to tu hi jiva hai .. sale shahar aakr badi galti kar di tune "

Main aur Bhuwan bhi niche jiva aur sampat ke sath khade hue the , sab ko samjh aa chuka tha ki majra kya hai , aise bhi jiva ko shahar me apni dhaak jamani thi aur uske liye sale ne mere college life ki kurbani de di ..

Main janti thi ki un logo ko kitni berahmi se marne ka karn sirf bahan ka pyar nahi hai balki Kareem ko uske ghar me ghuskar challenge dena hai, taki sabke hotho par jiva ka naam aa jaaye ..

"jaise apne ganw se tera dhandha ukhada hai waise hi ynha se bhi tujhe ukhad dunga Kareem "

Jiva ke hotho me muskan aa gayi thi , Kareem aisi halat me the ki wo kuchh nahi kar sakta tha , police wale bhi bas khade hue dekh rahe the shayd jiva ne paisa aur bandukh dono se unhe chup karwa diya tha .

"tune apni bahan ko mere najar me lakar achcha kiya jiva "

Kareem ki ankho me maine ek kamine pan ko dekh liya tha, uski lalchaai ankhe mere pure badan ko ghur rahi thi ..

Tabhi ..

"aaaaaaaaaaa"

Ek chikh se pura mahol hi gunj gaya ..

Kareem ke aisa bolte hi sampat ne Kareem ke ek adami jo uski bat par hans raha tha uske pet me aadhi talwar ghusa di , Kareem gusse me apne pistol par hath ko bandha lekin agale hi pal uske kanpatti me bandukh tika di gayi thi , Kareem ne apne gusse ka ghoot pi liya ..

"ye tujhe bahut bhari padega jiva .."

Kareem ne apne danto ko kasate hue kaha

"halki chijo ka souk bhi nahi hai Kareem "

Jiva ki bat sunkar uske sabhi ladke hans pade the .. Kareem ke jate hi jiva ke ladko ne hawai fairing shuru kar di ..

Baki ke log bas kisi murti ki tarah khade rah gaye , ab to in logo ko in sabhi chijo ki aadat si hi ho gayi thi , law and order ke naam par kuchh bacha hi nahi tha ,, corruption aur dar ka mahol tha , jo paiso se nahi bikta use pistol ke dam par kaabu me laaya jata tha ..

Ye mahol Kareem ne hi banaya tha ki uske khilaf koi awaj nahi utha sakta tha lekin aaj uska pura upyog jiva kar raha tha , sabhi ko pata tha ki jiva ne apne pure ilake me Kareem ki aisi ki taisi kar rakhi hai , isliye log uska sahyog bhi kar rahe the kyoki do gang ki ladai me bahuto ka fayada hota hai ..

Ek competition ho to logo ko daam bhi sahi milta hai aur pratiyogita to paida ho hi chuki thi ..

Ladke jiva bhaiya ki jai sampat bhaiya ki jai ke naare laga rahe the , tabhi daya bhi doudat hua aa gaya aur jiva ke pair chhu liye ..

"are tum koun ho .."

"are bhaiya ye wahi hai jisne kal komal didi ki madad ki thi "mere ganw wala ladka bol pada ab mujhe samjh aa gaya tha ki akhir jiva ko in sabke bare me isi chutiye ne bataya tha ..

"oh achcha neta ji "

Jiva ne daya ki pith thapthapai

"are kaha bhaiya , ham to bas abhi chunaaw me khade ho rahe hai , main chahta hu ki mera support aap karo "

Daya sankar ki bat sunakr jiva ne use thoda ghura

"kyo bhai .."

"kyoki bhaiya hamare opposition ka sath Kareem bhai de rahe hai "

Jiva ne ek bar sampat ko dekha

"abse Kareem , Kareem hai na ki Kareem bhai ..aur tu lad chunaw sala pistol aur ganje se pura college ko bhar denge . jo samne aaye thukwa denge , Kareem ki maa chodani hai har jagah .. ab se bas ek hi bhai hoga jiva bhai .samjha chhote "

Daya sankar aise khus hua jaise sale ko koi vardaan mil gaya ho ..

"bilkul bhai ab to aapke hi naam ka danka bajega "

Tiwari ki najr mujhpar padi , lekin main uski is harkat se bahut gusse me thi , main nahi chahti thi ki jiva ab is college me bhi apna utpaat machaye .. mera bigda hua chahra dekh kar jiva ne mere galo ko pakadkar hilaaya

"ab meri pyari bahan ke pure college me bas jiva bhai ka naam hoga "

Uski ankho me sharart thi aur wo mujhe chidha raha tha.. main muh banakar Bhuwan ka hath pakdkar wanha se nikal gayi aur jiva aur sampat joro se hans pade the ....

******

"yaar ganw me to jina haram kar hi rakha tha ab ynha bhi sar me baitha kar nachenge , college ko pura barbad kar denge ye log, ab roj bas maar kaat aur ganje baji hogi ynha padai to bhool hi jaao "

Main buri tarh se upset thi , Bhuwan ko to kuchh fark hi nahi padta jo main bolti wo bas usi me sar hila deta tha ..

"aise bhi ye college pahle se hi barbad tha dekhi na kal ki ladkiyo se sale kaise bat kar rahe the , dadagiri to pahle bhi thi aur neta giri bhi . wo sala Tiwari kaisa dal badalu adami hai , kal tak to Kareem bhai Kareem bhai bol raha tha aaj jiva ke side aa gaya "

Bhuwan ne bhi gusse me kaha

"ha yaar lekin ab is college me bas gang waar type ki chije hone lagengi aur sabse jyda ghata to mujhe hai na Kareem ke adamiyo ka hamesha khatra rahega . aur jiva ke log bhi hamesha najar rakhenge . jindagi nark bana ke rakhi hai salo ne "

Meri bat sunkar bhuwan thoda hansa

"main pareshan aur tu hans raha hai "
"are to kya karu .. mere dimag me ek bat aayi isliye hansi aa gayi .."

"achcha kya ??"

"tu gusse me badi pyari lagti hai"

Bhuwan ki bat sunkar main muskura uthi thi , kabhi kabhi to lagta tha ki ise apna hi lu lekin fir lagta ki ham achche dost hi achche hai .

Maine uske galo me halki si chapat laga di

"tumhe kya lagta hai ki koun jitega , "

Mere man me ek sandeh aa gaya tha .

Meri bat sunkar Bhuwan muskuraya

"jiske sath tum ho wo hi jitega "

Maine use gusse se dekha

"wah .. main kisi ke sath nahi hu "
wo hans pada

"tum to aise bol rahi ho jaise ki jiva ke uper koi musibat aa jaye to tum pichhe hat jaogi.. abhi tak jiva ko tumhari jarurat nahi padi lekin mujhe pata hai ki aage padegi aur tum uski madad bhi karogi ."

Maine ek bar Bhuwan ko ghura , kya sach me aisa tha .

"mujhe nahi lagta ki main jiva ki madad karungi ya aisa kuchh kaam bhi karungi .."

"mujhe itana to pata hai ki ager uske uper koi afaat aayi to tum uski help jarur karogi "

"ab wo mera bhai jo hai "

Main khidkhi se bahar dekhne lagi thi.

Mahol badal raha tha college ka chunaw aisa hota hai maine socha bhi nahi tha , paise bahaye ja rahe the ,talware aur bandukhe chal rahi thi .. lekin fir bhi padhai chal rahi thi , sab kuchh apne apne jagah par tha , sampurn balance ki stithi .. ke sath ..

Tabhi ek din daya sankar mere paas aaya ..

Bato hi bato me usne mujhse kaha

"tum hamari party ki tarf se chunaw kyo nahi ladati ..??"
"tumhari party ?? tum to jiva ke hatho ki katputali ban gaye ho "
meri bat sunkar usne ek bar mujhe ghura

"tum jiva bhai se nafrat kyo karti ho "

"bat nafrat ki nahi hai , wo mera bhai hai aur main usse nafrat nahi karti lekin bat wasoolo ki bhi to hai , aise kisi ko bhi maar dena , apna varchasw failane ke liye kisi ki fikra na karna .. ye sab kaha tak sahi hai .."

"yaar sabka apna kaam hota hai , aur jiva bhai ka kaam hi yahi hai to wo kya kare , apna kaam to imandari se pura kar rahe hai na "

Maine daya ko ek bar ghur kar dekha

"achcha aur tumhara kaam kya hai , logo ke jute chatana , kabhi Kareem ke chatate the aur ab jiva ke "

Meri bat sunkar Bhuwan sakte me aa gaya tha , usne mere hatho ko joro se dabaya lekin jise bura manna tha wo bilkul bhi bura nahi maan raha tha , Tiwari ke chahre par koi bhi gusse wala bhaw nahi aaya balki wo bas muskura raha tha ...

"ye power ka game hai komal , mujhe politics me aana hai aur jo bhi mujhse powerful hai aur aage badha sakta hai main uske sath ho jaunga , ager dhokha dena pade to dhokha bhi dunga , yahi rajneeti hai yahi siyasat ke daw pench hai .."

Uski is bat se mera gussa aur bhi tej ho gaya tha , main use pasand karti thi lekin uski in harkato se mujhe bahut hi chhid hoti thi

"to kya tum unke kutte ban jaoge "

Wo joro se hansa

"tumhe lag raha hai ki main unka kutta ban gaya, yahi soch logo ko aage badhane nahi deti tum ye nahi dekh rahi ho ki power milne ke bad main jiva aur Kareem dono se hi jyda powerful ho sakta hu ...

Neta banne ke liye gunde bas sidahi ki tarh hote hai , ek bar jo power me aa gaya uske samne fir Kareem aur jiva jaise gundo ki koi aoukat nahi hoti , lekin fir bhi neta log inhe paal kar rakhte hai , abhi main tumhe inka kutta lag raha hu na , dekhna ek din ye mere kutte ki tarh honge ."

Daya ki ankho me koi bat to thi jisne mujhe uski bato ki sachchaai aur dridata ka ahsaas dilaya tha ..

Main stabdh bas uske Tejaswi chahre ko dekhe ja rahi thi

"aur komal gunda hona se jyda mehnat neta hone me lagti hai , bahut dimag ka kaam hai .. aur isliye main chahta hu ki isme tum mera sath do , power ki bat hi alag hoti hai "
uski bat sunkar main jaise impress hi ho gayi thi ..

"mujhe bhi power chahiye lekin IAS bankar "

Wo joro se hansa

"ager mantri ban jaogi na to kai IAS tumhare niche kaam karenge "

"ha lekin sirf 5 salo ke liye .. lekin IAS to jivan bhar ke liye hota hai "

Wo fir se hansa

"tumne abhi duniya dekhi nahi hai isliye aisa bol rahi ho , ynha sab bhrast ho jaate hi aur ek bar jisne apni imandari chhodi ya galti se bhi koi galt kaam kiya to fir IAS ki power bas netao ka khilouna bankar hi rah jata hai . IAS ki ek galti ko jivan bhar ke liye uske khilaf use kiya jata hai , unhe itana majboor kar diya jata hai ki wo apne power ka use hi nahi kar pate aur karte hai to bas netao ke ishare par .

Aur ek neta jivan bhar ke liye neta hota hai , ye sabhi jante hai ki aaj bhale hi koi satta me naa ho lekin kal ko ho sakta hai .. isliye kisi par hath lagane se pahle 10 bar sochna padata hai "

Tiwari ki bato se mujhe aisa laga jaise mera koi sapna kanch sa tut gaya ho .. maine IAS Adhikari ke bare me jo bhi suna aur dekha tha ynha sab kuchh tutata hua dikh raha tha , mujhe kisi ne unke kamjor paksh ke bare me nahi bataya tha , sab bas yahi bola karte the ki ek bar IAS ban jaye to life ban jaati hai ya fir itana power mil jata hai ki aap hi bhagwan ho ..

Lekin ha ye bhi ek kala paksh tha jise sabhi ignore kar jaate hai , asal me sabhi chijo ka ek back door bhi hota hai ..

"ha lekin wo itane bhi kamjor nahi hote jitana tum samjh rahe ho "

Maine antim bar preayas kiya

"ha main manta hu , lekin wo itane powerful bhi nahi hote jitana tum sochti ho "

Daya hans pada , aur main mano nervous ho gayi

"dekho komal ye ek bahas hai ki kon jyada powerful hota hai , yad rakho ki koi puri tarh se sahi nahi ho sakta , sabhi ke uper koi na koi condition to hoti hi hai jo kisi khas paristhiti me logo ko power pradaan karti hai aur kisi khas paristhiti me logo ko kamjor kar deti hai.. to sab bate abhi dimag se nikaal do ..

Tumhe jo karna hai wo karna lekin kam se kam abhi to mera sath do .. samjh lo ki mujhe tumhari jaroorat hai "

Maine uske chahre ko dekha , uske pas bat karne ka ek salika tha , usne aise kaha tha ki sach me mere bina uska koi kaam nahi ho payega , mujhe pata tha ki wo jhuth tha lekin fir bhi uska ye jhuth bhi bada hi mitha tha ..

Usne bolna jaari rakha

"komal tum mere party se aur kisi bhi party se akeli ladies candidate hogi , to ladkiyo ka vote hamere taraf khichane me madad milegi "

Main uski bat sunkar chouki

"to kya dusari party ki tarf se koi bhi ladki khadi nahi hui hai "

Daya ne ek gahri sans li

"ynha ki politics itani kharab hai ki koi bhi ladki isme fasana nahi chahti , ya ghar wale hi mana kar dete hai . hamare samne walo ke pas itna dimag bhi nahi hai ki kisi ladki ko khada karne ki bhi soche , unhe to lagta hai ki chaunaw bas paise aur takat ke bal par hi jiti jati hai . ye ek achha badlaw hoga aur aise bhi tum chahe jo bhi bano maksad to ek hi hai na ..

Badlaaw...."


Uski bat sunkar mano mera dimag hi khul gaya tha , maine bas sar hilakar use sahmati de di ..
 

[color=rgb(44,]Update 47[/color]
Chunaw apne pure joro par tha, mujhe bhi ek post ke liye khada karwaya gaya tha sach puchho to samajik kaam karne ka maja bhi alag hi hota hai , mano ek nasha sa ho .

Main roj hi 100 se jyda ladkiyo se mil rahi thi bahuto ki samasya sun rahi thi aur unhe bharosha dila rahi thi , adhikter ladkiyo ki takleef yahi thi ki gunde unhe pareshan karte hai..

Maine saf kah diya tha ki ager main jiti aur daya sanker Tiwari president bana to pahla action inhi par hoga , ladkiya meri bat maan bhi rahi thi kyoki unhe pata tha ki main bhi ek gangster ki bahan hu aur chhote mote gundo ki to bas mujhe dekh kar hi fat jaati thi ..

Idhr dusari party bhi pura dam laga rahi thi , mahila candidate ka naa hone ka gam ab unhe sata raha tha , kyoki wo ladko ko full daru party dete the aur wahi ladke dusare din party badalte hue dekhe jate the .

Dusari tarf se khud MLA tak apne bete ko jitane me laga hua tha, ye naa sirf uska balki Kareem ki ijjat ka bhi sawal tha ..

Kabhi bhi maar pit shuru ho jati thi , MLA ne apana political rutba dikha kar jiva ke bahut se logo ko aur daya ke bahut se dosto ko bhi ander karwa diya tha lekin fir khud jiva police station jakar unhe chhudwata ,,

Jaise jaise chunaw paas aa raha tha rajneeti ka asali rang dikhana shuru ho raha tha , wo gandi se aur bhi gandi hote ja rahi thi , candidates ko dhamkane se lekar kidnapping tak sab chalu tha, daya sankar , bhuwan aur sampat har samay college aur hostels me hi pade rahte the ,meri surksha ka intjaam aise kiya gaya tha jaise main koi maharani hu
kinnu2.gif


Hame tutta hua na dekhkar Kareem aur MLA dono hi bhadke hue the ,khatra har samay bad raha tha, election me bas do hi din bacha tha ki....

"komal tum aaj yanhi ruk jaao fir ganw jaogi aur fir kal wapas aaogi , aise bhi kaam bahut hai aur bhuwan bhi yanhi rukega "

Rat hone wali thi aur daya sankar mujhe samjha raha tha, ab ham dono ke bich achchi dosti si ho gayi thi , aise akarshan to dono ke man me tha lekin kaam ki adhikta ke karn kabhi hamari bhawnaye bahar nahi aa pa rahi thi ,wahi bhuwan bhi ab college me achche se ram gaya tha use bhi maja aa rah tha ..

"nahi yaar itane ladko ke bich kaha soungi "

Maine use ankhe dikhate hua kaha

"are pagal tere liye girls hostel me ek kamra khali karwa dete hai "

"nahi yaar jiva bhai bhi akela hoga , kya bhuwan sach me ruk raha hai ??"

Tiwari ne bhuwan ko dekha ..

Aur hath hilaya , bhuwan bhi pas aa chuka tha ..

"nahi matlab nahi dekh rahi hai ki rat hone wali hai main tujhe nahi jane dunga "

Bhuwan ne sunte hi pratikar kiya tha

"are yaar car se ja rahi hu aur ye ladke bhi to ja rahe hai sath me "

Bhuwan ne ek bar un ladko ko dekha mujhe ganw chhodne ke liye Tiwari ne 2 ladko ko niyukt kiya tha

"uuu nahi , chal main chalta hu sath "

Bhuwan ki bat sunkar daya sankar ka muh thoda utar gaya

"yaar bhuwan bahut kaam hai .."

"komal se jyda jaruri kya kaam hai "

Bhuwan ki bato ka to Tiwari ke pas koi bhi jawab nahi tha , bhuwan ki bat sunkar mere bhi hotho me muskan aa gayi thi , aise hi nahi wo mera best friend tha , mere bhaiyo se jyada khyal to ye mera rakhta tha ..

"yaar komal ruk ja na bahut kaam hai aise bhi wanha ja kar kya karegi " Tiwari ne ek akhari bar jaise mujhe roka .

Maine bhuwan ki or dekha

"teri marji hai main kuchh nahi bolunga , aise sampat bhi rat ko yahi aa jayega, aur jana hai to bata main sath chalunaga "

Bhwuan ne puri bat mere uper daal di thi

"sach puchho to isiliye nahi rukana chahti , sampat bhi aayega fir tum log to pi kar ho jaoge tunn aur fir karogi gali galouch aur main pad jaungi akeli "

Maine muh banate hue kaha

"to girls hostel me ruk ja na " Tiwari fir bol utha

"wanha akele kya karungi , bor ho jaungi "

"achcha aisa kar ki tu girls hostel me hi ruk ja , main kaam hone ke bad aa jaunga , beer leke sath baithkar beer piyenge "

Bhuwan ka plan to mast tha lekin isse daya ke chahre par chinta ke bhaw saf dikhai diye aisa laga jaise is bat se uska dil jal raha ho , sach batau to mujhe ye dekhne me bahut maja aaya aur maine jhat se bhuwan ka offer accept kar liya ..

"thik hai fir main intjaam karwa deta hu , aur rat me main bhi wahi aa jaunga "

"nahi tum mat aana tumhe to bahut kaam hoga na .."

Maine daya ko aur bhi jalate hue kaha tha ,

Rat ke kareeb 12 baj rahe the jab bhuwan wanha aaya , uske sath kuch ladke aur the , wo beer ki puri kareeb 10 peti wanha rakhkar chale gaye .

"are ye sab kya hai " main apne kamre me akele thi asal me ye mera kamra nahi tha lekin mere liye khali karwaya gaya tha ..

"are ise subah hostel ke freezer me rakhwana hai taki kal sham ko ynha ki ladkiyo ko beer ki party diya jaye "

Bhuwan ki bat sunkar mera muh khula ka khula rah gaya

"pagal hai kya ladkiya ye piyengi .. Kisi ko pata chala na to inke maa baap inhe college se khichkar ghar le jayenge .."

Wo dour tha jab ladkiya jayda padai nahi karti thi , sirf padhe likhe ghar ki ladkiya hi college jaya karti thi , us samay ladkiyo ka beer ya cigarette pina bahut bold kadam mana jata tha , majedar bat ye hai ki kahi kahi aaj bhi aisa hi mana jata hai .

"are fikar na kar sab peeti hai "

Ham dono hi hostel ke chhat par baithe taro ko dekh rahe the, asmaan me tare chamk rahe the aur hamare hatho me beer ki bottle ..

"bhuwan ager mere jivan me sabse jyda koi ahmiyat rakhta hai to wo tu hai "
main halke nashe me aa chuki thi aur Bhuwan ke liye mera pyar umadane laga tha ..

Bhuwan meri bat sunkar bas halke se muskuraya

"achcha aur Tiwari "

"Tiwari kya ??" main uske bat se chouk gai thi

"jis tarh se tu use dekhati hai teri ankhe to kuchh aur hi kahti hai "

Bhuwan ki bat sunkar main thoda ghabra gayi thi , main janti thi ki wo mujhe pyar karta hai lekin kabhi kahta nahi , uske awaj ki udasi bhi iska suboot thi ..

"dekh Bhuwan abhi main.."

"komal main tujhse pyar karta hu " Bhuwan ne ek hi sans me kah diya tha .. main stabdh hi use dekh rahi thi mujhe samjh hi nahi aa raha tha ki main uska kya jawab du, wo mera best friend tha , bachpan se usne mere khud ke bhaiyo se jyda meri hifajat ki thi, main uska dil nahi dukhana chahati thi ..

"main janta hu komal ki tum bhi ye janti ho , aur ye bhi janta hu ki tum mujhe pyar nahi karti . aur main shayd ye kabhi tumse na kahta lekin ... "

Maine uske kandhe par apna hath rakha ..

"tu mere jivan ka ek bahut hi aham hissa hai Bhuwan aur hamesha rahege .. tu aise dukhi na hona , main kisi ki bhi rahu lekin dost main hamesha teri hi rahungi .."
Bhuwan ke chahre me halki si muskuraht aayi usne mere galo ko thaam liya aur halke se ek chumman mere mathe me kar diya ..

"daya sankar mujhe sahi ladka nahi lagata komal, main janta hu ki tu use pasand karti hai lekin wo alag hi tarh ka kamina hai , apne fayade ke liye kuchh bhi kar sakata hai "

Bhuwan ne pahli bar daya sankar ke bare me mujhse koi bat ki thi

"shayd ha wo kamina hai lekin kya mere liye bhi , matlab mujhe to lagta hai ki wo mujhse pyar karta hai .."
"ho sakta hai lekin koi bhi faisala bahut hi soch samjh kar lena komal , main tumhe dukhi nahi dekh sakta "

Bhuwan ki is bat se main uske sine se lag gayi , ab ye sharab ka nasha tha ki hamare bich ka dostana ki main apna dil khol kar usse pyar jatana chahti thi ..wo apnatw jatana chahti thi jo ek dost me hota hai ..

Wo bhi mere balo ko sahla raha tha ,

"fikar mat karo tum to ho na mujhe har musibat se bachane wale "

Maine muskura kar use dekha

"ha main to tumhare sath hamesha hi khada rahunga lekin . lekin komal main nahi chahta ki tumhara dil tute kyoki dil tutane par koi kisi ke kaam nahi aata , wo dard use bhi bhogana padta hai jiska dil tuta ho .."

Uski bat bhi sahi thi lekin pyar bhi to aisi chij hai ki karne wala bhi karne ke liye chhatpatata rahta hai , aur jab ho jaaye to fir us bechaini me dard bhari aahe bhrta hai , jab apne premi se milta hai to uski khusi me khus hota hai aur fir bichhudne par us dard se dukhi hota hai..

Ajib sa mamla hai pyar ka , lekin abhi mere liye aisa nahi tha ,mere pas sochane samjhne ke liye samay tha , mere sath Bhuwan tha jo mujhe sahi salah de sakta tha ..

Lekin dikkat ye thi ki kya main uske salah ko manti ???
aur yahi dar Bhuwan ke man me bhi tha ...

Isi soch me dube hue main Bhuwan ke banho ke ghere me dabi hui thi ki ..

"daya sankar .."

Bhuwan ne aise kaha jaise usne Tiwari ko dekha ho , main usse alag hui to chhat ke niche khada hua daya sankar hame dikhai diya wo hame hi ghur raha tha ..

Rat ke andhiyare me na jane usne kya dekha tha lekin ye bat to saf thi ki usne hame pahchan jarur liya tha , aur bas wahi stabdh sa khada tha ..

Bhuwan ne chillakar use bulaya lekin wo bina kuch bole hi wanha se nikal gaya ....

Main aur Bhuwan dono hi samjh gaye the ki Tiwari ne hamare bare me kya socha liya hai ....
 

[color=rgb(41,]Update 48[/color]
Chunaw ke ek din pahle

Daya sankar mujhse aur Bhuwan dono se hi thik se bat nahi kar raha tha , aisa nahi tha ki wo hame ignore kar raha tha, nahi wo bas jaise apne emotions ko chhupa raha ho ..

Apne ko jaberdasti busy karne ki ya dikhane ki koshis kar raha tha lekin kaam me uska dil bhi nahi lag raha tha ..

Hamne usse bat karne ki aur bat ko clear karne ki bhi koshis ki lekin usne bat ko taal diya ..

Hamne soch liya tha ki chunaw ke bad hi is bare me bat karenge ..

Idhar chunaw ki gahma gahami bhi apne charam me thi ,mere aur daya sankar ke alawa hamari party ke sabhi candidate underground kar diye gaye the ..

Tabhi hame pata chala ki khud MLA usse milne aaya tha ..

Dono ne ke kamre me akele me bat ki , aise bhi daya sankar tension me tha lekin MLA se milne ke bad wo aur bhi bechain dikh raha tha,

"kya hua kya bola usne "

Sahbi ke man me ek hi prashn tha

"usne mujhe ek offer diya hai .."

"kaisa offer ??"

"yahi ki chunaw haar jau .."

"kya ??"

Sabhi swabhawik roop se chouk gaye

"aur badale me usne tumhe kya deni ki bat kahi hai "

Bhuwan mano gusse se aag babula ho raha tha

"uski party ke chhatra sangh ke adhyaksh ki post "

Tiwari ne bade hi shanti ke sath kaha tha ..

Sabhi ki ankhe Tiwari par hi lagi hui thi , usne ek bar mujhe ghura uski ankhe aisi thi jaise wo mujhme gahrai se jhank rahi ho ..

"ham sabhi ne iske liye bahut mehnat ki hai daya , ye faisala sirf tumhara nahi ho sakta .. "

Bhuwan ne fir se joro se kaha

"ha aur ham ye chunaw jit kar rahenge .. aise bhi main jivan me sabhi morcho me ek sath to nahi haar sakta , kahi na kahi to ab jitana hi hai "

Ye kahte hue usne mere ankho me dekha tha , main samjh sakti thi ki wo kya bolna chahta hai .

Sham ho chali thi aur MLA tak bhi ye bat ja chuki thi ki Tiwari election se nahi hat raha tha aur usne apni taraf se dhamkiya bhi bhijwa di .. ye sab to chalta hi rahta tha ..

Sham jhamajham barish ho hone lagi thi ..

"daya mujhe hostel tak chhod aao "

Usne mujhe ajib nigaho se ghura

"Bhuwan ko le jaao , ya kisi ko bhi le jaao paas hi to hai "

"nahi tum hi chaloge "

"dekh nahi rahi ho kal election hai aur itana kaam hai "

Wo kuchh aur bhi bolne wala tha ki maine uska hath pakdkar use utha liya tha ..wo bade hi asmanjas se mujhe dekh raha tha lekin main jaise use lagbhag gharitate hue bhahar le gayi ..

"ye kya battmiji hai "

Wo kuchh bolta usse pahle maine use ek diwaal se sata diya , ye boy hostel ka ek kona tha janha abhi andhera ho gaya tha barish ke karn hamare sharir bhi bheeg gaye the ..

Dur jal rahe ek street light se chhankar aane wali roshani me uske chahre me ubharte hue bhawo ko main saf saf dekh sakti thi , uske mathe par pasina tha shayd mere mathe par bhi hoga ..

Wo kuchh samjhne ki koshis kar raha tha ..

"tum ye kya kar rahi ho komal ?"

"main bas tumhe ye batana chahti hu ki jo tumne kal dekha wo sahi tha lekin jo tumne samjha wo galt tha "

Uske chahre me bade hi nirjiv bhaw aaye , jaise use ab koi matlab hi nahi rah gaya ho /..

"mujhe safai kyo de rahi ho komal , ye tumhari jindagi hai aur tum jiske sath bhi chaho ji sakti ho .."

"main safai kyo de rahi hu ???"

Maine uski ankho me dekh kar kaha tha ,

"Bhuwan mera best friend hai daya , kya main apne dost ke baho me apna sar bhi nahi rakh sakti .. tumen bas ye hi dekha tha lekin tumne na jane kya samjh liya "

Wo thodi der tak mere chahre ko dekhta raha

"ye sab mujhe kyo bata rahi ho , mujhe bahut sare kaam hai tum jaao ynha se .."

usne mujhe khud se thoda dur hatane ki koshis ki aur tabhi maine jaise ek faisala kar liya tha ..

Maine use puri takat se diwar me sata diya , shayd uska sar bhi diwaar se takra gaya tha ..

"aauch ye kya kar rahi ho "

Wo thoda bhoukhlaya lekin maine uski ek bhi na suni maine bas uske galo ko apne hatho se daba liya tha aur uske hotho par apne hotho ko bhar diya , uski chhtpatahat jaise ek hi pal me bilkul hi shant ho gayi ho ..

Main uske hotho ko bas chuse ja rahi thi , meri ankhe band thi wahi haal shayd uska bhi tha , uske hath apne hi aap meri kamar par aa gaye the wahi main uske gale me apne hath fansa kar khadi thi ..

Tabhi mujhe ahsaas hua ki koi hame dekh raha hai ..

Jab kiss tuti to maine us or dekha , wo Bhuwan tha ..

Dur khade Bhuwan ke chahre par aayi udasi ko main wahi se khade hue bhi mahsoos kar sakti thi , Tiwari ne bhi us or dekha , main uske or jane ko mudi hi thi ki Bhuwan khud hi mud gaya aur mujhse dur jane laga ..

"Bhuwan . " main halke se chillai , main janti thi ki abhi wo dukhi hai lekin main ye bhi janti thi ki wo mujhe samjh sakta hai , wo janta hai ki pyar jaberdasti se nahi kiya jaata ..

Pyar bas ho jata hai ya fir nahi hota , lekin abhi . abhi wo dukhi tha bahut dukhi tha aur abhi shayd use meri jarurat thi ..

Ya fir bas akele hi rahne ki jarurat thi ???

Tabhi meri najare aur kahi padi aur main fir se chilla padi

"Bhuwan .."

Is bar maine apni puri takat se chillaya tha . lekin Bhuwan ne mano na sunne ki kasam hi kha li ho ..

Uske samne ek jeep akar khadi ho gayi thi , usme MLA ka beta aur uske dost the sabhi ke hatho me alag alag tarah ke hathiyar the , ek ladke ne bandukh ki nok sidhe Bhuwan ke uper tika di thi lekin Bhuwan tha ki apni hi duniya me khoya hua unke hi or chale jaa raha tha ..

"Bhuwan ruko .nahi .."

Is bar mere sath sath Tiwari bhi chilla utha lekin tabhi

'dhaay.. '

Goli ki ek awaj se pura mahol gunj gaya ..

Aur main jis ankhoni ke bare me soch rahi thi jaie wahi ghat gayi .. goli sidhe Bhuwan ke kandhe par ja takrai .

Use mano achank hi hosh aaya ho , isse pahle ki wo kuch samjh paata gadi aur pas aati gayi aur ek ladke ne talwaar lahrai aur side Bhuwan ke chhati par de maara .. bhuwan us waar se mud gaya tha main uske hi or bhaag rahi thi uska chahra mere samne aa gaya tha wo gir raha tha jamin me gir raha tha , main uske or doud rahi thi ..

"nahi Bhuwan .."

Lekin mano sunne wala koi nahi tha , goliyo ki awaj se kuchh ladke bahar aa gaye the lekin abhi in sabko hue kuchh hi seconds to hue the abhi tak koi bhi puri tarh se samjh nahi paya tha ki wo kya kare ..

Wo log talwaar maarkar Tiwari ko chidhane ke liye wahi khade ho gaye the , main Bhuwan tak pahuch chuki thi ..

Mere bachpan ka dost mere god me lahu se nahaya hua pada tha , kandhe me ek goli lagi thi aur chhati me talwaar waar kiya gaya tha..

Main uske chahare ko dekhe ja rahi thi , use jagane ki koshis kar rahi thi .. tabhi ..

"maderchodo bola tha ki mujhse mat takrao ..ab tu bhi mar "

Ye MLA ka ladka tha jisne ab bandhukh ki nok daya ke tarf kar di thi ..

"kameene .." main chillayi jaise mere ander se kuchh phoot gaya ho .

Main khadi ho chuki thi jo log abhi tak Tiwari ki or dekh rahe the wo ab meri or dekh rahe the ..

"nahi komal .." daya chillaya tha lekin abhi to mere sar par khoon sawaar tha aur meri najro me abhi bhi Bhuwan ka wo chahra jhul raha tha .. maine pas hi pada hua rod utha liya tha ..

wo log pas me hi the aur koi kuchh samjh pata usse pahle hi main un tak pahuch gayi thi , usne apni pistol ki nok mere or modhi hi thi lekin usse pahle ..

"aaaahhhhh" usne muh se ek chikh nikali thi , maine sariya sidhe uske chahre me ghusa diya tha ...

Uske dost turant hi active ho gaye the , unhone mujhpar talwaro se waar kiya lekin maine jhat se uske hi talwar ko uske hi pet me ghusa diya , ishar mere hatho me wo pistol aa gayi jo abhi abhi sariya ghusane se MLA ke bete ke hatho se chhut gayi thi , aur jaise maine apna aapa kho diya ho .. maine jivan me pahli bar bandhukh chalai thi ..

'dhaay dhaay dhaay dhaay dhaay .'5 goliya lagatar

Ab tak Pura hostel hi bahahr , Tiwari stabdh sa kisi murti ki tarh khada hua bas mujhe hi dekh rahta tha , goliyo ke shor ke bad mahol me bas sannata tha .....

Goliyo ne 3 saro ke chithade uda diye the , jisme se ek MLA ka beta bhi tha , abhi tak uske chahre par wo sariya ghusa hua tha lekin uski jivan leela ab samapt ho chuki thi , jiske pet me talwaar ghusa tha wo abhi tak chhatpta raha tha , khoon se puri jeep hi naha chuki thi ,aur 2 log kanpate hue kone me ka dubke the jaise unhone kaal ko hi tandaw karte dekh liya ho ....
 

[color=rgb(44,]Update 49[/color]
"ye kya kar diya tumne .." daya sankar ki awaj ab bhi kaanp rahi thi .. lekin mujhe uski bato se koi bhi fark nahi pada, main to bas Bhuwan ko dekhne ke liye doudi .. baki ke log bhi bahar aa chuke the , tabhi do golilya aur chali ..

Maine jab palat kar dekha to wo sampat tha ..

"in dono ko kyo bacha diya tha .." uske hotho par muskan aa gayi thi..

Bhuwan ko turat hi hospital ke liye le jaya gaya .

Daya sankar jaise abhi bhi stabdh tha wahi mujhe jaise koi bhi fark nahi pad raha tha , main to bas Bhuwan ko sahi salamat dekhna chahti thi ..

Main hospital me ICU ke bahar hi khadi hui idhar udhar chal rahi thi ..

Tabhi ..

"shabas meri bahan mujhe tujhpar naaj hai , aaj tera bhi udghatan ho hi gaya ."jiva ne aate hi mujhe gale se laga liya , lekin maine use apne se dur jhadak diya ..

"dekh komal jo ho gaya ab tu usse pichhe nahi hat sakti , thode hi der me bat hawa ke jaise failegi aur fir ek tarf MLA bhoukhla jayega aur dusari or Kareem .. kab tak chhipegi "

"to kya karu tum logo ke jaise gangster ban jaau "

Jiva meri bat sunkar hansane laga

"are tu to hamse bhi badi gangster banegi akhir tu hameshe jadya samjhdar jo hai kyo sampat "

"sahi kaha bhai "

Dono hi hasane lage ...

Unhone daya ko dekha

"jitne logo ne ye sab dekha tha wo tere hi log the na koi bahar wale ne to ye nahi dekha tha "

"nahi bhai sabhi dost hi hai , lekin pata nahi kon muh khol de "

"band kawara .. muh band karwa , samjha ki jo in logo ke sath hua wo unke sath bhi ho sakta hai isliye chup rahe . aur sab lasho ko to thikana laga hi diye hai ,"

"ho jayega .."

"abhi komal ko yanha se nikaal kar kisi safe jagh par le jana hoga "

Jiva ne meri or dekha tha

"nahi main kahi nahi ja rahi hu , main Bhuwan ke sath hi rahungi "

"pagal mat bano ham kitana bhi lipapoti kar le , lipapoti se police to samhal jaayegi lekin Kareem aur MLA .. nahi wo log to tumhe har hal me mout ke ghat utarane ko machal rahe honge , aise me tumhara ynha rahna khatre se khali nahi hai "

Tiwari ki bat ka mujhpar asar hua lekin main Bhuwan ke bare me sochane lagi ,

"jab un logo ko puri bat ka pata chlega to Bhuwan ki jaan ko bhi to khatra ho jayega na , kya wo log ise chhodenge "
meri bat sunkar sabhi chup ho gaye the , jiva janta tha ki main kitani jiddi thi .

"thik hai.. Shurwati ilaaj karwa kar Bhuwan ko bhi turant hi gayab kar dete hai "

Sabhi ne sahmati me sar hilaya ..

Dr ne Bhuwan ke ghawo me marham patti kar di , wo hosh me bhi aa chuka tha , kandhe me ghusi hui goli nikaal di gayi thi , ab Bhuwan jivan bhar apne ek hath ko achche se nahi chala payega , lekin fir bhi jaan ka koi khatra nahi tha isliye aaram se kisi safe jagah le jaya ja sakta tha ....

Ham rato rat ganw aa gaye the jo ki jiva ka gadh tha ..

Jab meri nind tuti to suraj nikal chuka tha, main Bhuwan ke bister se tiki hui hi baithi thi , jab maine Bhuwan ki or dekha to wo muskura raha tha ..

"ab tabiyat kaisi hai .."

Main muskurai , uska chahra suraj ki chhan kar aati hui dhoop se jaise khil gaya tha .. kya tha iske ander jo mujhe itna akarshit kar raha tha , main to daya sankar se pyar karti hu lekin ye .

Mujhe is pal aisa kyo laga ki yahi meri kishamat hai , jaise uper wale ne hi ise mere liye banaya hai ....

(usi samay haal me baithi hui komal ne Bhuwan ki or dekha , wo waise hi muskura raha tha , khidkhi se suraj ki taaji kirane chhan kar aa rahi thi ... aur wahi baithi aarati ki najar ankit par gayi .. wo jaise mantra mughdh hokar komal ki bato ko sun rahi thi aur use is pal yahi lag raha tha jaise ye uske sath hi ho raha ho )

Us pal me kuchh tha jo kuch hoga tha ..

Tabhi

"tumne to kal meri jaan hi bacha li "

Kamre me koi aaya tha , jab maine nigahe ghumai to wo daya sankar tha .

"maine tumhari jaan bachaai ??"

Bhuwan ke charhe me prashn wachak chinh aa gaya

"asal me tum dono ne milkar , wo log mujhe hi marne aaye the lekin samne tum aa gaye , aur komal ne to jo kiya . wow "

Tiwari ki bat sunkar mere hotho me muskan ubhar gayi thi ..

"ye to aise ladi jaise ladna iski roj ki aadat rahi ho .. koi dar nahi kisi tarah ka hichkichahat nahi .. aisa laga ki tum ye hamesha se karte aayi ho "

Daya ki is bat ko sunkar mere chahre me ek fiki si muskaan aa gayi thi ....

Maine Bhuwan ko garm pani se saaf kar diya tha , in do dino me hi Bhuwan ke liye mera pyar bahut hi badh gaya tha , ya ye kaho ki daba hua pyar bahar aa raha tha , ham aaj bhi dost hi the , lekin ek apnatw ka ahsaas jo abhi tak nahi hua wo ab hone laga tha , shayd prem bhi tab hi bahar aata hai jab uski jarurat ho ...

Main use biscuit aur chaya khila rahi thi , mere hath me aaj ka paper tha ..

"to akhir MLA ke bete ki laash mil h gayi , lekin ye kya ??"

"kya hua ..??"

Bhuwan bhi paper ki or hi dekhne laga ,, hamare shahar ki headline wali khaber ke roop me ise sthan mila hua tha ..

"inki lash shahar ke bahar highway par mili , aur sakti gang ne mara .??"

Main news padhkar confuse thi ..

"ye to jiva ka hi kaam hai , usi ne ye news banwayi hogi .."

Bhuwan halke se hansata hai

"ha lekin ye sakti gang kya hai .. sakti yahi naam mila tha use dalne ke liye "

Bhuwan joro se hans pada tha

"ye to tumhare bachpan ka naam hai na "

"ha mere pita ji mujhe shakti bolte the , ye jiva bhi na pata nahi mujhe gangster banane par tula hua hai .. aur jab naam rakhna hi tha to kam se kam mujhse to puchh leta "

Main muh banate hue kaha tha lekin Bhuwan ka chahra sach me Gambhir ho gaya ..

"kya hua Bhuwan ??"
"bat naam ki nahi hai komal , bat to kaam ki hai ..?? kya tum sach me ye kaam karna chahti ho , jiva tumhara upyog karna chahta hai, sakti ka naam dekhkar tumse na jane kya kya galt kaam karwayega .."

Maine halke se uske galo par hath rakha

"tumhe kya lagta hai ki mere ijajat ke bagair wo mujhse koi galt kaam karwa sakta hai , aur aise bhi man to ek simple si ladki hi hu , mujhse kya hi kaam karwayega ??"

Bhuwan ne ek gahri sans li

"ummid to hai ki nahi karwa payega .. aur ab tum wo simple si ladki nahi rah gayi ho , jisne bhi tumhe dekha hai tum uske liye badal gayi ho .. pata nahi tumhare ander kya ho gaya tha us samay jo tum koi alag hi takat me tabdil ho gayi thi .. aur wahi bat mujhe daraye ja rahi hai "

Bhuwan ki bat sunkar main hans padi

"wo to isliye ki meri jaan ki jaan par ban aayi thi "

Mere muh se to nikal gaya tha lekin aisa kahte hi mere dil ki dhadkan ek bar joro dhadak gayi thi .. wahi hal Bhuwan ka bhi tha ..

Lekin fir uska chahra fika padne laga

"ajib ladki ho tum , jaan mujhe kahti ho aur banho me kisi aur ke rahti ho "

Bhuwan ne halke awaj me hi kaha ,lekin main uski bat ko samjh sakti thi

"dekho Bhuwan daya sankar mera pyar hai , aur tum mere dost .. tum to bachpan se mere liye khas rahe ho , tumne to meri jitani dekhbhal ki utani mere khud ke bhaiyo ne nahi ki hai , aur na hi shayd koi aur karega .. main tumse bahut pyar karti hu lekin kya har prem jismani hi hota hai ."

"pagal maine tujhse kab kaha ki mujhe jismani pyar chahiye "

Uski bat se main muskura uthi

"ham dost hai Bhuwan aur ek dost ki tour par main tujhe bahut pyar karti hu .. lekin daya mera .. mera boyfriend hai aur shayd kal ko mera pati banega .main usse bhi pyar karti hu .. mujhe dono me se ek ko chunne ke liye mat bolna , main tum dono ko nahi chhod sakti .. tum dono hi meri jaan ho "

Bhuwan ne mere hatho ko apne hatho me thaam liya .

"hummm lekin tu janti hai ki main tujhse pyar karta hu aur mera pyar sirf dosti wala nahi hai "
uska chahra relax tha aur hotho me thodi sharart

"janti hu .. Kamine "

Is bar ham dono hi hans pade the ...

************

Din gujarne lage the , Tiwari aur mere bich ke fasale aur bhi kam hone lage the ..

Tiwari puri tarh se jiva ke sath aa chuka tha lekin Bhuwan aur main apne hi sharto me kaam karte the , hamne socha ki kyo na apni takat ka prayog logo ke hit ke liye bhi kiya jaaye , isliye hamne alag tarike se apni gang banayi aur is gang ka ek wing garib bachcho ko padhane ka kaam karta tha , jiva sabhi ke hatho me bandukh thamane ko utawala tha lekin maine use rok kar bachcho ke hatho me kitabe thama di thi ..

Ham sirf corrupt officers ko hi maara karte the , lekin mere sath ek chij badi hi bekaar thi aur wo tha ki ager main kisi ko marne jaati to samjho khoon ki nadiya bahati thi .. maine koi khas training nahi li thi lekin fir bhi jab main marne par aati to pata nahi mere ander ek takat ka sanchaar ho jaata ..

Main jitana khoon kar rahi thi mere ander utani khoon ki pyas badne lagi thi ,mujhe jaan lene me maja aata tha . main bahut hi berahmi se katal karti aur fir unhi logo ke khoon se apna naam sakti likh deti ..

Ek bar jo wahsipan mere ander aa jata to use bas Bhuwan hi kaboo me kar pata tha .

Mere ander ke shaitan ko is tarh badhta hua dekhkar Bhuwan chintit tha . lekin dusare log nahi , jiva to mera naam lekar hi kaam karwa leta tha , Tiwari ko bhi isse fayada hi ho raha tha , wo bhi mera support karta tha ...

Jiva gang teji se badhne laga tha sath hi sakti gang bhi, isme maine bahut si ladkiyo ko bhi dakhil kiya tha . ladkiya maar kaat se dur adhikatar koi aisa kaam karti thi jisse unki bhi amdani ho jaaye aur unka bhawishy sawar jaaye ..

Mere dil me janha ek tarf prem khil raha tha logo ke liye sahyogi ki bahwna janm le rahi thi wahi dusari taraf ek shaitan ne janm le liya tha .

Hamare do sabse dushaman MLA sahab aur Kareem bahut had tak kamjor pad gaye the sabhi mujhe marna chahte the , lekin main abhi tak kisi ke hath nahi lagi thi ..

Tabhi jiva ne ek aisa plan banaya jisse sab kuchh badal gaya, wo jiva aur Tiwari ke sath mera akhari kaam tha .

MLA ko maar kar Tiwari ko naya MLA banane ka plan jise pura karne ki jimmedari mujhe di gayi ....

Maine apni talware chamka li thi plan banane ka jimma Tiwari aur jiva ka tha , aaj Bhuwan bahut hi upsate lag raha tha ho bhi kyo na hame uske ghar me ghus kar use maarna tha .. lekin mere dil me jaise koi chij kood rahi ho , main MLA ko apne hatho se katane ke liye mari jaa rahi thi ..

Main aur Bhuwan Tiwari ke karmre ki or badh gaye the , wanha jiva aur Tiwari pahle hi bate kar rahe the ..

aur kuchh awaje hamare kano me aayi , jaise jaise maine unki bato ko suna mere pairo se maano jamin hi khisakne lagi thi ...


Bhuwan ne mujhe samhal rakha tha usne mujhe chhup rahne ka ishara kiya lekin meri ankho me bas pani tha .....
 

[color=rgb(44,]Update 50[/color]
"is kaam me bahut khatra hai jiva bhai ek bar fir se soch lijiye akhir komal aapki bahan hai "

Ye Tiwari ki awaj thi jo ki mere kaano me padi , main abhi uske kamre me hi jane wale the aaj MLA ke ghar me hamla karne ka irada tha sidhe sidhe ladai aar ya paar wali kahani thi ..

Bhuwan aur main wahi ruk gaye the ..

"bahan are kaha ki bahan mera baap mandir se utha kar laya tha use .."

"kya .." idhar Tiwari buri tarah se chouk gaya tha wahi mere kano ko is bat par abhi bhi viswas nahi ho raha tha ..

"ha .. iske maa baap ko kisi ne maar diya tha, to pujari ne ise utha liya . mere maa baap dharmik adami the , pujari ne use kaha tha ki ye koi khas ladki hai , bahut takatwar hogi aur pata nahi kya kya, iske sath ek pustak bhi diya tha pujari ne mere baap ko .. isliye mera baap use sakti sakti bolta rahta tha .. mujhe bhi lagta tha ki ye koi khas hogi lekin kabhi samjh nahi aaya ki kya khas hoga . lekin jab isne un lawando ko maara tab samjh aaya ki ye to Sali puri katil hi hai . logo ko aise katati hai jaise koi gajar muli kaat raha ho , tab apun samjh gaya tha ki isme kya khas hai aur mera baap iska itana kyo khyal rakhta tha .."

"he bhagwan "
fear%20(36).gif


Tiwari ka muh khula ka khula rah gaya tha ,

"aapke pas wo pustak hai, kya aapne kabhi wo purstak padhi thi "

Tiwari jaise kuchh soch kar bol utha

"are kaha re , wo to sanskrit me thi aur hame kon sa sanskrit padhna aata hai . aise bhi abhi wo kaha hai mujhe nahi pata , kabhi jyada dhyan bhi nahi diya tha . aise mera baap bolta tha ki jab sakti ko uska sachcha pyar mil jayega tab uski shakti jagrit ho jaayegi , yahi uska bhawishy hai . fir jab maine tujhe dekha to samjh gaya ki ab uske sath kuchh ho sakta hai aur dekh ..."

Tiwari bas jiva ko ankhe fade dekh raha tha

"aur aise hame in sabse kya apna to kaam ho raha hai na , ab MLA aur Kareem ko markar main aur tu is shahar me raaj karenge , tu bas komal ko control kar use pyar me fansa kar rakh taki ham jo bhi bole wo use bas chup chap karti jaaye .."

Jiva ki bat sunkar mere nasho ka khoon mere dimag me doudane laga tha , chahra tam tama kar lal ho chuka tha , tabhi bhuwan ne mere kande par aapna hath rakha .

"nahi komal , bina puri jankari ke koi bhi nirnay lena ghatak ho sakta hai "

Uski bate jaise tapte hue marshtahl me paani gir gayi ho , main shant hone lagi lekin abhi bhi mere kaan unki bate sun rahi thi , bhaai se bichhudne ka gam to tha lekin abhi apne prem ki bat bhi sunnai baki thi ..

Aur Tiwari bola

"wo to thik hai jiva bhai lekin . main sirf MLA bankar nahi rakhna chahta aur ager aisi bat hai to iska matlab ye hua ki komal ko sirf main hi control kar sakta hu ...

Aur mere karn hi uski takat hai .. tab to dhandhe me meri hissedari aur bhi badhni chahiye "

Main daya ki bato se na sirf stabdh thi balki aisa laga ki mere sine me jaise koi gahara jhakhm kar diya gaya ho .

Maine jis shakhs se prem kiya wo mujhe mahaj istmaal kar rahaa hai ..

Idhr jiva Tiwari ki bat sunkar hansane laga

"waah beta itani jaldi apne rang dikha diya .. chal thik hai lekin 2 me se ek hi chij milegi , ya to power le ya paisa le . ab tujhe khurshi bhi chahiye aur paisa bhi ye kaise ho sakta hai .. tu apne khurshi ke dam par bhi to kamayega "

Jiva ki bat sunkar Tiwari thodi der ke liye chup ho gaya

"ek kaam karte hai jiva bhai pahle is MLA aur Kareem ko nipta dete hai fir aage ki sochate hai "

"ha ye sahi rahega , ja jakar komal ko taiayr kar .."

Unki ye bat sunkar main jaar jaar ro rahi thi lekin bhuwan mujhe samhalta hua mere kamre me le aaya tha .

Wo na jane mujhe kya kya samjha raha tha , maine use apne banho me kas liya tha .. wo mere balo ko sahlaye ja raha tha main bas roye jaa rahi thi ....

"abhi nahi komal abhi nahi .. in sabse jawab mangenge lekin abhi nahi "

Usne mere kano me kaha aur jaise maine uske bat ko maan liya , maine apne ansu pochhe ..

"aaj sakti ka khel hoga, khooni khel "

Main apne talwar nikalte hue wanha se nikl gayi thi....

Aur fir khooni khel shuru hua , maine MLA ko kai tukado me kaat diya , jiva aur Tiwari ka pura gussa maine wanha nikala tha , dekhne wale bas dekh rahe the , goliyo ki bhouchhar ho rahi thi aur apne tej talwaro se logo ko muli ki tarh kaat rahi thi .

Mere alawa kisi ne bhi koi hathiyar nahi uthaya ha . naa jane kitani lashe maine gira di thi ,main to ginati bhi nahi thi .. bas khoon se likh diya tha diwalo par .. Sakti ...

**********

Tiwari aur jiva MLA ke marne ka jashn mana rahe the tabhi main apne kamre me naha rahi thi ... pure jism me khoon ki chhite thi , bathroom ke bahar Bhuwan baitha hua tha kisi soch me dooba hua tha ....

"komal wo pustak wo to tumhare pas hai na "

Main naha kar nikali aur Bhuwan ki ankhe badi ho gayi wo bas ankhe fade mujhe hi dekh raha tha ...

"komal tum "

Bhuwan itana hi bol paya tha , mera pura jism nanga tha aur abhi abhi nahane ke karn paani se puri tarh se bheega hua tha, baalo se paani ki bunde tapak rahi thi .. mere sudol aur narm jism me abhi bhi nami barkraar thi ..

Main ithalati hui aayi aur Bhuwan ki god me baith gayi ..

Bhuwan mano kaanp gaya ho , wo abhi mere bister me hi baitha hua tha .

"ye kya kar rahi ho "

"galti ho gayi thi mujhse ,main samjh nahi paayi ki main kisse pyar karti hu "

Maine apni banhe Bhuwan ke gale me daal di thi , maine apne hotho ko uske hotho par rakh diya lekin Bhuwan abhi bhi koi pratikriya nahi de raha tha ..

"hato komal .. tum abhi pareshan ho .. ye pyar nahi hai ye bas gussa hai .."

Maine uski ankho me dekha , meri ankhe gusse se lal ho gayi thi , ye shakhs mujhe thukara raha tha . lekin Bhuwan ki ankho me mere liye bas pyar hi tha , koi dar nahi ....

Maine pas pada talwar utha liya jo abhi bhi na jane kitane logo ke khoon se bheega hua tha , maine use bhwuan ke gale me rakh diya

"mujhe naa bolega "

Maine gusse me kaha , aisa lag raha tha jaise main khud ke kabu me nahi rah gayi hu ,

Lekin wo hansa ..

"tum mujhe dara rahi ho " main bas gusse se use dekhte rah gayi , mere muh se koi bhi awaj nahi nikal rahi thi ..

Tabhi kamre ka darwaja khul gaya ..

Samne Tiwari muh faade kha tha , uske hatho me sharab ki ek botal thi , wo bahut hi khus lag raha tha. lekin hame is halt me dekhte hi uske chahre ki hawaiya ud gayi ...

Main nagn bister me Bhuwan ke god me baithi hui thi aur mera talwar uske gale se laga hua tha ...

Ham dono ne Tiwari ko dekha , janha Bhuwan thoda jhep gaya tha wahi mujhe jaise koi fark hi nahi pada.

"ye.. ye kya kar rahi ho komal .."

Mano Tiwari ka pura nasha hi kafur ho gaya ho , wo haklaane laga tha ..

"bhaag ynha se maderchod warna isi talwar se tera gala bhi kaat dungi "

Main garji aur asisa main tab garajti thi jab main shikar karti thi ..

Meri awaj sunkar hi Tiwari kaanp gaya tha , uske ankho me dar utarne laga tha .. uske kadam pichhe hone lage the ..

Wo darwaja band karne laga ..

"ruk . darwaja khol ke rakh .duniya ko bhi to pata chle ki ynha kya ho raha hai "

Wo kuchh bhi nahi kah paaya . wo bas pichhe hat gaya . mera chahra gusse se tamtma raha tha ..

Lekin abhi bhi Bhuwan ki ankho me koi bhi dar nahi dikh raha tha aur yahi bat mujhe aur bhi bechain kar rahi thi .

Usne mere galo ko sahlaya , mere balo me apni ungaliya feri ..aur . aur mere hotho me apne hotho ko mila diya ....

Mere ankho se ek ansu gir gaya aisa laga jaise main fir se hosh me aa gayi thi ...

"wo pustak kaha hai komal .. mere pita ji ne kabhi mujhe sakti parampara ke bare me bataya tha , mujhe lag ki wo pagal adami kuchh bhi bolta hai , lekin mere pita ji tumhare aur purajari ji ke mitra the , aur ab mujhe bhi lagta hai ki koi aisi bat hai jo hame janna bahut hi jaruri hai ..."

Maine haa me sar hilaya ..

"pita ji ne apne antim samay me mujhe wo pustak di thi , aur kaha tha ki jab tumhe apna pyar mile to ise padhna . maine aaj tak use nahi padha tha shayd aaj wo samay aa gaya hai "

Ham dono ke hoth fir se mil gaye the ...
 

[color=rgb(44,]Update 51[/color]
Hamare samne ek lal rang ke kapde me lipti hui ek kitab thi , kahne ko to ye mahaj ek ktiab thi lekin mere liye ye mere jivan ka ek adhayay hone wala tha..

Bhuwan ne use khola , ek bahut purana document tha jo ki puri tarh se maila ho chuka tha , kagaj pile pad chuke the , lekin likhawat ab bhi spast thi , bas dikkat ye tha ki ye Sanskrit me tha, aisa nahi tha ki hame Sanskrit nahi aata , ham Sanskrit jante the lekin utana nahi ki pura anuwad kar sake ..

"ise kisi Sanskrit ke jankar ke pas le jana chahiye "Bhuwan ne sujhaw diya ..

"hummm lekin koun .."

Bhuwan ne bas thode der apna dimag lagaya

"college ke Sanskrit ke professor ke pas chalte hai , wo apne time ke university topper bhi the "

Hamne jyda der nahi ki aur sastri sir ke pas pahuch gaye ..

Ab ham bhale hi pure college me badnaam the lekin fir bhi college ke kai teachers jante the ki ham log ek sidhe sadhe se student hi the jinhe wakt ne aisa bana diya tha ..

Unme ek sastri sir bhi the ..

"ye kya hai . koi bahut hi purani pustak maloom hoti hai "

Unhone pahle to bade hi dhyan se use dekha aur fir padhne lage ..

"ye to koi kahani maloom hoti hai , hai kya ye "

Ab ham unhe kya batate ..

"pata nahi sir bas mere pita ko pandit ji ne diya tha aur kaha tha ki jab main mar jau to kisi gyani wakti ke paas jakar is kahani ko sun lena .. ab isme kya hai hame nahi pata lekin mere pita ji ki aagya thi to. kya aap ise padh sakte hai "

Professor sahab ko gyani bolne ki der thi ,unka chahra hi chamak gaya ..

"ha bilkul , baitho main ise padh kar sunata hu "

Aur wo use padhne lage ..

Saar kuchh aisa tha ...

"ye pustak use padhna ya sunna chahiye jo iska uttradhikari ho , sakti ki santaan ho .

Sakti kon hai ..??

Ek shraap diya gaya tha , ek mahila ko , ek sadhu ke dwara ..

Mahila ki bhi koi galti nahi ki wo to bas sadhu ke prem me fans gayi thi aur sadhu ki sadhna me vighan dalane ki galati kar di ..

Shrap diya gaya ki tere aur tere santaano ke ander kaali sakti aa jaaye ..

Tu manav na rahe balki rakshas ho jaaye , khud ko bhi samhal na paaye, jis prem ko paane ke liye tune ye sab kiya .. ja tu apne sachche prem ko bhi nahi pahchan payegi ...

Mahila komal hriday thi wo royi bahut maafi mangi , sadhu ka dil narm hua use apni galti ka ahsaas hua , lekin jo sankalp le liya gaya tha wo wapas nahi ho sakta tha , isliye unhone ye kaha ki shraap waisa hi rahega ..

Lekin .. ye sakti har pidhi ke sath sath kam hote jaayegi ,kewal mahila santaan me hi payi jaayegi , aur tab tak pragat nahi hongi jab tak sachcha prem na mil jaaye .. sachche prem ko tum to nahi dhundh paogi lekin wo prem tumhe dhundhega , aur tumse milan ko bechain rahega.. tum use inkaar karti rahogi . idhar udhar bhatkogi lekin akhir me pahchan hi logi ...

Ye Sakti ek shraap hai jo pidhi dar pidhi jaati jaayegi , sakti parampara me janmi har mahila ke ander wahi takat hogi jo uski maa ke pas thi , lekin jab tak koi sachcha pyar na mil jaaye ye takat viksit nahi hoga ..

Sakti hamesha apane sachche prem ko lekar uljhan me rah sakti hai , lekin apne dil ki sunne par use sachche prem ki pahchan hogi , aur uska premi hi uski takat ko kabu me karne ki yogyata rakhega ..

Dono premiyo ke milan se utpann mahila santaan ke paas hi ye adamy sakti pahuchegi aur iska jagaran aur samapan dono hi uske premi ke dwara hoga ..is tarh dheere dheere hi sahi lekin ye shrap khatm hote jayega . "

Itana bolte bolte sastri ji ruk gaye .

Aur najar uthakar mujhe dekhne lage ..

"isme antim me likha hai ki , ye pustak jankari ke liye pidhi dar pidhi badate jaayegi .... matlab tum hi ."

Maine ek gahri sans li

"are nahi , ye pustak to Bhuwan ke pita ji ne ise di thi . bas isme likha kya hai ye jannae ki bahut hi utsukta thi .."

"ok okk "

****************

ham dono hi ek kamre me baithe hue the ..

"to ab to maan lo ki main tumhara sachcha pyar hu .."

Bhuwan ne sharart se kaha..

Main bhi muskura uthi ..

"lekin Bhuwan mere maa baap ko kisne mara hoga "

Bhuwan ne ek gahri sans li ,

"jiske pas aisi takat ho uske to kai dushman ho sakte hai komal . aur ye mat bhulo ki ye takat koi wardaan nahi hai , balki ek shraap hai . tumhe isse mukt hona hoga .. "

Maine bhi ek gahri sans li

"ha lein shraap ya vardaan ye kon tay karega , wo to isse hi tay hoga na ki iska istmaal kaise kiya jata hai "

"nahi komal . aaj tak iska upyoge sirf logo ke katal karne ke liye hi kiya gaya hai , tumne naa jane kitane logo ko aise hi kaat diya .. bina kisi karan hai . ha kya karan tha unhe marne ka .. power .. wo bhi dusaro ke liye .. nahi komal tumhe bas use kiya jaa raha hai aur main ye nahi hone dunga "

Bhuwan ne ek gahri sans chhodi ...

Wahi main bhi isi soch me dubi hui thi ......
 

[color=rgb(44,]Update 52[/color]
flashback over

"to kya uske baad aapne un logo ko chhod diya "

Is bar maine prashn kiya tha , komal ne mere ankho me dhyan se dekha aur fir apni beti yani bhabhi ko bade hi pyar se dekha ..

"ha bachcho , uske bad hi maine aur Bhuwan ne ye faisala kar liya tha ki ham dono in sabse dur chale jayenge , main aur katale aam nahi karna chahti thi , isliye ham dono ne ganw me aakar basane ka faisala kiya ..

Aur rato rat hi wanha se bhaag gaye ,aur Bhuwan ke sath rahte rahte main shant hote gayi , ye sakti badi hi ajib chij hai .. prem se hi jagati hai aur premi ke sath shanti se rahne par dheere dheere ye kam hote jati hai aur ant me khatm ho jati hai .. Shayd meri maa isiliye maari gayi kyoki unki sakti khatm ho chuki thi "

Ham sabhi raat se baithe the abhi subah ke 6 baj chuke the , chaay aa chuki thi aur chuskiyo ke sath sabhi apne apne khayalo me kho gaye the .abhi hame bahut kuchh janna baki tha lekin sabse bada sawaal jo mere dil me aa raha tha wo ye tha ki kya bhabhi me bhi wo takat hogi aur akhir kon hoga unka ashiq ..??

Bhaiya to nahi the ye bat to saaf thi , ager wo hote to abhi tak unme ye power jaag gayi hoti , kahe anusar bhabhi us premi ko nahi pahchan payegi lekin wo usse milan ko bekraar rahega , akhir koun hai jo unse milan ko bekraar rahta hai .??

Main soch me pada tha ki meri najar bhabhi par gayi , wo mujhe ajib nigaho se dekh rahi thi aur mere dil me ek bijali si koundh gayi ...

Main ....

Ha main ..

Main hi to wo ashiq hu . main hi to bhabhi se milan ke liye bekrar rahta hu , main bhabhi ke liye waisa hi hu jaisa komal ke liye Bhuwan tha , jisse bhabhi bhi bahut pyar karti hai lekin us pyar ka naam kuch alag tha , yahi Bhuwan ke sath bhi tha , Bhuwan komal ko pyar karta tha ,use apna banana chahta tha , maje ki bat ye hai ki komal bhi use pyar karti thi lekin uske pyar ko kabhi pahchan nahi paayi , jab tak ki use Tiwari ki bewafai ke bare me nahi pata chal gaya , aur Bhuwan par hi hamla hone par komal ki sakti bahar aayi thi ...?

Yahi same case to mere aur bhabhi ke sath bhi tha , bhabhi ko hamesha hi laga ki wo bhaiya se pyar karti hai , lekin asal me wo mujhse bhai se bhi jyada pyar karti thi, lekin us pyar ka Swaroop kuch aalag hi tha .
yes.gif


Shayd hamare bich jo akarshan hai , wo isi ki or sanket de raha hai ki ham ek dusare ke liye hi hai .. lekin main bhabhi ke liye hu to fir Neha ?? Neha ka kya hoga ..

Meri najar Neha par padi , wo bhi bade hi gahare soch me doobi hui mujhe dekh rahi thi , naa jane uske dil me kya chal raha ho ..

Tabhi mere phone ka ring baja , ye Akki tha .

"Akki itane subah subah kaise phone kar raha hai "

Maine apne man me hi kaha

"hello bro "
"bhai ek ajib chij ho gayi "

"kya ..?"

"yaar mujhe kisi ne dhamki di hai, wo khud ko Shiva batata hai , wahi jisne itane sare katl kiye hai ,wo bol raha tha ki jis ladki se main jyda mil jul raha hu usse na milu warna mujhe bhi waise hi maar dalega jaise ** ganw me logo ko maara tha, wo ye bhi bol raha ha ki jis aourat ganw me wo log pakde hai wo asali Shiva nahi hai asali Shiva to wo hai ..."

Akki ki bat sunkar mere chahre ka rang hi ud gaya tha ,

"tune ye bat aur kisi ko batai kya ??"

"ha sus ko batai thi , usi ne kaha ki tumhe call karu .."

"okk main tujhe ek no. de raha hu usse bat kar le mera naam batana aur puri bat bata dena. aur ek chij bata aaj kal kya tu sus ke sath jyda ghum raha hai "

"ha tu aur Neha jab se ynha se gaye ho tab se sus ke sath hi ghumta hu , uske sath hi tuition jata hu aur aajkal wo mujhe college ke liye lene bhi aa rahi hai "

Maine ek gahri sans li aur use na darne ka bolkar Kajal ka no. de diya ..

"kya hua "

Bhabhi ke pochhne par maine sari bat bata di

"kya ..?? lekin Shiva bankar to katal komal hi kar rahi thi na ..??"

Neha chilla uthi thi ..

Wahi komal ne Neha ko ajib nigaho se dekha

"tum pagal ho gayi ho kya , maine kab kaha ki main katl kar rahi thi .. maine to bas ye bataya ki main hi sakti thi , aur ha abhi ganw me jo Chanchal ko fasaay tha usme mera hath jarur tha , ye kaam maine aur sonu ne milkar kiya tha .. lekin baki ke katal se mera koi lena dena nahi hai "

Unki bat sunkar sabhi ke chahre ka rang ud gaya tha , abhi tak to sabhi unhe hi wo katil samjh rahe the jisne shahar me bhi Shiva ke naam se katal kiye the ..

"abhi bhi phone karne wala mard hi tha aur sabhi katal to ek aourat ne kiye hai , aisa phone mujhe bhi aaya tha jab main sus ke sath jyada ghum raha tha mere khayal se iske pichhe sus ke bhai sager bhi ho sakta hai kyoki wo sus ke pichhe pagal hai "

"un sabka pata Kajal laga legi , tum log abhi thoda aaram kar lo raat bhar se jaag rahe ho "

Is bat bolne wala Dr. tha .

Ham sabhi ne haa me sar hilaa diya .. aur apne apne kamre me chale gaye , abhi bhi bahut sari bate khulani baki thi , shayd aaj ki mahfil me baki ki bate pata chale ..

Dophar ka waqt tha ham sabhi fir se ek jagah ikaththe hue the abhi bahut sari bate Janani bachi thi .

"to aap logo ne bataya nahi ki komal ji aapke sath kab se thi "

Maine sabse puchha , bhabhi aur mahima (Neha ki maa) ne ek dusare ko dekha ..

Fir mahima bol padi

"shuruwat to tumhe hi karni chahiye Ankit "

Maine muskurate hue komal ki or dekha unhone bhi ankho ke ishare se mujhe aage badne ki hami de di ..

"humm bat tab ki hai jab bhabhi aur bhaiya ki shadi hui , uske bad se hi main kabhi kabhi college ki tarh ghumane jata to inki chay ki dukaan me jarur jata tha , wanha ye(komal ) mujhe pyar se biscuit, ya samoshe khilaya karti thi ,isliye main aur mere dost free ki biscuit ya samoshe khane pahuch jate the .aur ye kyoki meri bhabhi maa ki tarh dikhati thi mujhe inke pas jana aur bhi achcha lagta tha.

Ganw chhodne ke bad mujhe kabhi kabhi inki chinta hote rahti thi ki kahi bhaiya inpar bhi apna gussa na dikha de ..

Jab us din main apne dosto ke paas ganw gaya tha aur wanha se lout raha tha to ynha aane ke bad main fir se wapas ganw chala gaya , main un logo ko jaan se maar dena chahta tha jinhone meri bhabhi aur bhai ki ye halt kar di thi , main wapas ja hi raha tha ki mujhe ye mil gayi .. ye Dr. ke bulawe par wapas aa rahi thi , main behad nashe me tha aur maine inhe bataya ki main Chanchal ka katal karna chahta hu , to inhone meri madad ki bat ki , mujhe laga ki yahi Shiva bhi hai aur isliye logo ko maarna inke liye koi badi bat nahi hogi, to ham dono milkar mere purane gahar pahuch gaye. main apne ghar ke bare me achche se janta tha isliye mujhe jyda dikkat nahi hui aur jo hua wo aap sabke samne hai ..."

Sabhi ne ek bar komal ki taraf dekha jo ki halke halke muskura rahi thi ..

"dekho maine us din sonu ki madad isliye ki kyoki un logo ki wajah se meri beti ko ye din dekhna pada tha, wo to main is ganw me nahi thi warna in logo ko pahle hi sabak sikha deti . lekin main Shiva nahi hu , bas is katal ke liye Shiva ka naam liya tha "

Komal ne bade hi masoom se andaaj me kaha , itane logo ko gajar muli ki tarh katane wali masoom si komal
kinnu2.gif


"aur aap dono .. aapko ye kab mil gayi thi "

Maine bhabhi aur Mahima ( meri sas
blush1.gif
) ko dekhte hue kaha ..

Dono ke chahre khail gaye the ..

"to pahle koun batayega "

Bhabhi ne Mahima ki or dekha .

Aur Mahima ke kahna shuru kiya ....
 
Back
Top